nazmKuch Alfaaz

ik ladki ye poori duniya bahut achchhii lagti hai jab vo ladki rastaa meraa takti hai phir ye duniya saari apni lagti hai jab pyaar se baahon men vo ladki bharti hai aur ye saari duniya ek taraf hai yaanii baaki ek taraf vo ladki hai chehre kii uski maasoom vo hañsi jaise mujh...ko jeevan naya ata karti hai phir mujh adhoore se ladke ko saath aakar mere vo poora karti hai saare KHvaab bhi poore hone lagte hain jab mere saath vo ladki rahtii hai sach poochho to vo ladki is naadaan ladke ko aakar naadaan se vo samajhdaar karti haius pyaari sii ladki ko main kya kahooñ meri har ghazal ko vo mukammal karti hai vo ladki meri ghazal ke matle se shuroo hokar she'r qaafiya radif se hokar makte par rukti hai vo ladki kabhi bahar men to kabhi bina bahar ke bhi khoobsurat lagti hai saath men uske chaar qadam bas chal paau meri KHuda se bas yahii dua rahtii hai

Related Nazm

vo log bahut KHush-qismat the jo ishq ko kaam samjhte the ya kaam se aashiqi karte the ham jeete-ji masroof rahe kuchh ishq kiya kuchh kaam kiya kaam ishq ke aadhe aata raha aur ishq se kaam uljhta raha phir aaKHir tang aa kar ham ne dono ko adhoora chhod diya

Faiz Ahmad Faiz

160 likes

murshid murshid please aaj mujhe vaqt deejie murshid main aaj aap ko dukhde sunaaunga murshid hamaare saath badaa zulm ho gaya murshid hamaare desh men ik jang chhid gayi murshid sabhi shareef sharaafat se mar ga.e murshid hamaare zehan girftaar ho ga.e murshid hamaari soch bhi baazaari ho gayi murshid hamaari fauj kya ladti hareef se murshid use to ham se hi furqat nahin mili murshid bahut se maar ke ham KHud bhi mar ga.e murshid ha men zirh nahin talwaar dii gayi murshid hamaari zaat pe bohtan chad ga.e murshid hamaari zaat palandon men dab gayi murshid hamaare vaaste bas ek shaKHs tha murshid vo ek shaKHs bhi taqdeer le udri murshid KHuda ki zaat pe andha yaqeen tha afsos ab yaqeen bhi andha nahin raha murshid mohabbaton ke nataaij kahaan ga.e murshid meri to zindagi barbaad ho gayi murshid hamaare gaav ke bacchon ne bhi kaha murshid koon aakhi aa ke sadaa haal dekh wajan murshid hamaara koi nahin ek aap hain ye main bhi jaanta hooñ ke achha nahin hua murshid main jal raha hooñ hawaaein na deejie murshid azala keejiye duaaein na deejie murshid KHamosh rah ke pareshaan na keejiye murshid main rona rote hue andha ho gaya aur aap hain ke aap ko ehsaas tak nahin hah sabr kijeye sabr ka fal meetha hota hai murshid main bhonkdai haan jo kaii she vi nahin bachi murshid wahaan yazidiyat aage nikal gayi aur paarsa namaaz ke peeche pade rahe murshid kisi ke haath men sab kuchh to hai magar murshid kisi ke haath men kuchh bhi nahin raha murshid main lad nahin sakaa par cheekhta raha KHaamosh rah ke zulm ka haami nahin banaa murshid jo mere yaar bhala chhodein rahne den achchhe the jaise bhi the KHuda un ko KHush rakhen murshid hamaari raunakein doori nigal gayi murshid hamaari dosti subhaat kha ga.e murshid ai photo pichhle maheene chhikaya ham hooñ mekun dekh lagda ai jo ai photo meda ai ye kis ne khel khel men sab kuchh ult diya murshid ye kya ke mar ke ha men zindagi mile murshid hamaare virse men kuchh bhi nahin so ham bemausmi wafaat ka dukh chhod jaayenge murshid kisi ki zaat se koi gilaa nahin apna naseeb apni kharaabi se mar gaya murshid vo jis ke haath men har ek cheez hai shaayad hamaare saath vahii haath kar gaya murshid duaaein chhod teraa pol khul gaya tu bhi meri tarah hai tere bas men kuchh nahin insaan meraa dard samajh sakte hi nahin main apne saare zakhm KHuda ko dikhaaunga ai rabbe kaaynaat idhar dekh main fakeer jo teri sarparasti men barbaad ho gaya parvardigaar bol kahaan jaayen tere log tujh tak pahunchne ko bhi wasila zaroori hai parvardigaar aave ka aawa bigad gaya ye kisko tere deen ke theke diye ga.e har shaKHs apne baap ke firke men band hai parvardigaar tere sahife nahin khule kuchh aur bhej tere guzishta sahifon se maqsad hi hal hue hain masaail nahin hue jo ho gaya so ho gaya ab mukhtiyaari cheen parvardigaar apne khaleefe ko rassi daal jo tere paas vaqt se pahle pahunch ga.e parvardigaar unke masaail ka hal nikaal parvardigaar sirf banaa dena kaafi nain takhleeq karke de to phir dekhbhaal kar ham log teri kun ka bharam rakhne aa.e hain parvardigaar yaar hamaara khayal kar

Afkar Alvi

78 likes

lab pe aati hai dua ban ke tamannaa mirii zindagi shamaaki soorat ho khudaaya mirii door duniya ka mire dam se andhera ho jaa.e har jagah mire chamakne se ujaala ho jaa.e ho mire dam se yoonhi mire watan ki zeenat jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat zindagi ho mirii parwaane ki soorat ya-rab ilm ki shamase ho mujh ko mohabbat ya-rab ho mira kaam ghareebon ki himayat karna dard-mandon se zaifon se mohabbat karna mire allah buraai se bachaana mujh ko nek jo raah ho us rah pe chalaana mujh ko

Allama Iqbal

51 likes

main cigarette to nahin peeta magar har aane waale se pooch leta hooñ ki maachis hai bahut kuchh hai jise main phoonk dena chahta hooñ

Gulzar

107 likes

ped satrah athraah saal ki thii vo jab vo duniya chhod gaii thii aakhiri saansen ginti ladki mujhse himmat baant rahi thii haath pakad ke daant rahi thii aise thodii karte hain aashiq thodii marte hain jism to ek kahaanii hai saansen aani jaani hain usne kaha tha pyaare ladke sabse milnaa hañs ke milnaa meri yaad men ped lagana paagal ladke ishq ke haami mere peeche mar mat jaana ishq kiya tha ishq nibhaana

Rishabh Sharma

20 likes

More from Lalit Mohan Joshi

hukmraan lootaa hai muflisi bhookh ne mere desh ko lootaa hai in ameeron ne mere desh ko aur danke kii chot par kahtaa hooñ main badalte hukmraanon ne lootaa hai mere desh ko rote bacche ke haath men jaise dete hain khilauna vaise ye hukmraan chup karate hain mere desh ko kaise kaise praloabhan se apne kukarm chhupaate hain ye hukmraan aise bahaalate fuslaate hain mere desh ko jhooth inke bikte hain sar-e-bazaar men is bazaar ka har dukandaar daraata hai mere ko chup hain lab sii ga.e hain ghalat hai so ye zaKHm pe zaKHm dete hain mere desh ko suna hai chunaavi samay hai chalo kuchh karte hain sabab bataate hain unko jo aankh dikhaate hain mere desh ko

Lalit Mohan Joshi

3 likes

nazm vo kya hai uski aañkhen kaisi hain uski aañkhen rab sii hain uski baatein kaisi hain uski baatein raunaq hain uski yaaden kaisi hain meri raaton jaisi hain uski yaaden hijr hai kya ye faqat bekar kisne boli hai uskaa chehra kaisa hai uskaa chehra chaand sa hai uski zulfen kaisi hai uski zulfen qaaynaat hai uskaa saath chalna kya hai meraa aage aur aage badhna hai uski bindiya kaisi hai maathe par chaand jaisi hai uskaa bolna kaisa hai saare fazaa men faqat pyaar hi gholnaa hai baagh men uskaa hona kaisa hai saare phoolon ko bas khilna hai usse muhabbat kisko hai usse muhabbat sabko hai jis..ko usne chaaha hai uskaa muqaddar rab ne likkha hai meri ghazlein meri naz men kya hai unke saare harf aur saare misre us par hai meri ghazal ka matla kya hai uskaa chehra hai she'r ke misre kya hain uski do aañkhen hain ghazal ka qaafiya kya hai qaafiya uske lab hain to radif kya hai vo uski sundarta hai batao phir maqta kya hai vo uskaa dil hai uspar kya kya janchta haius par saari suit sab janchta hai uske gaal men padta vo gaddha dekho mujh...ko deewaana karta hai uskaa husn to hai bahut sundar rooh men uske rab aap men hai

Lalit Mohan Joshi

4 likes

ashk ashk tere hon ya mere ashk ashk hote hain ashk ka koiina mazhab hota haina koii jaat hoti hai ashk ashk hote hain kabhi ye sanbhaalte hain to kabhi bigaarte hain zinda hain to ashk hain hai baad maut ke bhi ashk shajar ke apne ashk hain shaakh ke bhi apne ashk hain phool ke apne ashk hain kali ke bhi apne ashk hain aankh ke apne ashk hain zehan ke apne ashk hain lab ke apne ashk hain dil ke bhi kuchh ashk hain dariyaa ke apne ashk hain samandar ke apne ashk hain shaiyya ke apne ashk hain maashooq ke apne ashk hain raah chalte raahi ke ashk hain tawaif ke apne ashk hain zaKHm ke apne ashk hain to marham ke apne ashk hain vafaa ke apne ashk hain bevafaa ke bhi apne ashk hain muflisi ke apne ashk hain ameeri ke apne ashk hain bina baam-o-deewar ke ashk hain to baam-o-deewar men bhi ashk hain bachpan ke thode ashk hain jawaani men ziyaada ashk hain budhape to ashkon ka ashk hain zaroori nahin gham ke ashk hain KHushi ke apne ashk hain

Lalit Mohan Joshi

3 likes

paseena bahaata chal paseena apne maathe se bahaata chal geet apni jeet ke yuñ gaata chal manzil parkhati hai to parkhne de phir bhi roz naya qadam badhaata chal vaqt dega apne hisaab se magar har roz nayi ghazlein sunaata chal bahar be-bahr sabko bhool pahle to khayaalon ke saath KHud ko bahaata chal mehfil aaj tere haq men nahin hai to kya magar tu apne dilkash nazaare sunaata chal aandhiyon ne raasta kab kiska roka hai tu bas inko apna thennga dikhaata chalsubah ik roz dard se tadpa tha magar maa kii dua ko yaadkar KHud ko jagaata chal hindu muslim mandir masjid kya rakkha hai tu bas behtar KHud ko insaan banata chal KHuda ne kyuuñ bheja hai tujhko yahaañ pata hai tu bhi KHud ko bas behtar insaan banata chal

Lalit Mohan Joshi

4 likes

ham dono chalo ham dono ek doosre par yaqeen karte hain chalo aise aapas men dono rafaqat karte hain maana ishq hai aaftaab ka gola chalo isko ham dono mahtaab karte hain zaKHm maana diye hain gehre zamaane ne ham dono ab saath rahkar insey ladte hain ye log aise darakhton se hain jo na phal dete aur na hi chaanv karte hain rashk karte hain to karne do inko ham dono shajar aur shaakh bante hain zamaana ham dono ko main aur tum karta hai chalo iske zehan ka bhi ilaaj karte hain yahaañ jeene men hain gham bahut to chalo phir ham dono ek doosre men rahte hain chahe ye zamaana hamaare she'r na parhe chalo ham dono to meer-o-ghalib padhte hain

Lalit Mohan Joshi

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Lalit Mohan Joshi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Lalit Mohan Joshi's nazm.