nazmKuch Alfaaz

agar tum na hoti agar tum na hoti vabaa ke dinon men to mujhe kaun kahtaa hai ki kaadhaa banaa lo suno kuchh dinon ko meri baat maano aur thandi cheezein se KHud ko bacha lo barf ka thanda paani jo munh se lagata batao mujhe kaun nakhre dikhaata bhala kaun kahtaa hai mujhe tumse koii baat karne nahin hai jo marzi men aa.e karo tum maro tum mujhe maar daalo karo khoob man kii agar tum na hoti to main kis se kahtaa suno tum suno naa meri jaan sun lona rutho tum mujhse chalo maan jaao hamaare li.e hi to baagh-e-behisht se aadam aur hawwa nikale ga.e hain kabhi ham milenge kabhi ham banenge ham ik dooje ke haathon men haathon ko dekar ik manzil chunenge usii par chalenge agar tum na hoti to main kis se kahtaa hooñ tumhaari ye gahri antalaatik sii aankhoñ men kaii taitanik dafan ho rahe hain sambhalo inhen tum bacha lo inhen tum mujhe doobne do main antik banuunga agar tum na hoti to naz men ye ghazlein kise main sunaata bhala kaun kahtaa satao naa mujh...ko rulao naa mujh...ko meri vahshaton se bacha lo naa mujh...ko suno naa gale se laga lo mujh...ko

Related Nazm

bhalii si ek shakl thii bhale dinon ki baat hai bhalii si ek shakl thina ye ki husn-e-taam hona dekhne men aam sina ye ki vo chale to kahkashaan si raahguzaar lage magar vo saath ho to phir bhala bhala safar lage koi bhi rut ho us ki chhab fazaa ka rang-roop thii vo garmiyon ki chaanv thii vo sardiyon ki dhoop thii na muddaton juda rahena saath subh-o-shaam hona rishta-e-wafa pe zidna ye ki izn-e-aam ho na aisi khush-libaasiyaan ki saadgi gilaa karena itni be-takallufi ki aaina haya kare na ikhtilaat men vo ram ki bad-maza hon khwaahisheinna is qadar supurdagi ki zach karen nawaazisheinna aashiqi junoon ki ki zindagi azaab hona is qadar kathor-pan ki dosti KHaraab ho kabhi to baat bhi khafi kabhi sukoot bhi sukhun kabhi to kisht-e-zaafaran kabhi udaasiyon ka ban suna hai ek umr hai muaamalaat-e-dil ki bhi visaal-e-jan-faza to kya firaq-e-jan-gusil ki bhi so ek roz kya hua vafaa pe bahs chhid gaii main ishq ko amar kahooñ vo meri zid se chid gaii main ishq ka aseer tha vo ishq ko qafas kahe ki umr bhar ke saath ko vo bad-tar-az-hawas kahe shajar hazar nahin ki ham hamesha pa-b-gil rahenna dhor hain ki rassiyaan gale men mustaqil rahen mohabbaton ki wusaaten hamaare dast-o-pa men hain bas ek dar se nisbatein sagaan-e-ba-wafa men hain main koi painting nahin ki ik fra men men rahoon vahii jo man ka meet ho usii ke prem men rahoon tumhaari soch jo bhi ho main us mizaaj ki nahin mujhe vafaa se bair hai ye baat aaj ki nahin na us ko mujh pe maan thana mujh ko us pe zoom hi jo ahd hi koi na ho to kya gham-e-shikastagi so apna apna raasta hasi-khushi badal diya vo apni raah chal padi main apni raah chal diya bhalii si ek shakl thii bhalii si us ki dosti ab us ki yaad raat din nahin magar kabhi kabhi

Ahmad Faraz

111 likes

lab pe aati hai dua ban ke tamannaa mirii zindagi shamaaki soorat ho khudaaya mirii door duniya ka mire dam se andhera ho jaa.e har jagah mire chamakne se ujaala ho jaa.e ho mire dam se yoonhi mire watan ki zeenat jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat zindagi ho mirii parwaane ki soorat ya-rab ilm ki shamase ho mujh ko mohabbat ya-rab ho mira kaam ghareebon ki himayat karna dard-mandon se zaifon se mohabbat karna mire allah buraai se bachaana mujh ko nek jo raah ho us rah pe chalaana mujh ko

Allama Iqbal

51 likes

mere zakhm nahin bharte yaaron mere naakhun badhte jaate hain main tanhaa ped hoon jungle ka mere patte jhadte jaate hain main kaun hoon kya hoon kab ki hoon ek teri kab hoon sabki hoon main koel hoon shehraao ki mujhe taab nahin hai chaanv ki ek daldal hai tere vaadon ki mere pair ukhadte jaate hain mere zakhm nahin bharte yaaro mere naakhun badhte jaate hain main kis bacche ki gudiya thii main kis pinjare ki chidiya thii mere khelne waale kahaan ga.e mujhe choomne waale kahaan ga.e mere jhumke girvi mat rakhna mere kangan tod na dena main banjar hoti jaati hoon kahii dariyaa mod na dena kabhi milnaa is par sochenge ham kya manzil par pahunchenge raaston men hi ladte jaate hain mere zakhm nahin bharte yaaron mere naakhun badhte jaate hain

Tehzeeb Hafi

161 likes

saza har baar mere saamne aati rahi ho tum har baar tum se mil ke bichhadta raha hooñ main tum kaun ho yah KHud bhi nahin jaanti ho tum main kaun hooñ main KHud bhi nahin jaanta hooñ main tum mujh...ko jaan kar hi padi ho azaab men aur is tarah KHud apni saza ban gaya hooñ main tum jis zameen par ho main uskaa KHuda nahin pas sar-basar ajeeziyyat wa aazaar hi raho bejaar ho gaii ho bahut zindagi se tum jab bas men kuchh nahin hai to bezaar hi raho tum ko yahaan ke saaya wa partau se kya ghaz tum apne haq men beech ki deewaar hi raho main ibtida-e-ishq se be-mehar hi raha tum intiha-e-ishq ka meyaar hi raho tum KHoon thooktee ho yah sun kar khushi hui is rang is ada men bhi purkaar hi raho maine yah kab kaha tha mohabbat men hai najaat maine yah kab kaha tha wafadar hi raho apni mataa-e-naaz luta kar mere li.e bazaar-e-iltefaat men nadaar hi raho jab main tumhein nishaat-e-mohabbat na de sakaa gham men kabhi sukoon rafaqat na de sakaa jab mere sab charaagh-e-tamanna hawa ke hain jab mere saare khwaab kisi be-vafa ke hain phir mujh...ko chaahne ka tumhein koi haq nahin tanhaa karaahne ka tumhein koi haq nahin

Jaun Elia

44 likes

tum hamaare li.e tum hamaare li.e archana ban gaii ham tumhaare li.e ek darpan priye tum milo to sahi haal poochho meraa ham na ro den to kah dena patthar priye pyaar milnaa nahin tha agar bhaagya men devataaon ne hamse ye chhal kyuuñ kiya mere dil men bharii ret hi ret thii deke amrit ye hamko vikal kyuuñ kiya apsara ho to ho par hamaare li.e tum hi sundar sukomal sughar ho priye devataaon ke ganitiy sansaar men aisa bhi hai nahin koii achha na tha ham agar is janam bhi nahin mil sake sab kahenge yahii pyaar sachcha na tha kaaroon ko kabhi pyaar milta nahin faisla koii le lo ki datkar priye mummy kahti theen chanda bahut door hai chaand se aage hamko sitaara laga yuñ to chehre hi chehre the duniya men par ek teraa hi chehra piyaara laga palkon pe meri rakhkar qadam tum chalo pawn men chubh na jaa.e ki kankad priye

Rakesh Mahadiuree

24 likes

More from Anand Raj Singh

taabiron kii laash hamne bhi kuchh KHvaab bune the KHvaab hamaare gine chune the KHvaabon men kab main hota tha tum hote the KHvaabon men jab bhi hote the ham hote the KHvaabon men aangan dekha tha pyaara sa saawan dekha tha taabiron par baat hui thii dekho kichan kii baaein jaanib shiv jee ka mandir rakhna hai maine shaayad manaa kiya tha rooth gaii thii jhagad padi thii khoob ladi thii tumhein pata hai jis kamre men main rehta hooñ vo kamra ab bhara pada hai KHvaab to ज़ाया' ho jaate hain taabiron kii laash padi hai

Anand Raj Singh

6 likes

coffee shaam kii udaasi men ek cup kii coffee men ek shay jo common thii vo tumhaari yaaden theen yaar meri kaafi se jo tumhaara rishta tha vo tumhaare maathe ke rang se bhi gahra tha tum jo chaah letii to in men dekh sakti thii duniya bhar ke rangon ko neele kya gulaabi kya kaaghazi aur pyaazi bhi moongiya safe dii bhi ab tumhein pata bhi hai rang meri kaafi ka sharbatee ya sharaabi hai baad tere coffee kii sheeshi tod dii hamne coffee chhod dii hamne

Anand Raj Singh

3 likes

tasalli tasalli ab bhi zinda hai magar afsos itnaa haina khul baat karti hai na zyaada saans letii hai faqat deemak-zada veeraan kamre aur tanhaa teergii men sar jhukaaye saans letii hai kisi khush-baas mausam men KHamoshii todti hai bolti hai gungunaati hai o mere yaar gham mat kar vo ik din laut aayegi tujhe apna banaayegi bitaaye chaar saalon men naye mausam nahin dekhe nayi KHvaahish nahin utthi naya kab saal aata hai ye saare hi purane hain vahii deemak-zada veeraan kamra vahii aaghosh men baithi udaasi tasalli ke tamaashe ne tamasha kar diya mujh...ko tasalli ke tamaashe mujhse ab dekhe nahin jaate amaan ye jaanleva hai tasalli tere vaade kii bewa hai tasalli

Anand Raj Singh

1 likes

taiyab vo akshar mujhse kahti thii suno jab ham bade honge ham apna ghar basaayenge to apne bete ko ham pyaar se taiyab bulaaenge abhii kuchh din hi beete the ki taiyab aa gaya ik din ye taiyab vo nahin tha jo mere KHvaabon ka hissa tha ye taiyab vo tha jo uski yaadon men rehta tha nahin samjhe ho jo ab bhi suno tumko main samjhaaoon main apni pahli mohabbat ka dooja ishq tha pyaare suna hai ab vo kahti hai suno taiyab suno taiyab kaho to apne bete ko aanand pukaare ab

Anand Raj Singh

7 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Anand Raj Singh.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Anand Raj Singh's nazm.