nazmKuch Alfaaz

aaj baadal khoob barsa aur baras kar khul gaya gulsitaan ki daali daali patta patta dhul gaya dekhna kya dhul gaya saare ka saara aasmaañ udaa udaa neela neela pyaara pyaara aasmaañ hat gaya baadal ka parda mil gaii kirnon ko raah saltanat par apni phir khurshid ne daali nigaah dhoop men hai ghaas par paani ke qatron ki chamak maat hai is vaqt moti aur heere ki damak de rahi hai lutf kya sarsabz pedon ki qataar aur hari shaakhon pe hai rangeen phoolon ki bahaar kya parinde phir rahe hain chahchahaate har taraf raagini barsaat ki KHush ho ke gaate har taraf dekhna vo kya achambha hai are vo dekhna aasmaañ par in darakhton se pare vo dekhna ye koi jaadu hai ya sach-much hai ik rangeen kamaan waah vaa kaisa bhala lagta hai ye pyaara samaan kis musavvir ne bhare hain rang aise khushnuma is ka har ik rang hai aankhoñ men jaise khub gaya ik jagah kaise ikatthe kar diye hain saath rang shokh hain saaton ke saaton ik nahin hai maat rang hai ye qudrat ka nazaara aur kya kahiye ise bas yahii jee chahta hai dekhte rahiye ise nanhe nanhe jama the paani ke kuchh qatre vahaañ un pe daala aks suraj ne banaa dii ye kamaan dekho dekho ab mitti jaati hai vo pyaari dhanak dekhte hi dekhte gum ho gaii saari dhanak phir hawa men mil gaii vo sab ki sab kuchh bhi nahin aañkhen mal mal kar na dekho aao ab kuchh bhi nahin

Related Nazm

Nazm ik baras aur kat gaya shariq roz saanson ki jang ladte hue sab ko apne KHilaaf karte hue yaar ko bhoolne se darte hue aur sab se badaa kamaal hai ye saansen lene se dil nahin bharta ab bhi marne ko jee nahin karta

Shariq Kaifi

46 likes

ham ghoom chuke bastii ban men ik aas ki phaans li.e man men koi saajan ho koi pyaara ho koi deepak ho koi taara ho jab jeevan raat andheri ho ik baar kaho tum meri ho jab saawan baadal chhaaye hon jab phaagun phool khilaaye hon jab chanda roop lutaata ho jab suraj dhoop nahaata ho ya shaam ne bastii gheri ho ik baar kaho tum meri ho haandil ka daaman faila hai kyungori ka dil maila hai ham kab tak peet ke dhoke men tum kab tak door jharoke men kab deed se dil ko seeri ho ik baar kaho tum meri ho kya jhagda sood khasaare ka ye kaaj nahin banjaare ka sab sona roopa le jaa.e sab duniya duniya le jaa.e tum ek mujhe bahuteri ho ik baar kaho tum meri ho

Ibn E Insha

22 likes

hallucination main apne band kamre men pada hooñ aur ik deewaar par nazrein jamaaye manaazir ke ajoobe dekhta hooñ usii deewaar men koi khala hai mujhe jo ghaar jaisa lag raha hai vahaañ makdi ne jaal bun liya hai aur ab apne hi jaal men fansi hai wahin par ek murda chipkili hai kaii sadiyon se jo saakit padi hai ab us par kaai jamti ja rahi hai aur us men ek jungle dik raha hai darakhton se parinde gir rahe hain kulhaadi shaakh par latki hui hai lakadhaare pe geedad hañs rahe musalsal tez baarish ho rahi hai kisi patte se gir kar ek qatra achaanak ek samundar ban gaya hai samundar naav se ladne laga hai machhera machliyon men ghir gaya hai aur ab patwaar seene se laga kar vo neele aasmaañ ko dekhta hai jo yak-dam zard padta ja raha hai vo kaise ret banta ja raha hai mujhe ab sirf sehra dik raha hai aur us men dhoom ki chadar bichi hai magar vo ek jagah se phat rahi hai vahaañ par ek saaya naachta hai jahaan bhi pair dharta hai vahaañ par sunhare phool khilte ja rahe hai ye sehra baagh banta ja raha hai aur us men titliyan dikhti hain paron men jin ke neeli raushni hai vo har pal tez hoti ja rahi hai so meri aankh men chubhne lagii hai so main ne haath aankhoñ par rakhe hain aur ab ungli hata kar dekhta hooñ ki apne band kamre men pada hooñ aur ik deewaar ke aage khada hooñ

Ammar Iqbal

13 likes

agar tum na hoti agar tum na hoti vabaa ke dinon men to mujhe kaun kahtaa hai ki kaadhaa banaa lo suno kuchh dinon ko meri baat maano aur thandi cheezein se KHud ko bacha lo barf ka thanda paani jo munh se lagata batao mujhe kaun nakhre dikhaata bhala kaun kahtaa hai mujhe tumse koii baat karne nahin hai jo marzi men aa.e karo tum maro tum mujhe maar daalo karo khoob man kii agar tum na hoti to main kis se kahtaa suno tum suno naa meri jaan sun lona rutho tum mujhse chalo maan jaao hamaare li.e hi to baagh-e-behisht se aadam aur hawwa nikale ga.e hain kabhi ham milenge kabhi ham banenge ham ik dooje ke haathon men haathon ko dekar ik manzil chunenge usii par chalenge agar tum na hoti to main kis se kahtaa hooñ tumhaari ye gahri antalaatik sii aankhoñ men kaii taitanik dafan ho rahe hain sambhalo inhen tum bacha lo inhen tum mujhe doobne do main antik banuunga agar tum na hoti to naz men ye ghazlein kise main sunaata bhala kaun kahtaa satao naa mujh...ko rulao naa mujh...ko meri vahshaton se bacha lo naa mujh...ko suno naa gale se laga lo mujh...ko

Anand Raj Singh

9 likes

ham ladke hain aaj aapko sab sach-sach bataate hain ham kis li.e itnaa muskuraate hain ham ko rona bhi aa.e to kahaan ro paate hain koi dekh na le rota hua ye soch kar dar jaate hain dard sahte hain aur apne aasuon ko pee jaate hain ham vo hain jinhen apne ashk bahaane se roka jaata hai jinhen apna dard sunaane se roka jaata hai ham vo hain jo KHud hi KHud ka mazaak banaate hain aur phir ek dooje se sach chhipaate hain ham sab kuchh kar sakte hain magar kabhi khul kar ro nahin sakte hamaara dard hamaare siva is duniya men kahaan koi samajh paata hai sukh men khul ke hanste hain aur dukh men jhooth-mooth ka muskurana aata hai ham ladke hain sahab ha men bachpan se bas yahii sikhaaya gaya hai ladke rote nahin hain ye bol-bol kar patthar dil banaya gaya hai apne man ki karne vaala is samaaj ki nazar men har ladka bura hai apne aasuon ko pee jaao doston ham ladke hain ha men rona manaa hai

ABhishek Parashar

11 likes

More from Hafeez Jalandhari

ut thii hai maghrib se ghatta peene ka mausam aa gaya hai raqs men ik mahlaqa naazuk ada naaz-aafreen haan naachti ja gaaye ja nazaron se dil barmaaye ja tad paa.e ja tad paa.e ja o dushman-e-duniya-o-deen teraa thirkana khoob hai teri adaayein dil-nasheen lekin thehar tu kaun hai o neem-uryaan naazneen kya mashriqi aurat hai tu hargiz nahin hargiz nahin teri hañsi bebaak hai teri nazar chaalaak hai uf kis qadar dil-soz hai taqreer baazaari tiri kitnii hawas-aamoz hai ye saada purkaari tiri sharm aur izzat waaliyaan hoti hain iffat waaliyaan vo husn ki shehzaadiyaan parde ki hain aabaadiyaan chashm-e-falak ne aaj tak dekhi nahin un ki jhalak sarmaaya-e-sharm-o-haya zevar hai un ke husn ka shauhar ke dukh sahti hain vo munh se nahin kahti hain vo kab saamne aati hain vo ghairat se kat jaati hain vo ezaaz-e-millat un se hai naam-e-sharaafat un se hai eimaan par qaaim hain vo paakizaa-o-saaem hain vo tujh men nahin sharm-o-haya tujh men nahin mehr-o-wafa sach sach bataa tu kaun hai o be-haya tu kaun hai ehsaas-e-izzat kyun nahin sharm aur ghairat kyun nahin ye pur-fusoon ghamze tire naa-mehramon ke saamne hat saamne se door ho mardood ho maqhoor ho taqdeer ki heti hai tu shaitaan ki beti hai tu jis qaum ki aurat hai tuus qaum par la'anat hai tu lekin thehar jaana zaraa teri nahin koi KHataa mardon men ghairat hi nahin qaumi hamiyat hi nahin vo millat-e-baiza ki thii saare jahaan ki raushni jama'iyat-e-islamiyaan shaahnashah-e-hindostaan ab is men dam kuchh bhi nahin ham kya hain ham kuchh bhi nahin milli siyaasat uth gaii baazu ki taqat uth gaii shaan-e-hijaazi ab kahaan vo turktaazi ab kahaan ab ghaznavi himmat gaii ab babri shaaukat gaii eimaan aalamgeer ka muslim ke dil se uth gaya qaum ab jafa-pesha hui izzat gada-pesha hui ab rang hi kuchh aur hai be-ghairati ka daur hai ye qaum ab mitne ko hai ye nard ab pitne ko hai afsos ye hindostaan ye gulshan-e-jannat-nishaan eemaan-daaron ka watan taa't-guzaaron ka watan rah jaayega veeraana phir ban jaayega but-khaana phir lekin mujhe kya khubt hai taqreer kyun be-rabt hai aisa bahak jaata hooñ main munh aayi bak jaata hooñ main itnaa sharaabi ho gaya aql-o-khird ko kho gaya mujh ko zamaane se garz mitne mitaane se garz hindostaan se kaam kya andesha-e-anjaam kya jeene do jeene do mujhe peene do peene do mujhe jab hashr ka din aayegaus vaqt dekha jaayega haan naachti ja gaaye ja nazaron se dil barmaaye ja tad paa.e ja tad paa.e ja o dushman-e-duniya-o-deen

Hafeez Jalandhari

0 likes

sharaab-khaana hai bazm-e-hasti har ek hai mahv-e-aish-o-masti maal-beeni o may-parasti are ye zillat are ye pasti shiaar-e-rindaana kar pi.e ja agar koi tujh ko tokta hai sharaab peene se rokta hai samajh ise hosh men nahin hai khird ke aaghosh men nahin hai tu is se jhagda na kar pi.e ja khayaal-e-roz-e-hisaab kaisa savaab kaisa azaab kaisa behisht o dozakh ke ye fasaane KHuda ki baatein KHuda hi jaane fuzool socha na kar pi.e ja nahin jahaan men mudaam rahna to kis li.e tishna-kaam rahna utha utha haan utha suboo ko tamaam duniya ki haw huu ko ghareeq-e-paimaana kar pi.e ja kisi se takraar kya zaroorat fuzool israar kya zaroorat koi pi.e to use pila de agar na maane to muskuraa de malaal-e-asla na kar pi.e ja tujhe samjhte hain ahl-e-duniya KHaraab khasta zaleel rusva nahin ayaan un pe haal teraa koi nahin ham-khayaal teraa kisi ki parwa na kar pi.e ja ye tujh par aawaaze kasne waale tamaam hain mere dekhe bhaale nahin mazaak un ko may-kashi ka ye KHoon peete hain aadmi ka tu un ka shikwa na kar pi.e ja

Hafeez Jalandhari

0 likes

lahd men so rahi hai aaj be-shak musht-e-khaak us ki magar garm-e-amal hai jaagti hai jaan-e-paak us ki vo ik faani bashar tha main ye baawar kar nahin saka bashar iqbaal ho jaa.e to hargiz mar nahin saka b-zer-e-saaya-e-deewaar-e-masjid hai jo aasooda ye khaaki jism hai sattar baras ka raah paimooda ye khaaki jism bhi us ka bahut hi besh-qeemat tha jise ham-jalwa samjhe the vo parda bhi ghaneemat tha use ham naapte the le ke aankhoñ hi ka paimaana ghazal-khwaan us ko jaana ham ne shaair us ko gardaana faqat soorat hi dekhi us ke ma'ni ham nahin samjhena dekha rang-e-tasveer aaine ko dil-nasheen samjhe ha men zof-e-basaarat se kahaan thii taab-e-nazzaara sikhaae us ke parde ne ha men aadaab-e-nazaara ye naghma kya hai zer-e-parda-ha-e-saaz kam samjhe rahe sab gosh-bar-awaaz lekin raaz kam samjhe shikast-e-paikar-e-mehsoos ne toda hijaab aaKHir tuloo-e-subh-e-mahshar ban ke chamka aftaab aaKHir muqayyad ab nahin iqbaal apne jism-e-faani men nahin vo band haa'il aaj dariyaa ki ravaani men wajood-e-marg ki qaael nahin thii zindagi us ki ta'aalaa allah ab dekhe koi pa'indagi us ki jise ham murda samjhe zinda tar paainda tar niklaa mah o khurshid se zarre ka dil taabinda tar niklaa abhii andaaza ho saka nahin us ki bulan dii ka abhii duniya ki aankhoñ par hai parda firqa-ban dii ka magar meri nigaahon men hain chehre un jawaanon ke jinhen iqbaal ne bakshe hain baazu qahr-maano'n ke

Hafeez Jalandhari

0 likes

aa ja ri chidiya aa ja ri chidiya munder par kyuuñ karti hai chun chun aa ja tujhe main d aanaa khilaaun roti ke bhoore chat par bikheroon le apna khaaja kha ja ri chidiya sun le ri chidiya sun le ri chidiya kya nanhe nanhe bacche hain tere karte hain cheen cheen itne savere le main ne gehuun chat par bikhere ye daane dunke chun le ri chidiya sun le ri chidiya sun le ri chidiya aa pyaari chidiya aa pyaari chidiya ud-ud ke aanaa mud mud ke j aanaa bacchon ko apne d aanaa khil aanaa lagta hai jee ko kaisa suh aanaa kya pyaara pyaara hai teraa g aanaa ga khoob din bhar ga pyaari chidiya aa pyaari chidiya aa pyaari chidiya ud ja ri chidiya ud ja ri chidiya vo maano billi baithi hai dubki tujh ko pakad kar bas kha hi legi miTTi ke u uupar ja baith unchi neeche na aanaa mud ja ri chidiya ud ja ri chidiya ud ja ri chidiya

Hafeez Jalandhari

0 likes

ai dekhne waalo is husn ko dekho is raaz ko samjho ye naqsh-e-khyaali ye fikrat-e-aali ye paikar-e-tanveer ye krishna ki tasveer ma'ni hai ki soorat san'at hai ki fitrat zaahir hai ki mastur nazdeek hai ya door ye naar hai ya noor duniya se niraala ye baansuri vaala gokul ka gvaala hai seher ki e'jaz khulta hi nahin raaz kya shaan hai wallaah kya aan hai wallaah hairaan hooñ kya hai ik shaan-e-khuda hai but-khaane ke andar KHud husn ka but-gar but ban gaya aa kar vo turfah nazzare yaad aa ga.e saare jamuna ke kinaare sabze ka lahkna phoolon ka mahakna ghanghor ghataein sarmast hawaein maasoom umangein ulfat ki tarangein vo gopiyo ke saath haathon men diye haath raksaan hua brijnath bansi men jo lay hai nashsha hai na may hai kuchh aur hi shay hai ik rooh hai raksaan ik kaif hai larzaan ek aql hai may-nosh ik hosh hai madhosh ik khanda hai sayyaal ik giryaa hai khush-haal ik ishq hai maghroor ik husn hai majboor ik seher hai mashhoor darbaar men tanhaa laachaar hai krishna aa shyaam idhar aa sab ahl-e-khusoomat hain dar paye izzat ye raaj dulaare buzdil hue saare parda na ho taaraaj bekas ki rahe laaj aa ja mere kaale bharat ke ujaale daaman men chhupa le vo ho gaii an-ban vo garm hua ran ghalib hai duryodhan vo aa ga.e jagdeesh vo mit gaii tashveesh arjun ko bulaayaa upadesh sunaaya gham-zaad ka gham kya ustaad ka gham kya lo ho gaii tadbeer lo ban gaii taqdeer lo chal gaii shamsheer seerat hai adoo-soz soorat nazar-aafroz dil kaifiyat-andoz ghusse men jo aa jaa.e bijli hi giraa jaa.e aur lutf par aa.e to ghar bhi luta jaa.e pariyon men hai gulfaam radha ke li.e shyaam balram ka bhaiyya mathura ka basya bindra men kanhaiyya ban ho ga.e veeraan barbaad gulistaan sakhiyaan hain pareshaan jamuna ka kinaara sunsaan hai saara toofaan hain KHaamosh maujon men nahin josh lau tujh se lagii hai hasrat hi yahii hai ai hind ke raja ik baar phir aa ja dukh dard mita ja abr aur hawa se bulbul ki sadaa se phoolon ki ziya se jaadoo-asri gum shorida-sari gum haan teri judaai mathura ko na bhaai tu aa.e to shaan aa.e tu aa.e to jaan aa.e aanaa na akelaa hon saath vo mele sakhiyon ke jhamele

Hafeez Jalandhari

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Hafeez Jalandhari.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Hafeez Jalandhari's nazm.