lahd men so rahi hai aaj be-shak musht-e-khaak us ki magar garm-e-amal hai jaagti hai jaan-e-paak us ki vo ik faani bashar tha main ye baawar kar nahin saka bashar iqbaal ho jaa.e to hargiz mar nahin saka b-zer-e-saaya-e-deewaar-e-masjid hai jo aasooda ye khaaki jism hai sattar baras ka raah paimooda ye khaaki jism bhi us ka bahut hi besh-qeemat tha jise ham-jalwa samjhe the vo parda bhi ghaneemat tha use ham naapte the le ke aankhoñ hi ka paimaana ghazal-khwaan us ko jaana ham ne shaair us ko gardaana faqat soorat hi dekhi us ke ma'ni ham nahin samjhena dekha rang-e-tasveer aaine ko dil-nasheen samjhe ha men zof-e-basaarat se kahaan thii taab-e-nazzaara sikhaae us ke parde ne ha men aadaab-e-nazaara ye naghma kya hai zer-e-parda-ha-e-saaz kam samjhe rahe sab gosh-bar-awaaz lekin raaz kam samjhe shikast-e-paikar-e-mehsoos ne toda hijaab aaKHir tuloo-e-subh-e-mahshar ban ke chamka aftaab aaKHir muqayyad ab nahin iqbaal apne jism-e-faani men nahin vo band haa'il aaj dariyaa ki ravaani men wajood-e-marg ki qaael nahin thii zindagi us ki ta'aalaa allah ab dekhe koi pa'indagi us ki jise ham murda samjhe zinda tar paainda tar niklaa mah o khurshid se zarre ka dil taabinda tar niklaa abhii andaaza ho saka nahin us ki bulan dii ka abhii duniya ki aankhoñ par hai parda firqa-ban dii ka magar meri nigaahon men hain chehre un jawaanon ke jinhen iqbaal ne bakshe hain baazu qahr-maano'n ke
Related Nazm
kyuuñ uljhe-uljhe rahte ho kuchh bolo to kuchh baat karo kya ab bhi tanhaa raatein hain kya dard hi dil bahaalate hain kyuuñ mehfil raas nahin aati kyuuñ koel geet nahin gaati kyuuñ phoolon se khushboo gum hai kyuuñ bhanwara gumsum gumsum hai in baaton ka kya matlab hai kuchh bolo to kuchh baat karo kyuuñ amma ki kam sunte ho kya bheetar-bheetar gunte ho kyuuñ hansna-rona bhool ga.e kyuuñ lakdi jaise ghunte ho kya dil ko kahii la ga.e ho kya ishq men dhoka khaaye ho kya aisa hi kuchh mas'ala hai kuchh bolo to kuchh baat karo
Raghav Ramkaran
42 likes
jab vo mujh...ko kahti thii ek she'r sunaao uske upari lab ko choom ke hat jaata tha uske zehan men kya aata tha taish men aakar kahti thii she'r mukammal kaun karega saani misra kaun padhega
Zubair Ali Tabish
67 likes
uski khushiyaan saari jheelein sookh gaii hain uski aañkhen sookh gaii hain pedon par panchi bhi chup hain us..ko koi dukh hai shaayad raaste soone soone hain sab usne tahlna chhod diya hai saari ghazlein bemaani hain usne padhna chhod diya hai vo bhi hansna bhool chuki hai gulon ne khilna chhod diya hai saawan ka mausam jaarii hai yaanii uskaa gham jaarii hai baaki mausam taal diye hain sukh kuein men daal diye hain chaand ko chhutti de dii gaii hai taaron ko madhham rakha hai aatish-daan men fenk dii khushiyaan dil men bas ik gham rakha hai khaana peena chhod diya hai sabse rishta tod diya hai haaye qayamat aane ko hai usne jeena chhod diya hai har dil KHush har chehra KHush ho vo ho KHush to duniya KHush ho vo achchhii to sab achha hai aur duniya men kya rakha hai ye sab sunkar KHuda ne bola bol teri ab KHvaahish kya hai maine bola meri KHvaahish meri KHvaahish uski khushiyaan KHuda ne bola teri KHvaahish main phir bola uski khushiyaan iske alaava pooch raha hooñ maine bola uski khushiyaan apne li.e kuchh maang le pagle maang liya na uski khushiyaan uski khushiyaan uski khushiyaan uski khushiyaan uski khushiyaan
Varun Anand
30 likes
chal aa ek aisi nazm kahooñ chal aa ek aisi nazm kahooñ jo lafz kahooñ vo ho jaa.e bas ashk kahooñ to ek aañsu tere gore gaal ko dho jaa.e main aa likkhoon tu aa jaa.e main baith likkhoon tu aa baithe mere shaane par sar rakhe tu main neend kahooñ tu so jaa.e main kaagaz par tere hont likkhoon tere honthon par muskaan aa.e main dil likkhoon tu dil thaa men main gum likkhoon vo kho jaa.e tere haath banaaun pencil se phir haath pe tere haath rakhoon kuchh ulta seedha farz karoon kuchh seedha ulta ho jaa.e main aah likhoon tu haay kare bechain likhoon bechain ho tu phir bechain ka be kaatoon tujhe chain zaraa sa ho jaa.e abhii ain likhoon tu soche mujhe phir sheen likhoon teri neend ude jab qaaf likhoon tujhe kuchh kuchh ho main ishq likhoon tujhe ho jaa.e
Amir Ameer
295 likes
ham milenge kahii ham milenge kahii ajnabi shahar ki KHvaab hoti hui shaahraaoon pe aur shaahraaoon pe phaili hui dhoop men ek din ham kahii saath hoge vaqt ki aandhiyon se ati saahtoon par se miTTi hataate huye ek hi jaise aañsu behaate huye ham milenge ghane janglo ki hari ghaas par aur kisi shaakh-e-naazuk par padte huye bojh ki dastaanon men kho jaayenge ham sanobar ke pedon ki nokiile patton se sadiyon se soye huye devataaon ki aañkhen chabo jaayenge ham milenge kahii barf ke bajuon men ghire parvaton par baanjh qabro men lete huye koh pemaaon ki yaad men nazm kahte huye jo pahaadoon ki aulaad thein aur unhen vaqt aane par maa baap ne apni aaghosh men le liya ham milenge kahii shah sulemaan ke urs men hauz ki seediyon par wuzu karne waalo ke shaffaaf chehron ke aage sangemarmar se aarasta farsh par pair rakhte huye aah bharte huye aur darakhton ko mannat ke dhaago se azaad karte huye ham milenge ham milenge kahii naarmendi ke saahil pe aate huye apne gum gashtarashto ki khaak-e-safar se ati vardiyo ke nishaan dekh kar maraakis se palte huye ek jarnel ki aakhiri baat par muskuraate huye ik jahaan jang ki chot khaate huye ham milenge ham milenge kahii roos ki daastaon ki jhoothi kahaanii pe aankhoñ men hairat sajaaye huye shaam lebnaan beirut ki nargisi chashmuro ki aamad ke nohoo pe hanste huye khooni kaziyo se maflooh jalbaaniyaan ke pahaadi ilaaqon men mehmaan ban kar milenge ham milenge ek murda zamaane ki KHush rang tahzeeb men zasb hone ke imkaan men ik puraani imarat ke pahluu men ujde huye laan men aur apne asiroon ki raah dekhte paanch sadiyon se veeraan zindaan men ham milenge tamannaon ki chhatriyon ke tale khwahishon ki hawaon ke bebaak boso se chhalni badan saumpane ke liye raaston ko ham milenge zameen se namoodaar hote huye aathvein barre azam men udte huye kaaleen par ham milenge kisi baar men apni bakaaya bachi umr ki paaymaali ke jaam haath men lenge aur ek hi ghoont men ham ye saiyal andar utaarenge aur hosh aane talak geet gaayenge bachpan ke qisse sunaata hua geet jo aaj bhi hamko azbar hai bedi be bedi tu thildi tapaiye pate paar kya hai pate paar kya hai ham milenge baagh men gaav men dhoop men chaanv men ret men dasht men shahar men masjidoon men kaliso men mandir men mehraab men church men mooslaadhaar baarish men bazaar men KHvaab men aag men gehre paani men galiyon men jungle men aur aasmaanon men kono makaan se pare gair aabda saiyaraaye aarzoo men sadiyon se khaali padi bench par jahaan maut bhi ham se dasto garebaan hogii to bas ek do din ki mehmaan hogii
Tehzeeb Hafi
236 likes
More from Hafeez Jalandhari
imarat aur shaaukat aur armaaye ki tasveerein ye aivaanaat sab hain haal hi ki taaza taamirein idhar kuchh faasle par chand ghar the kaasht-kaaron ke jahaan ab kaar-khaane ban ga.e sarmaaya-daaron ke maweshi ho ga.e neelaam kyun ye koi kya jaane kachehri jaane saahookaar jaane ya KHuda jaane zameen-daaron ko ja kar dekh le jo bhi koi chahe naye bhatoon men eenten thaapte firte hain halwahe yahaañ apne purane gaav ka ab kya raha baaki yahii takiya yahii ik main yahii ik jhonpadaa baaki azeemushshaan bastii hai ye nau-aabaad veeraana yahaañ ham ajnabi dono hain main aur meraa kaashaana
Hafeez Jalandhari
1 likes
dekh bua mirii gote ki chunri aa ha jee gul-naari chunri rang rangeeli pyaari chunri malmal ki ik taari chunri naazuk naazuk saari chunri dekh bua mirii gote ki chunri ammi ke kuchh jee men aaya gote ka ik thaan mangaya chunri par saara chipkaaya har kone par phool banaya dekh bua mirii gote ki chunri lachka hai haathon men lachakta gota hai kundan sa damkata raushni men kaisa hai chamakta haath lagaane se hai maskata dekh bua mirii gote ki chunri is ko KHaraab hone na doongi baithoongi to sanbhaal rakhoongi ghar men ja kar rakh chhodoongi aur tehwaar ke din odhoongi dekh bua mirii gote ki chunri
Hafeez Jalandhari
0 likes
sharaab-khaana hai bazm-e-hasti har ek hai mahv-e-aish-o-masti maal-beeni o may-parasti are ye zillat are ye pasti shiaar-e-rindaana kar pi.e ja agar koi tujh ko tokta hai sharaab peene se rokta hai samajh ise hosh men nahin hai khird ke aaghosh men nahin hai tu is se jhagda na kar pi.e ja khayaal-e-roz-e-hisaab kaisa savaab kaisa azaab kaisa behisht o dozakh ke ye fasaane KHuda ki baatein KHuda hi jaane fuzool socha na kar pi.e ja nahin jahaan men mudaam rahna to kis li.e tishna-kaam rahna utha utha haan utha suboo ko tamaam duniya ki haw huu ko ghareeq-e-paimaana kar pi.e ja kisi se takraar kya zaroorat fuzool israar kya zaroorat koi pi.e to use pila de agar na maane to muskuraa de malaal-e-asla na kar pi.e ja tujhe samjhte hain ahl-e-duniya KHaraab khasta zaleel rusva nahin ayaan un pe haal teraa koi nahin ham-khayaal teraa kisi ki parwa na kar pi.e ja ye tujh par aawaaze kasne waale tamaam hain mere dekhe bhaale nahin mazaak un ko may-kashi ka ye KHoon peete hain aadmi ka tu un ka shikwa na kar pi.e ja
Hafeez Jalandhari
0 likes
dariyaa chadhaav par hai aur bojh naav par hai pahna-e-aab saara hai kooch ka ishaara hosh-aazmaa nazaara maujon ke munh men kaf hai ik shor har taraf hai marg-aafreen hai dhaara aur door hai kinaara koi nahin sahaara tegh-aazmaa hain lahren tege hain ya hain lahren tauba hawa ki tezi mauj-e-fana ki tezi hai kis bala ki tezi tadbeer-e-naaKHuda kya chappu ka aasraa kya girdaab pad rahe hain kashtii se lad rahe hain takhte ukhad rahe hain nagmon ka josh KHaamosh sab naav-nosh KHaamosh hai ye baraat kis ki nau-shah aur baraati laute hain le ke doli mayus hain nigaahen raksaan labon pe aahen doli men hoor paikar kya kaanpati hai tharthar lekin hai muhr lab par dulha ke sar pe sehra lekin udaas chehra ishrat ki aarzoo thii ulfat ki justuju thii ummeed roo-b-roo thii ye inqilaab kya hai aaghosh-marg vaa hai afsos ya-ilaahi kya aa gaii tabaahi qismat ki kam nigaahi dil sard ho rahe hain rukh zard ho rahe hain is mahshar-e-bala men is lahja-e-fana men is sail-e-baad-pa men sab ahl-e-yaas gum hain hosh-o-hawas gum hain kuchh mahav hain dua men kuchh naala-o-buka men kuchh shikwa-e-khuda men bai thii hai ek bewa hai sabr jis ka sheva dil haath se dabaye bachcha gale lagaaye teer-e-umeed khaaye ye baap ki nishaani sarmaaya-e-jawaani ik din jawaan hogaa amaan ka maan hogaa haq mehrbaan hogaa ik naujavaan bad-akhtar bhaaga hai ghar se lad kar chhode the baap-maa bhi biwi bhi aur makaan bhi ab chhodta hai jaañ bhi ai kaash main na aata ai kaash laut jaata ai tab-e-khud-sar afsos ai taish tujh par afsos afsos yaksar afsos ye dev-zaad maujen ye nau-nihaad maujen aaya phir ek rela kashtii banii hai tinka bas ho chala safaayaa tadbeer ro rahi hai taqdeer so rahi hai mallaah tair nikle dariyaa men pair nikle afsos gair nikle toofan-e-gham baha hai fariyaad ki sadaa hai hai kaun jo sambhaale kashtii tire hawaale yaarab tu hi bacha le ai naav ke khawayya lag jaa.e paar nayyaa bandon ka tu KHuda hai aur tu hi naKHuda hai teraa hi aasraa hai
Hafeez Jalandhari
2 likes
aage peeche daayein baayein kaayein kaayein kaayein kaayein subh-savere noor ke tadke munh dho-dha kar nanhe ladke baithe hain jab khaana khaane kawwe lagte hain mandalaane tauba tauba dheeth hain kitne kawwe hain ya kaale fitne laakh hankaao laakh udaao munh se cheekh haath hilaao ghuro ghudko ya dhutkaaro koi cheez utha kar maaro kawwe baaz nahin aate hain jaate hain phir aa jaate hain har dam hai khaane ki aadat shor machaane ki hai aadat bacchon se bilkul nahin dartaa un ki kuchh parwa nahin karta dekha nanha bholа-bhaala cheen liya haathon se nivaala koi ishaara ho ya aahat taar ke ud jaata hai jhat-pat ab karne do kaayein kaayein ham kyun apni jaan khapaayein
Hafeez Jalandhari
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hafeez Jalandhari.
Similar Moods
More moods that pair well with Hafeez Jalandhari's nazm.







