master jee baahar ga.e hain master jee ga.e zaraa baahar ab nazar kya rahe kitaabon par dil hi dil men hain saare ladke shaad goya qaai dii the ab hue azaad ab kitaaben kahaan sabq kis ka padhna-vadhna khayal se khiska ek hansta hai ek gaata hai aur ik chutkiyaan bajaata hai ek baithe hi baithe sota hai aur ik jhoot-moot rota hai mashware kar rahe hain do baaham aao chupke se uth ke chal den ham ek goshe men goliyaan khelen ya graanoud men chal ke dand pelen copy ik jald jald bharta hai doosra us se naql karta hai ghar se laaye nahin hain kar ke sawaal master jee se ab karenge chaal ik ne baandha hai gaal par roomaal taaki poochen na is se koi sawaal daadh ke dard ka bahaana hai chhutti leni hai ghar ko jaana hai saath baatein bhi hoti jaati hain shokh ghaaten bhi hoti jaati hain ek kahtaa hai nazm yaad nahin master sahab aa na jaayen kahii yuñ hi tarkhaaunga sunenge jab aata-vaata mujhe nahin matlab maani mujh ko sujhaate jaana tum chupke chupke bataate jaana tum aur jograaf chup are chup kar meem alif seen maas te re tar master jee ke aa jaane par jhat mil gaii sab ko khabar aise ishaare ho ga.e ustaad ka munh dekh kar chup chaap saare ho ga.e ab is tarah KHaamosh hain goya kabhi bole na the aañkhen uthaai hi na theen aur lab kabhi khole na the ab hain kitaaben saamne baaham nigah milti nahin hain bhaagne waale bhi chup ab un ko rah milti nahin ab daadh bhi dukhti nahin ab dard saara tham gaya haan haath hai lekin wahin goya wahin par jam gaya chehre kitaabon se chhupe saari zabaanen chup hui chutki wahin par rah gaii seeti ki taanein chup hui ab kaapiyaan kam ho gaiin ab naql chal sakti nahin ustaad se goya koi ab aql chal sakti nahin ye nanhe munne se jo hain shokhi men hazrat ek hain soorat to dekho aap ki goya bahut hi nek hain dil men sharaarat hai bharii dam saadh rakhe hain magar dekho phir in ki shokhiyaan ustaad phir jaa.e agar
Related Nazm
dareecha-haa-e-khayaal chahta hooñ ki bhool jaaun tumhein aur ye sab dareecha-haa-e-khayaal jo tumhaari hi samt khulte hain band kar doon kuchh is tarah ki yahaañ yaad ki ik kiran bhi aa na sake chahta hooñ ki bhool jaaun tumhein aur KHud bhi na yaad aaun tumhein jaise tum sirf ik kahaanii theen jaise main sirf ik fasana tha
Jaun Elia
27 likes
udaasi ibaarat jo udaasi ne likhi hai badan us ka ghazal sa reshmi hai kisi ki paas aati aahaton se udaasi aur gahri ho chali hai uchhal padti hain lahren chaand tak jab samundar ki udaasi tootti hai udaasi ke parindon tum kahaan ho mirii tanhaaii tum ko dhoondhti hai mire ghar ki ghani tareekiyo men udaasi bulb si jaltee rahi hai udaasi odhe vo boodhi havelina jaane kis ka rastaa dekhti hai udaasi subh ka maasoom jharna udaasi shaam ki bahti nadi hai
Sandeep Thakur
21 likes
anjaam hain labreiz aahon se thandi hawaaein udaasi men doobi hui hain ghataaein mohabbat ki duniya pe shaam aa chuki hai siyah-posh hain zindagi ki fazaayein machalti hain seene men laakh aarzuen tadapati hain aankhoñ men laakh iltijaaein taghaaful ki aaghosh men so rahe hain tumhaare sitam aur meri wafaayein magar phir bhi ai mere maasoom qaateel tumhein pyaar karti hain meri duaaein
Faiz Ahmad Faiz
27 likes
kyuuñ uljhe-uljhe rahte ho kuchh bolo to kuchh baat karo kya ab bhi tanhaa raatein hain kya dard hi dil bahaalate hain kyuuñ mehfil raas nahin aati kyuuñ koel geet nahin gaati kyuuñ phoolon se khushboo gum hai kyuuñ bhanwara gumsum gumsum hai in baaton ka kya matlab hai kuchh bolo to kuchh baat karo kyuuñ amma ki kam sunte ho kya bheetar-bheetar gunte ho kyuuñ hansna-rona bhool ga.e kyuuñ lakdi jaise ghunte ho kya dil ko kahii la ga.e ho kya ishq men dhoka khaaye ho kya aisa hi kuchh mas'ala hai kuchh bolo to kuchh baat karo
Raghav Ramkaran
42 likes
Ve darte hain Kis cheez se darte hain ve Tamaam dhan-daulat Gola-Barood Police-fauz ke bawjood? Ve darte hain Ki Ek din nihatthe aur gareeb log Unse darna band kar denge.
Gorakh Pandey
33 likes
More from Hafeez Jalandhari
imarat aur shaaukat aur armaaye ki tasveerein ye aivaanaat sab hain haal hi ki taaza taamirein idhar kuchh faasle par chand ghar the kaasht-kaaron ke jahaan ab kaar-khaane ban ga.e sarmaaya-daaron ke maweshi ho ga.e neelaam kyun ye koi kya jaane kachehri jaane saahookaar jaane ya KHuda jaane zameen-daaron ko ja kar dekh le jo bhi koi chahe naye bhatoon men eenten thaapte firte hain halwahe yahaañ apne purane gaav ka ab kya raha baaki yahii takiya yahii ik main yahii ik jhonpadaa baaki azeemushshaan bastii hai ye nau-aabaad veeraana yahaañ ham ajnabi dono hain main aur meraa kaashaana
Hafeez Jalandhari
1 likes
lahd men so rahi hai aaj be-shak musht-e-khaak us ki magar garm-e-amal hai jaagti hai jaan-e-paak us ki vo ik faani bashar tha main ye baawar kar nahin saka bashar iqbaal ho jaa.e to hargiz mar nahin saka b-zer-e-saaya-e-deewaar-e-masjid hai jo aasooda ye khaaki jism hai sattar baras ka raah paimooda ye khaaki jism bhi us ka bahut hi besh-qeemat tha jise ham-jalwa samjhe the vo parda bhi ghaneemat tha use ham naapte the le ke aankhoñ hi ka paimaana ghazal-khwaan us ko jaana ham ne shaair us ko gardaana faqat soorat hi dekhi us ke ma'ni ham nahin samjhena dekha rang-e-tasveer aaine ko dil-nasheen samjhe ha men zof-e-basaarat se kahaan thii taab-e-nazzaara sikhaae us ke parde ne ha men aadaab-e-nazaara ye naghma kya hai zer-e-parda-ha-e-saaz kam samjhe rahe sab gosh-bar-awaaz lekin raaz kam samjhe shikast-e-paikar-e-mehsoos ne toda hijaab aaKHir tuloo-e-subh-e-mahshar ban ke chamka aftaab aaKHir muqayyad ab nahin iqbaal apne jism-e-faani men nahin vo band haa'il aaj dariyaa ki ravaani men wajood-e-marg ki qaael nahin thii zindagi us ki ta'aalaa allah ab dekhe koi pa'indagi us ki jise ham murda samjhe zinda tar paainda tar niklaa mah o khurshid se zarre ka dil taabinda tar niklaa abhii andaaza ho saka nahin us ki bulan dii ka abhii duniya ki aankhoñ par hai parda firqa-ban dii ka magar meri nigaahon men hain chehre un jawaanon ke jinhen iqbaal ne bakshe hain baazu qahr-maano'n ke
Hafeez Jalandhari
0 likes
ai dekhne waalo is husn ko dekho is raaz ko samjho ye naqsh-e-khyaali ye fikrat-e-aali ye paikar-e-tanveer ye krishna ki tasveer ma'ni hai ki soorat san'at hai ki fitrat zaahir hai ki mastur nazdeek hai ya door ye naar hai ya noor duniya se niraala ye baansuri vaala gokul ka gvaala hai seher ki e'jaz khulta hi nahin raaz kya shaan hai wallaah kya aan hai wallaah hairaan hooñ kya hai ik shaan-e-khuda hai but-khaane ke andar KHud husn ka but-gar but ban gaya aa kar vo turfah nazzare yaad aa ga.e saare jamuna ke kinaare sabze ka lahkna phoolon ka mahakna ghanghor ghataein sarmast hawaein maasoom umangein ulfat ki tarangein vo gopiyo ke saath haathon men diye haath raksaan hua brijnath bansi men jo lay hai nashsha hai na may hai kuchh aur hi shay hai ik rooh hai raksaan ik kaif hai larzaan ek aql hai may-nosh ik hosh hai madhosh ik khanda hai sayyaal ik giryaa hai khush-haal ik ishq hai maghroor ik husn hai majboor ik seher hai mashhoor darbaar men tanhaa laachaar hai krishna aa shyaam idhar aa sab ahl-e-khusoomat hain dar paye izzat ye raaj dulaare buzdil hue saare parda na ho taaraaj bekas ki rahe laaj aa ja mere kaale bharat ke ujaale daaman men chhupa le vo ho gaii an-ban vo garm hua ran ghalib hai duryodhan vo aa ga.e jagdeesh vo mit gaii tashveesh arjun ko bulaayaa upadesh sunaaya gham-zaad ka gham kya ustaad ka gham kya lo ho gaii tadbeer lo ban gaii taqdeer lo chal gaii shamsheer seerat hai adoo-soz soorat nazar-aafroz dil kaifiyat-andoz ghusse men jo aa jaa.e bijli hi giraa jaa.e aur lutf par aa.e to ghar bhi luta jaa.e pariyon men hai gulfaam radha ke li.e shyaam balram ka bhaiyya mathura ka basya bindra men kanhaiyya ban ho ga.e veeraan barbaad gulistaan sakhiyaan hain pareshaan jamuna ka kinaara sunsaan hai saara toofaan hain KHaamosh maujon men nahin josh lau tujh se lagii hai hasrat hi yahii hai ai hind ke raja ik baar phir aa ja dukh dard mita ja abr aur hawa se bulbul ki sadaa se phoolon ki ziya se jaadoo-asri gum shorida-sari gum haan teri judaai mathura ko na bhaai tu aa.e to shaan aa.e tu aa.e to jaan aa.e aanaa na akelaa hon saath vo mele sakhiyon ke jhamele
Hafeez Jalandhari
0 likes
aaj baadal khoob barsa aur baras kar khul gaya gulsitaan ki daali daali patta patta dhul gaya dekhna kya dhul gaya saare ka saara aasmaañ udaa udaa neela neela pyaara pyaara aasmaañ hat gaya baadal ka parda mil gaii kirnon ko raah saltanat par apni phir khurshid ne daali nigaah dhoop men hai ghaas par paani ke qatron ki chamak maat hai is vaqt moti aur heere ki damak de rahi hai lutf kya sarsabz pedon ki qataar aur hari shaakhon pe hai rangeen phoolon ki bahaar kya parinde phir rahe hain chahchahaate har taraf raagini barsaat ki KHush ho ke gaate har taraf dekhna vo kya achambha hai are vo dekhna aasmaañ par in darakhton se pare vo dekhna ye koi jaadu hai ya sach-much hai ik rangeen kamaan waah vaa kaisa bhala lagta hai ye pyaara samaan kis musavvir ne bhare hain rang aise khushnuma is ka har ik rang hai aankhoñ men jaise khub gaya ik jagah kaise ikatthe kar diye hain saath rang shokh hain saaton ke saaton ik nahin hai maat rang hai ye qudrat ka nazaara aur kya kahiye ise bas yahii jee chahta hai dekhte rahiye ise nanhe nanhe jama the paani ke kuchh qatre vahaañ un pe daala aks suraj ne banaa dii ye kamaan dekho dekho ab mitti jaati hai vo pyaari dhanak dekhte hi dekhte gum ho gaii saari dhanak phir hawa men mil gaii vo sab ki sab kuchh bhi nahin aañkhen mal mal kar na dekho aao ab kuchh bhi nahin
Hafeez Jalandhari
1 likes
1 garm-joshi ab suraj sar par aa dhamkega thanda loha chamkega aur dhoop jawaan ho jaayegi sathiy aa.e hue farzaanon par ab zeest giran ho jaayegi har asl ayaan ho jaayegi ab khoob hansega deewaana ab aag bagule nachenge sab langde loole nachenge girdaab-e-bala ban jaayenge raun dii hui miTTi ke zarre toofaan-b-pa ban jaayenge sehra dariyaa ban jaayenge ab khoob hansega deewaana ab susti jaal bichaayegi ab dhons na chalne paayegi mazdooron aur kisaano par ab sookha KHoon nichodne waale roenge nuqsaanon par in kheton in khaliyaanon par ab khoob hansega deewaana ab peeli dhaat ki beemaarii faila na sakenge byopaari lohe ka loha maanenge sone ki gahri kaanon men so jaana behtar jaanenge dar dar ki KHaak na chaanenge ab khoob hansega deewaana ab KHoon ke saagar kholenge insaan ke jauhar kholenge chadh jaayegi tap seharaaon ko utthegi umad kar laal aandhi pee jaayegi daryaon ko baandhega tund hawaon ko ab khoob hansega deewaana har zulf se bichhoo lapkenge aankhoñ se sharaare tapkengay sayyaadon husn-shikaaron par ghusse ka paseena footegamoti ban kar rukhsaaron par is dhoop men chaand sitaaron par ab khoob hansega deewaana ab doodh na denge bhainsen gaayein uf uf karne lagengi maayein bacche mam mam cheekhenge aur oonghne waale nikhatoo shauhar aql-e-mujassam cheekhenge sab darham-barham cheekhenge ab khoob hansega deewaana ab khaanqahon ki murda udaasi roz-e-azl ki bhooki pyaasi jhoomengi may-khaanon par ab saaqi mugache peer-e-mugaan bechenge vaaz dukano par in zahar bhare paimaanon par ab khoob hansega deewaana zor-aavari se kamzoron ki ab jeb kategi choron ki aur man dii sahoo-kaaron ki ab bhooki hoo-haqq sair karegi mandiyon aur bazaaron ki gat dekh ke duniya-daaron ki ab khoob hansega deewaana jeena dil gurda dhundega har zinda murda dhundega koi kona-khadra tah-khaana ab har jungle men mangal hogaa har bastii men veeraana ik naara laga kar mastaana ab khoob hansega deewaana 2 sard-mehri ab jaada jhande gaadega aur feel-e-falak chinghadega ab baadal shor machaayenge ab bhoot falak par chadh daudenge dharti ko dahlaayenge hansne ke maze ab aayenge ab khoob hansega deewaana aiwaan karenge bhaayen bhaayen foon ki jhonpadiyon men hawaaein saayein saayein goonjengi is goonj men bhooke nango ki sunsaan sadaaein goonjengi veeraan saraayein goonjengi ab khoob hansega deewaana ab bijli ke kodoon se hawa shamsher-b-kaf zanjeer-b-paa lohe ke rathon ko haankegi ek ek dhuen ke mahmil se sad husn ki malika jhaankegi ab aag angaare faankegi ab khoob hansega deewaana ab than dii aahon ke parnaale pale aafat ke par kaale kande tole barseinge ab aahan thanda pad jaayega aahan ke gole barseinge har sar par ole barseinge ab khoob hansega deewaana takhreeb ki topen chhootengi taameer ki kaliyaan footengi har goristaan-e-shaahi men baala-e-hawaa zer-e-dariya ghul hogaa murgh o maahi men is nau-aabaad tabaahi men ab khoob hansega deewaana ab naagin baanbi garmayegi saanp ki laali leharaayegi kaale aatish-daano men danaaiyan kenchuli badlengi shehron ke bandi-khaano men aur door khule maidaanon men ab khoob hansega deewaana bhus khaali pet men bhar na sakega koi tijaarat kar na sakega suk dii suk dii khaalon ki ab mandh bhi jaa.e to baj na sakegi naubat paise waalon ki bekaari par dallaalon ki ab khoob hansega deewaana ab daal na jaageeron ki galegi aag magar din raat jalegi chamde ke tannooron men ab kaal padega ghalle ka byopaariyon be-maqdooron men aur pet bhare mazdooron men ab khoob hansega deewaana ab gaadhaa paseena bunne waale odhe firenge shaal do-shaale muft na jhoole jhoolengi phoole hue gaal ab pachakenge pichki hui tonde phoolengi sab aqlen chauka dii bhoolengi ab khoob hansega deewaana
Hafeez Jalandhari
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hafeez Jalandhari.
Similar Moods
More moods that pair well with Hafeez Jalandhari's nazm.







