nazmKuch Alfaaz

ashk ashk tere hon ya mere ashk ashk hote hain ashk ka koiina mazhab hota haina koii jaat hoti hai ashk ashk hote hain kabhi ye sanbhaalte hain to kabhi bigaarte hain zinda hain to ashk hain hai baad maut ke bhi ashk shajar ke apne ashk hain shaakh ke bhi apne ashk hain phool ke apne ashk hain kali ke bhi apne ashk hain aankh ke apne ashk hain zehan ke apne ashk hain lab ke apne ashk hain dil ke bhi kuchh ashk hain dariyaa ke apne ashk hain samandar ke apne ashk hain shaiyya ke apne ashk hain maashooq ke apne ashk hain raah chalte raahi ke ashk hain tawaif ke apne ashk hain zaKHm ke apne ashk hain to marham ke apne ashk hain vafaa ke apne ashk hain bevafaa ke bhi apne ashk hain muflisi ke apne ashk hain ameeri ke apne ashk hain bina baam-o-deewar ke ashk hain to baam-o-deewar men bhi ashk hain bachpan ke thode ashk hain jawaani men ziyaada ashk hain budhape to ashkon ka ashk hain zaroori nahin gham ke ashk hain KHushi ke apne ashk hain

Related Nazm

dost ke naam khat tumne haal poocha hai haalat-e-mohabbat men haal ka bat aanaa kya dil sisak raha ho to zakham ka chhup aanaa kya tum jo pooch baithe ho kuchh to ab bat aanaa hai baat ek bah aanaa hai tumne haal poocha hai ik diya jalata hooñ theek hai bataata hooñ roz uski yaadon men door tak chale j aanaa jo bhi tha kaha usne apne saath dohr aanaa saans jab ruke to phir apni marti aankhoñ men uski shakl le aanaa aur zindagi p aanaa roz aise hota hai kuchh purane message hain jin men uski baatein hain kuchh tabeel subhe hain kuchh qadeem raatein hain maine uski baaton men zindagi guzaari hai zindagi mitaane ka hausla nahin mujh men ek ek lafz uskaa saans men pirooya hai rooh men samoya hai uske jitne message hai roz khol leta hooñ usse kah nahin paata KHud se bol leta hooñ uske pej par ja kar roz dekhta hooñ main aaj kitne logon ne uski pairavi ki hai aur sochta hooñ main ye naseeb waale hain us..ko dekh sakte hain usse baat karte hain ye ijaazaton waale mujhse kitne behtar hain main to daagh tha koi jo mita diya usne gar mita diya usne theek hi kiya usne tumne haal poocha tha lo bataa diya maine jo bhi kuchh bataaya hai us..ko mat bataa dena padh ke ro paro to phir in tamaam lafzon ko bas gale laga lena vo meri mohabbat hai aur sadaa rahegi vo jab nahin rahoonga to ek din kahegi vo tum ali faqat tum the jisne mujh...ko chaaha tha jisne mere maathe ko choom kar bataaya tha tum dua ka chehra ho tum haya ka pahra ho main to tab nahin hoonga par meri sabhi naz men uski baat sun lenge tum bhi muskuraa dena phir bahut mohabbat se us..ko sab bataa dena uske narm haathon men meraa khat thama dena lo ye khat tumhaara hai aur uski jaanib se vo jo bas tumhaara tha aaj bhi tumhaara hai

Ali Zaryoun

70 likes

rahne ko sadaa dehr men aata nahin koi tum jaise ga.e aise bhi jaata nahin koi dartaa hoon kahii khushk na ho jaa.e samundar raakh apni kabhi aap bahaata nahin koi ik baar to KHud maut bhi ghabra gaii hogii yoon maut ko seene se lagata nahin koi maana ki ujaalon ne tumhein daagh diye the be-raat dhale shama bujhaata nahin koi saaqi se gilaa tha tumhein may-khaane se shikwa ab zahar se bhi pyaas bujhaata nahin koi har subh hila deta tha zanjeer zamaana kyun aaj deewane ko jagaata nahin koi ar thii to utha lete hain sab ashk baha ke naaz-e-dil-e-betaab uthaata nahin koi

Kaifi Azmi

42 likes

ped satrah athraah saal ki thii vo jab vo duniya chhod gaii thii aakhiri saansen ginti ladki mujhse himmat baant rahi thii haath pakad ke daant rahi thii aise thodii karte hain aashiq thodii marte hain jism to ek kahaanii hai saansen aani jaani hain usne kaha tha pyaare ladke sabse milnaa hañs ke milnaa meri yaad men ped lagana paagal ladke ishq ke haami mere peeche mar mat jaana ishq kiya tha ishq nibhaana

Rishabh Sharma

20 likes

ham ghoom chuke bastii ban men ik aas ki phaans li.e man men koi saajan ho koi pyaara ho koi deepak ho koi taara ho jab jeevan raat andheri ho ik baar kaho tum meri ho jab saawan baadal chhaaye hon jab phaagun phool khilaaye hon jab chanda roop lutaata ho jab suraj dhoop nahaata ho ya shaam ne bastii gheri ho ik baar kaho tum meri ho haandil ka daaman faila hai kyungori ka dil maila hai ham kab tak peet ke dhoke men tum kab tak door jharoke men kab deed se dil ko seeri ho ik baar kaho tum meri ho kya jhagda sood khasaare ka ye kaaj nahin banjaare ka sab sona roopa le jaa.e sab duniya duniya le jaa.e tum ek mujhe bahuteri ho ik baar kaho tum meri ho

Ibn E Insha

22 likes

mirii hayaat ye hai aur ye tumhaari qaza ziyaada kis se kahooñ aur kis ko kam bolo tum ahl-e-kh aanaa rahe aur main yateem hua tumhaara dard badaa hai ya miraa gham bolo tumhaara daur tha ghar men bahaar hansati thii abhii to dar pe faqat ranj-o-gham ki dastak hai tumhaare saath ka mausam badaa haseen raha tumhaare baad ka mausam badaa bhayaanak hai hazaaron qarz the mujh par tumhaari ulfat ke mujhe vo qarz chukaane ka mauqa to dete tumhaara KHoon mire jism men ma chaltaa raha zaraa se qatre bahaane ka mauqa to dete bade sukoon se tum so ga.e vahaañ ja kar ye kaise neend tumhein aa gaii naye ghar men har ek shab main faqat karvatein badalta hooñ tumhaari qabr ke kankar hon jaise bistar men main bojh kaandhon pe aise utha ke chaltaa hooñ tumhaara jaise janaaza utha ke chaltaa tha yahaañ pe mirii pareshaani sirf mirii hai vahaañ koi na koi kaandha to badalta tha tumhaari sham-e-tamanna bas ek raat bujhi charaaghhh mirii tavakko ke roz bujhte hain main saans luun bhi to kaise ki mirii saanson men tumhaari doobti saanson ke teer chubhte hain main jab bhi chhoota hooñ apne badan ki miTTi ko to lams phir usii thande badan ka hota hai libaas roz badalta hooñ main bhi sab ki tarah magar khayal tumhaare kafan ka hota hai bahut taveel kahaanii hai mirii hasti ki tumhaari maut to ik mukhtasar fasana hai vo jis gali se janaaza tumhaara niklaa tha usii gali se miraa roz aanaa j aanaa hai main koi raah hooñ tum raah dekhne waale ki muntazir to mara par na intizaar mara tumhaari maut mirii zindagi se behtar hai tum ek baar mare main to baar baar mara

Zubair Ali Tabish

19 likes

More from Lalit Mohan Joshi

hukmraan lootaa hai muflisi bhookh ne mere desh ko lootaa hai in ameeron ne mere desh ko aur danke kii chot par kahtaa hooñ main badalte hukmraanon ne lootaa hai mere desh ko rote bacche ke haath men jaise dete hain khilauna vaise ye hukmraan chup karate hain mere desh ko kaise kaise praloabhan se apne kukarm chhupaate hain ye hukmraan aise bahaalate fuslaate hain mere desh ko jhooth inke bikte hain sar-e-bazaar men is bazaar ka har dukandaar daraata hai mere ko chup hain lab sii ga.e hain ghalat hai so ye zaKHm pe zaKHm dete hain mere desh ko suna hai chunaavi samay hai chalo kuchh karte hain sabab bataate hain unko jo aankh dikhaate hain mere desh ko

Lalit Mohan Joshi

3 likes

ik ladki ye poori duniya bahut achchhii lagti hai jab vo ladki rastaa meraa takti hai phir ye duniya saari apni lagti hai jab pyaar se baahon men vo ladki bharti hai aur ye saari duniya ek taraf hai yaanii baaki ek taraf vo ladki hai chehre kii uski maasoom vo hañsi jaise mujh...ko jeevan naya ata karti hai phir mujh adhoore se ladke ko saath aakar mere vo poora karti hai saare KHvaab bhi poore hone lagte hain jab mere saath vo ladki rahtii hai sach poochho to vo ladki is naadaan ladke ko aakar naadaan se vo samajhdaar karti haius pyaari sii ladki ko main kya kahooñ meri har ghazal ko vo mukammal karti hai vo ladki meri ghazal ke matle se shuroo hokar she'r qaafiya radif se hokar makte par rukti hai vo ladki kabhi bahar men to kabhi bina bahar ke bhi khoobsurat lagti hai saath men uske chaar qadam bas chal paau meri KHuda se bas yahii dua rahtii hai

Lalit Mohan Joshi

4 likes

zindagi hai kya be-man umr guzaarna zindagi hai kya roz toot kar bikhrna zindagi hai kya hamko roz aakaar har koii jeene lagta hai aur uskaa aakaar chale jaana zindagi hai kya zindagi kitna aur seekhna hai mujh par ye teraa sitam dhaana zindagi hai kya do waqt kii roti ke KHaatir har dar par haath phailaana zindagi hai kya agar tum rakhte ho zaroori digri-yaaftha to ek bhalii naukri ko tarsna zindagi hai kya musalsal KHvaabon ke li.e jagana aur un KHvaabon ka tootna zindagi hai kya kuchh naye tajarbe seekhne ke KHaatir angaaron pe yuñ roz chalna zindagi hai kya jawaani ke is suhaane safar par mohabbat ke li.e dar badar bhatkna zindagi hai kya ye mas'ala samajh aaya hi nahin chot khaana aur phir sambhaalna zindagi hai kya ek do numberon ke khel men KHud ko tabaah karna zindagi hai kya jitna kam hua numberon ka antar utna naukri se door jaana zindagi hai kya gaav se shahar aaya tha ek suljhaa ladka uskaa yahaañ uljh kar rahna zindagi hai kya

Lalit Mohan Joshi

3 likes

nazm vo kya hai uski aañkhen kaisi hain uski aañkhen rab sii hain uski baatein kaisi hain uski baatein raunaq hain uski yaaden kaisi hain meri raaton jaisi hain uski yaaden hijr hai kya ye faqat bekar kisne boli hai uskaa chehra kaisa hai uskaa chehra chaand sa hai uski zulfen kaisi hai uski zulfen qaaynaat hai uskaa saath chalna kya hai meraa aage aur aage badhna hai uski bindiya kaisi hai maathe par chaand jaisi hai uskaa bolna kaisa hai saare fazaa men faqat pyaar hi gholnaa hai baagh men uskaa hona kaisa hai saare phoolon ko bas khilna hai usse muhabbat kisko hai usse muhabbat sabko hai jis..ko usne chaaha hai uskaa muqaddar rab ne likkha hai meri ghazlein meri naz men kya hai unke saare harf aur saare misre us par hai meri ghazal ka matla kya hai uskaa chehra hai she'r ke misre kya hain uski do aañkhen hain ghazal ka qaafiya kya hai qaafiya uske lab hain to radif kya hai vo uski sundarta hai batao phir maqta kya hai vo uskaa dil hai uspar kya kya janchta haius par saari suit sab janchta hai uske gaal men padta vo gaddha dekho mujh...ko deewaana karta hai uskaa husn to hai bahut sundar rooh men uske rab aap men hai

Lalit Mohan Joshi

4 likes

zamaana aur unke rang zamaana mere KHilaaf jahar ugal saktaa hai is men kaun kahaan kisi ko rok saktaa hai ab in zehni beemaar logon kii fitrat se kaise koii apni manzil ko bhool saktaa hai har dafa meri phir se uthne kii shiddat ko har baar yahaañ koii na koii tod saktaa hai aur kya us tootne aur girne ke dar se kaise koii koshish karna chhod saktaa hai ye zamaana hai janab yahaañ akshar ye sab yahaañ dil har roz dukhaaya ja saktaa hai aasmaañ men udte azaad har us parinde ke yahaañ koii bhi uske paron ko kaat saktaa hai kaamyaabi ke shikhar men pahunchen hue logon ko koii kabhi bhi unhen shikhar se utaar saktaa hai

Lalit Mohan Joshi

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Lalit Mohan Joshi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Lalit Mohan Joshi's nazm.