zameen banaai gaii aasmaañ banaya gaya baraaye-ishq ye saara jahaan banaya gaya tumhaari na ko hi aaKHir men haan banaya gaya yaqeen ke chaak pe rakh kar gumaan banaya gaya tum us ke paas ho jis ko tumhaari chaah na thii kahaan pe pyaas thii dariyaa kahaan banaya gaya hamaare saath koi do qadam bhi chal na sakaa kisi ke vaaste ik kaarwaan banaya gaya badal ke dekh lo tum jism chahe auron se wahin pe theek hai jis ko jahaan banaya gaya kisi ko jab bhi zaroorat padi siyaahi ki hamaara jism jala kar dhuaan banaya gaya bas ek main hi tha bastii men bolne vaala to sab se pahle mujhe be-zabaan banaya gaya
Related Ghazal
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
bade tahammul se rafta rafta nikaalna hai bacha hai jo tujh men meraa hissa nikaalna hai ye rooh barson se dafn hai tum madad karoge badan ke malbe se is ko zinda nikaalna hai nazar men rakhna kahii koi gham-shanaas gaahak mujhe sukhun bechna hai kharcha nikaalna hai nikaal laaya hooñ ek pinjare se ik parinda ab is parinde ke dil se pinjra nikaalna hai ye tees barson se kuchh baras peeche chal rahi hai mujhe ghadi ka KHaraab purza nikaalna hai khayal hai khaandaan ko ittilaa' de doon jo kat gaya us shajar ka shajra nikaalna hai main ek kirdaar se badaa tang hooñ qalamkaar mujhe kahaanii men daal ghussa nikaalna hai
Umair Najmi
42 likes
vo zamaana guzar gaya kab ka tha jo deewaana mar gaya kab ka dhoondhta tha jo ik nayi duniya laut ke apne ghar gaya kab ka vo jo laaya tha ham ko dariyaa tak paar akelaa utar gaya kab ka us ka jo haal hai vahii jaane apna to zakham bhar gaya kab ka khwaab-dar-khwaab tha jo sheeraza ab kahaan hai bikhar gaya kab ka
Javed Akhtar
62 likes
zindagi se badi saza hi nahin aur kya jurm hai pata hi nahin itne hisson men bat gaya hooñ main mere hisse men kuchh bacha hi nahin zindagi maut teri manzil hai doosra koii raasta hi nahin sach ghate ya badhe to sach na rahe jhooth kii koii intiha hi nahin zindagi ab bataa kahaan jaayen zahar bazaar men mila hi nahin jis ke kaaran fasaad hote hainus ka koii ata-pata hi nahin kaise avtaar kaise paighambar aisa lagta hai ab KHuda hi nahin chahe sone ke fra men men jad do aaina jhooth bolta hi nahin apni rachnaon men vo zinda hai noor sansaar se gaya hi nahin
Krishna Bihari Noor
37 likes
maheenon baad daftar aa rahe hain ham ek sad men se baahar aa rahe hain teri baahon se dil ukta gaya hain ab is jhoole men chakkar aa rahe hain kahaan soya hai chaukidaar meraa ye kaise log andar aa rahe hain samandar kar chuka tasleem hamko khajaane KHud hi u uupar aa rahe hain yahii ek din bacha tha dekhne ko use bas men bitha kar aa rahe hain
Tehzeeb Hafi
116 likes
More from Yasir Khan
tumhaare kaam agar aa.e muskuraane men to koi harj nahin mere toot jaane men farokht ho gaii har shay jo dil makaan men thii main itnaa kharch hua hooñ use kamaane men main apni jaan se jaaunga hai ye sach lekin use bhi zakham to aayenge aazmaane men vo ek lafz-e-mohabbat na bin sakaa mujh se hazaar baar mita hooñ jise banaane men tumhein to sirf khabar hai charaaghh jalne ki hamaare haath jale hain use jalane men tumhaare vasl ki masti thii aur may-khaana sharaab le ke gaya tha sharaab-khaane men imaarton men mohabbat ka devta hai vo hamaare haath kate hain jise banaane men
Yasir Khan
8 likes
kisi ne haal jo poocha kabhi mohabbat se lipt ke roya bahut der us se shiddat se hamaara saath jo chhoota to is men hairat kya hamaare haath to chhoote hue the muddat se ye aur baat ki beenaai ja chuki meri tumhaare KHvaab rakhe hain magar hifazat se jab us ne bheed men mujh ko gale lagaaya tha har ek aankh mujhe tak rahi thii hairat se ye kaarobaar-e-siyaasat bahut hi achha hai bas aap jhooth ko becho badi sadaqat se
Yasir Khan
4 likes
ishq se jaam se barsaat se dar lagta hai yaar tum kya ho ki har baat se dar lagta hai ishq hai ishq koi khel nahin bacchon ka vo chala jaa.e jise maat se dar lagta hai main tire husn ka shaidai nahin ho saka roz bantti hui khairaat se dar lagta hai ham ne haalaat badlne ki dua maangi thii ab badalte hue haalaat se dar lagta hai dil to karta hai ki baarish men nahaaye'n yaasir ghar jo kaccha ho to barsaat se dar lagta hai
Yasir Khan
15 likes
jinko maaloom nahin hogaa dua ka matlab vo ha men KHaak bataaenge KHuda ka matlab vo ye kahte hain mohabbat men saza paoge aur main khoob samajhta hooñ saza ka matlab yaanii kaanton se main KHushboo ke maani poochoon yaanii ab aap bataaenge vafaa ka matlab
Yasir Khan
21 likes
mirii cheekh'on se kamra bhar gaya tha koi kal raat mujh men mar gaya tha bahut mushkil hai us ka laut aanaa vo poori baat kab sun kar gaya tha mujhe pahchaanta bhi hai koi ab main bas ye dekhne hi ghar gaya tha zam aanaa jis ko dariyaa kah raha hai hamaari aankh se bah kar gaya tha kaii sadiyon se sookha pad raha hai yahaañ ik shaKHs pyaasa mar gaya tha hamaara bojh tha sar par hamaare tumhaare saath to naukar gaya tha ye mat samjha KHataa kis se hui thii bataa ilzaam kis ke sar gaya tha
Yasir Khan
7 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Yasir Khan.
Similar Moods
More moods that pair well with Yasir Khan's ghazal.







