imarat aur shaaukat aur armaaye ki tasveerein ye aivaanaat sab hain haal hi ki taaza taamirein idhar kuchh faasle par chand ghar the kaasht-kaaron ke jahaan ab kaar-khaane ban ga.e sarmaaya-daaron ke maweshi ho ga.e neelaam kyun ye koi kya jaane kachehri jaane saahookaar jaane ya KHuda jaane zameen-daaron ko ja kar dekh le jo bhi koi chahe naye bhatoon men eenten thaapte firte hain halwahe yahaañ apne purane gaav ka ab kya raha baaki yahii takiya yahii ik main yahii ik jhonpadaa baaki azeemushshaan bastii hai ye nau-aabaad veeraana yahaañ ham ajnabi dono hain main aur meraa kaashaana
Related Nazm
dareecha-haa-e-khayaal chahta hooñ ki bhool jaaun tumhein aur ye sab dareecha-haa-e-khayaal jo tumhaari hi samt khulte hain band kar doon kuchh is tarah ki yahaañ yaad ki ik kiran bhi aa na sake chahta hooñ ki bhool jaaun tumhein aur KHud bhi na yaad aaun tumhein jaise tum sirf ik kahaanii theen jaise main sirf ik fasana tha
Jaun Elia
27 likes
tumhein ik baat kahni thii ijaazat ho to kah doon main ye bheega bheega sa mausam ye titli phool aur shabnam chamakte chaand ki baatein ye boonden aur barsaatein ye kaali raat ka aanchal hawa men naachte baadal dhadakte mausamon ka dil mehkati khushbuon ka dil ye sab jitne nazaare hain kaho kis ke ishaare hain s abhii baatein sooni tum ne phir aañkhen fer leen tum ne main tab ja kar kahii samjha ki tum ne kuchh nahin samjha main qissa mukhtasar kar ke zaraa neechi nazar kar ke ye kahtaa hooñ abhii tum se mohabbat ho gaii tum se
Zubair Ali Tabish
117 likes
us se muhabbat jheelein kya hain uski aañkhen umdaa kya hai uskaa chehra khushboo kya hai uski saansen khushiyaan kya hain uskaa hona to gham kya hai usse judaai saawan kya hai uskaa rona sar dii kya hai uski udaasi garmi kya hai uskaa ghussa aur bahaarein uskaa hansna meetha kya hai uski baatein karwa kya hai meri baatein kya padhna hai uskaa likkha kya sunna hai uski ghazlein lab ki KHvaahish uskaa maatha zakham ki KHvaahish uskaa choona duniya kya hai ik jungle hai aur tum kya ho ped samajh lo aur vo kya hai ik raahi hai kya socha haius se muhabbat kya karte hous se muhabbat matlab peshaus se muhabbat is ke alaavaus se muhabbat usse muhabbat
Varun Anand
475 likes
Ab ki paas aaye ho khushboo ke saaye
Rakesh Mahadiuree
15 likes
dost ke naam khat tumne haal poocha hai haalat-e-mohabbat men haal ka bat aanaa kya dil sisak raha ho to zakham ka chhup aanaa kya tum jo pooch baithe ho kuchh to ab bat aanaa hai baat ek bah aanaa hai tumne haal poocha hai ik diya jalata hooñ theek hai bataata hooñ roz uski yaadon men door tak chale j aanaa jo bhi tha kaha usne apne saath dohr aanaa saans jab ruke to phir apni marti aankhoñ men uski shakl le aanaa aur zindagi p aanaa roz aise hota hai kuchh purane message hain jin men uski baatein hain kuchh tabeel subhe hain kuchh qadeem raatein hain maine uski baaton men zindagi guzaari hai zindagi mitaane ka hausla nahin mujh men ek ek lafz uskaa saans men pirooya hai rooh men samoya hai uske jitne message hai roz khol leta hooñ usse kah nahin paata KHud se bol leta hooñ uske pej par ja kar roz dekhta hooñ main aaj kitne logon ne uski pairavi ki hai aur sochta hooñ main ye naseeb waale hain us..ko dekh sakte hain usse baat karte hain ye ijaazaton waale mujhse kitne behtar hain main to daagh tha koi jo mita diya usne gar mita diya usne theek hi kiya usne tumne haal poocha tha lo bataa diya maine jo bhi kuchh bataaya hai us..ko mat bataa dena padh ke ro paro to phir in tamaam lafzon ko bas gale laga lena vo meri mohabbat hai aur sadaa rahegi vo jab nahin rahoonga to ek din kahegi vo tum ali faqat tum the jisne mujh...ko chaaha tha jisne mere maathe ko choom kar bataaya tha tum dua ka chehra ho tum haya ka pahra ho main to tab nahin hoonga par meri sabhi naz men uski baat sun lenge tum bhi muskuraa dena phir bahut mohabbat se us..ko sab bataa dena uske narm haathon men meraa khat thama dena lo ye khat tumhaara hai aur uski jaanib se vo jo bas tumhaara tha aaj bhi tumhaara hai
Ali Zaryoun
70 likes
More from Hafeez Jalandhari
lahd men so rahi hai aaj be-shak musht-e-khaak us ki magar garm-e-amal hai jaagti hai jaan-e-paak us ki vo ik faani bashar tha main ye baawar kar nahin saka bashar iqbaal ho jaa.e to hargiz mar nahin saka b-zer-e-saaya-e-deewaar-e-masjid hai jo aasooda ye khaaki jism hai sattar baras ka raah paimooda ye khaaki jism bhi us ka bahut hi besh-qeemat tha jise ham-jalwa samjhe the vo parda bhi ghaneemat tha use ham naapte the le ke aankhoñ hi ka paimaana ghazal-khwaan us ko jaana ham ne shaair us ko gardaana faqat soorat hi dekhi us ke ma'ni ham nahin samjhena dekha rang-e-tasveer aaine ko dil-nasheen samjhe ha men zof-e-basaarat se kahaan thii taab-e-nazzaara sikhaae us ke parde ne ha men aadaab-e-nazaara ye naghma kya hai zer-e-parda-ha-e-saaz kam samjhe rahe sab gosh-bar-awaaz lekin raaz kam samjhe shikast-e-paikar-e-mehsoos ne toda hijaab aaKHir tuloo-e-subh-e-mahshar ban ke chamka aftaab aaKHir muqayyad ab nahin iqbaal apne jism-e-faani men nahin vo band haa'il aaj dariyaa ki ravaani men wajood-e-marg ki qaael nahin thii zindagi us ki ta'aalaa allah ab dekhe koi pa'indagi us ki jise ham murda samjhe zinda tar paainda tar niklaa mah o khurshid se zarre ka dil taabinda tar niklaa abhii andaaza ho saka nahin us ki bulan dii ka abhii duniya ki aankhoñ par hai parda firqa-ban dii ka magar meri nigaahon men hain chehre un jawaanon ke jinhen iqbaal ne bakshe hain baazu qahr-maano'n ke
Hafeez Jalandhari
0 likes
ai dekhne waalo is husn ko dekho is raaz ko samjho ye naqsh-e-khyaali ye fikrat-e-aali ye paikar-e-tanveer ye krishna ki tasveer ma'ni hai ki soorat san'at hai ki fitrat zaahir hai ki mastur nazdeek hai ya door ye naar hai ya noor duniya se niraala ye baansuri vaala gokul ka gvaala hai seher ki e'jaz khulta hi nahin raaz kya shaan hai wallaah kya aan hai wallaah hairaan hooñ kya hai ik shaan-e-khuda hai but-khaane ke andar KHud husn ka but-gar but ban gaya aa kar vo turfah nazzare yaad aa ga.e saare jamuna ke kinaare sabze ka lahkna phoolon ka mahakna ghanghor ghataein sarmast hawaein maasoom umangein ulfat ki tarangein vo gopiyo ke saath haathon men diye haath raksaan hua brijnath bansi men jo lay hai nashsha hai na may hai kuchh aur hi shay hai ik rooh hai raksaan ik kaif hai larzaan ek aql hai may-nosh ik hosh hai madhosh ik khanda hai sayyaal ik giryaa hai khush-haal ik ishq hai maghroor ik husn hai majboor ik seher hai mashhoor darbaar men tanhaa laachaar hai krishna aa shyaam idhar aa sab ahl-e-khusoomat hain dar paye izzat ye raaj dulaare buzdil hue saare parda na ho taaraaj bekas ki rahe laaj aa ja mere kaale bharat ke ujaale daaman men chhupa le vo ho gaii an-ban vo garm hua ran ghalib hai duryodhan vo aa ga.e jagdeesh vo mit gaii tashveesh arjun ko bulaayaa upadesh sunaaya gham-zaad ka gham kya ustaad ka gham kya lo ho gaii tadbeer lo ban gaii taqdeer lo chal gaii shamsheer seerat hai adoo-soz soorat nazar-aafroz dil kaifiyat-andoz ghusse men jo aa jaa.e bijli hi giraa jaa.e aur lutf par aa.e to ghar bhi luta jaa.e pariyon men hai gulfaam radha ke li.e shyaam balram ka bhaiyya mathura ka basya bindra men kanhaiyya ban ho ga.e veeraan barbaad gulistaan sakhiyaan hain pareshaan jamuna ka kinaara sunsaan hai saara toofaan hain KHaamosh maujon men nahin josh lau tujh se lagii hai hasrat hi yahii hai ai hind ke raja ik baar phir aa ja dukh dard mita ja abr aur hawa se bulbul ki sadaa se phoolon ki ziya se jaadoo-asri gum shorida-sari gum haan teri judaai mathura ko na bhaai tu aa.e to shaan aa.e tu aa.e to jaan aa.e aanaa na akelaa hon saath vo mele sakhiyon ke jhamele
Hafeez Jalandhari
0 likes
sharaab-khaana hai bazm-e-hasti har ek hai mahv-e-aish-o-masti maal-beeni o may-parasti are ye zillat are ye pasti shiaar-e-rindaana kar pi.e ja agar koi tujh ko tokta hai sharaab peene se rokta hai samajh ise hosh men nahin hai khird ke aaghosh men nahin hai tu is se jhagda na kar pi.e ja khayaal-e-roz-e-hisaab kaisa savaab kaisa azaab kaisa behisht o dozakh ke ye fasaane KHuda ki baatein KHuda hi jaane fuzool socha na kar pi.e ja nahin jahaan men mudaam rahna to kis li.e tishna-kaam rahna utha utha haan utha suboo ko tamaam duniya ki haw huu ko ghareeq-e-paimaana kar pi.e ja kisi se takraar kya zaroorat fuzool israar kya zaroorat koi pi.e to use pila de agar na maane to muskuraa de malaal-e-asla na kar pi.e ja tujhe samjhte hain ahl-e-duniya KHaraab khasta zaleel rusva nahin ayaan un pe haal teraa koi nahin ham-khayaal teraa kisi ki parwa na kar pi.e ja ye tujh par aawaaze kasne waale tamaam hain mere dekhe bhaale nahin mazaak un ko may-kashi ka ye KHoon peete hain aadmi ka tu un ka shikwa na kar pi.e ja
Hafeez Jalandhari
0 likes
master jee baahar ga.e hain master jee ga.e zaraa baahar ab nazar kya rahe kitaabon par dil hi dil men hain saare ladke shaad goya qaai dii the ab hue azaad ab kitaaben kahaan sabq kis ka padhna-vadhna khayal se khiska ek hansta hai ek gaata hai aur ik chutkiyaan bajaata hai ek baithe hi baithe sota hai aur ik jhoot-moot rota hai mashware kar rahe hain do baaham aao chupke se uth ke chal den ham ek goshe men goliyaan khelen ya graanoud men chal ke dand pelen copy ik jald jald bharta hai doosra us se naql karta hai ghar se laaye nahin hain kar ke sawaal master jee se ab karenge chaal ik ne baandha hai gaal par roomaal taaki poochen na is se koi sawaal daadh ke dard ka bahaana hai chhutti leni hai ghar ko jaana hai saath baatein bhi hoti jaati hain shokh ghaaten bhi hoti jaati hain ek kahtaa hai nazm yaad nahin master sahab aa na jaayen kahii yuñ hi tarkhaaunga sunenge jab aata-vaata mujhe nahin matlab maani mujh ko sujhaate jaana tum chupke chupke bataate jaana tum aur jograaf chup are chup kar meem alif seen maas te re tar master jee ke aa jaane par jhat mil gaii sab ko khabar aise ishaare ho ga.e ustaad ka munh dekh kar chup chaap saare ho ga.e ab is tarah KHaamosh hain goya kabhi bole na the aañkhen uthaai hi na theen aur lab kabhi khole na the ab hain kitaaben saamne baaham nigah milti nahin hain bhaagne waale bhi chup ab un ko rah milti nahin ab daadh bhi dukhti nahin ab dard saara tham gaya haan haath hai lekin wahin goya wahin par jam gaya chehre kitaabon se chhupe saari zabaanen chup hui chutki wahin par rah gaii seeti ki taanein chup hui ab kaapiyaan kam ho gaiin ab naql chal sakti nahin ustaad se goya koi ab aql chal sakti nahin ye nanhe munne se jo hain shokhi men hazrat ek hain soorat to dekho aap ki goya bahut hi nek hain dil men sharaarat hai bharii dam saadh rakhe hain magar dekho phir in ki shokhiyaan ustaad phir jaa.e agar
Hafeez Jalandhari
1 likes
dariyaa chadhaav par hai aur bojh naav par hai pahna-e-aab saara hai kooch ka ishaara hosh-aazmaa nazaara maujon ke munh men kaf hai ik shor har taraf hai marg-aafreen hai dhaara aur door hai kinaara koi nahin sahaara tegh-aazmaa hain lahren tege hain ya hain lahren tauba hawa ki tezi mauj-e-fana ki tezi hai kis bala ki tezi tadbeer-e-naaKHuda kya chappu ka aasraa kya girdaab pad rahe hain kashtii se lad rahe hain takhte ukhad rahe hain nagmon ka josh KHaamosh sab naav-nosh KHaamosh hai ye baraat kis ki nau-shah aur baraati laute hain le ke doli mayus hain nigaahen raksaan labon pe aahen doli men hoor paikar kya kaanpati hai tharthar lekin hai muhr lab par dulha ke sar pe sehra lekin udaas chehra ishrat ki aarzoo thii ulfat ki justuju thii ummeed roo-b-roo thii ye inqilaab kya hai aaghosh-marg vaa hai afsos ya-ilaahi kya aa gaii tabaahi qismat ki kam nigaahi dil sard ho rahe hain rukh zard ho rahe hain is mahshar-e-bala men is lahja-e-fana men is sail-e-baad-pa men sab ahl-e-yaas gum hain hosh-o-hawas gum hain kuchh mahav hain dua men kuchh naala-o-buka men kuchh shikwa-e-khuda men bai thii hai ek bewa hai sabr jis ka sheva dil haath se dabaye bachcha gale lagaaye teer-e-umeed khaaye ye baap ki nishaani sarmaaya-e-jawaani ik din jawaan hogaa amaan ka maan hogaa haq mehrbaan hogaa ik naujavaan bad-akhtar bhaaga hai ghar se lad kar chhode the baap-maa bhi biwi bhi aur makaan bhi ab chhodta hai jaañ bhi ai kaash main na aata ai kaash laut jaata ai tab-e-khud-sar afsos ai taish tujh par afsos afsos yaksar afsos ye dev-zaad maujen ye nau-nihaad maujen aaya phir ek rela kashtii banii hai tinka bas ho chala safaayaa tadbeer ro rahi hai taqdeer so rahi hai mallaah tair nikle dariyaa men pair nikle afsos gair nikle toofan-e-gham baha hai fariyaad ki sadaa hai hai kaun jo sambhaale kashtii tire hawaale yaarab tu hi bacha le ai naav ke khawayya lag jaa.e paar nayyaa bandon ka tu KHuda hai aur tu hi naKHuda hai teraa hi aasraa hai
Hafeez Jalandhari
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hafeez Jalandhari.
Similar Moods
More moods that pair well with Hafeez Jalandhari's nazm.







