1 garm-joshi ab suraj sar par aa dhamkega thanda loha chamkega aur dhoop jawaan ho jaayegi sathiy aa.e hue farzaanon par ab zeest giran ho jaayegi har asl ayaan ho jaayegi ab khoob hansega deewaana ab aag bagule nachenge sab langde loole nachenge girdaab-e-bala ban jaayenge raun dii hui miTTi ke zarre toofaan-b-pa ban jaayenge sehra dariyaa ban jaayenge ab khoob hansega deewaana ab susti jaal bichaayegi ab dhons na chalne paayegi mazdooron aur kisaano par ab sookha KHoon nichodne waale roenge nuqsaanon par in kheton in khaliyaanon par ab khoob hansega deewaana ab peeli dhaat ki beemaarii faila na sakenge byopaari lohe ka loha maanenge sone ki gahri kaanon men so jaana behtar jaanenge dar dar ki KHaak na chaanenge ab khoob hansega deewaana ab KHoon ke saagar kholenge insaan ke jauhar kholenge chadh jaayegi tap seharaaon ko utthegi umad kar laal aandhi pee jaayegi daryaon ko baandhega tund hawaon ko ab khoob hansega deewaana har zulf se bichhoo lapkenge aankhoñ se sharaare tapkengay sayyaadon husn-shikaaron par ghusse ka paseena footegamoti ban kar rukhsaaron par is dhoop men chaand sitaaron par ab khoob hansega deewaana ab doodh na denge bhainsen gaayein uf uf karne lagengi maayein bacche mam mam cheekhenge aur oonghne waale nikhatoo shauhar aql-e-mujassam cheekhenge sab darham-barham cheekhenge ab khoob hansega deewaana ab khaanqahon ki murda udaasi roz-e-azl ki bhooki pyaasi jhoomengi may-khaanon par ab saaqi mugache peer-e-mugaan bechenge vaaz dukano par in zahar bhare paimaanon par ab khoob hansega deewaana zor-aavari se kamzoron ki ab jeb kategi choron ki aur man dii sahoo-kaaron ki ab bhooki hoo-haqq sair karegi mandiyon aur bazaaron ki gat dekh ke duniya-daaron ki ab khoob hansega deewaana jeena dil gurda dhundega har zinda murda dhundega koi kona-khadra tah-khaana ab har jungle men mangal hogaa har bastii men veeraana ik naara laga kar mastaana ab khoob hansega deewaana 2 sard-mehri ab jaada jhande gaadega aur feel-e-falak chinghadega ab baadal shor machaayenge ab bhoot falak par chadh daudenge dharti ko dahlaayenge hansne ke maze ab aayenge ab khoob hansega deewaana aiwaan karenge bhaayen bhaayen foon ki jhonpadiyon men hawaaein saayein saayein goonjengi is goonj men bhooke nango ki sunsaan sadaaein goonjengi veeraan saraayein goonjengi ab khoob hansega deewaana ab bijli ke kodoon se hawa shamsher-b-kaf zanjeer-b-paa lohe ke rathon ko haankegi ek ek dhuen ke mahmil se sad husn ki malika jhaankegi ab aag angaare faankegi ab khoob hansega deewaana ab than dii aahon ke parnaale pale aafat ke par kaale kande tole barseinge ab aahan thanda pad jaayega aahan ke gole barseinge har sar par ole barseinge ab khoob hansega deewaana takhreeb ki topen chhootengi taameer ki kaliyaan footengi har goristaan-e-shaahi men baala-e-hawaa zer-e-dariya ghul hogaa murgh o maahi men is nau-aabaad tabaahi men ab khoob hansega deewaana ab naagin baanbi garmayegi saanp ki laali leharaayegi kaale aatish-daano men danaaiyan kenchuli badlengi shehron ke bandi-khaano men aur door khule maidaanon men ab khoob hansega deewaana bhus khaali pet men bhar na sakega koi tijaarat kar na sakega suk dii suk dii khaalon ki ab mandh bhi jaa.e to baj na sakegi naubat paise waalon ki bekaari par dallaalon ki ab khoob hansega deewaana ab daal na jaageeron ki galegi aag magar din raat jalegi chamde ke tannooron men ab kaal padega ghalle ka byopaariyon be-maqdooron men aur pet bhare mazdooron men ab khoob hansega deewaana ab gaadhaa paseena bunne waale odhe firenge shaal do-shaale muft na jhoole jhoolengi phoole hue gaal ab pachakenge pichki hui tonde phoolengi sab aqlen chauka dii bhoolengi ab khoob hansega deewaana
Related Nazm
bachpan aata hai yaad hamko guzra hua zam aanaa aangan men khidkiyon par chidiyon ka chahchah aanaa barsaat ka mahina kaagaz kii kashtiyaañ aur phoolon kii daaliyon se vo titliyan udh aanaa jungle kii sair karte ham roz subah uthkar apna to lafz-e-jaan tha suraj ko hai jag aanaa papa ke paalne men basti thii apni duniya mummy kii god men tha chhota sa aashiyana kheton ko jab bhi jaate papa ke saath men to pesha hi ban gaya tha pairo'n se dhool udh aanaa sunte the jab kahaanii raaton ko daa dii maa se zid karke phir se kahte ek aur bhi sun aanaa bachpan ka daur to bas masti se kat raha tha titli kii aarzoo thii kaliyon sa muskurana chhoone kii chaand ko ham koshish hazaar karte aur ye bhi jaante the mushkil hai isko p aanaa andaaz us samay men khaaliq se kam nahin tha bachpan se hi tha apna jannat men aanaa j aanaa rote bahut hain ab to vo daur yaad karke ashkon kii aastaan hi hansne ka tha thik aanaa
Prashant Kumar
5 likes
nazm mazdoor kaun hai yahaañ hamaara kiske hain ham khaalat hai hamko ki mazdoor hain ham tapa tapaakar jism apna aahnon par pighlaayaa hamne nason se tapkata tha lahu jab miTTi ke gharaunde banaaye hamne li.e badan pe chaale ab dast-e-la-makaan firte hain ham kaun hai yahaañ hamaara kiske hain ham khaalat hai hamko ki mazdoor hain ham subah hote hi namak chhidakta hai suraj jinke zaKHmon pe aur raat tanj karti ho muflisi pe jinki aasmaañ ki thaali men ek roti samjhe bacche takte rahte hon chaand ko aise bad-qismat bacchon ke maa-baap hain ham kaun hai yahaañ hamaara kiske hain ham khaalat hai hamko ki mazdoor hain ham
Sagar Agrawal
5 likes
agar tum na hoti agar tum na hoti vabaa ke dinon men to mujhe kaun kahtaa hai ki kaadhaa banaa lo suno kuchh dinon ko meri baat maano aur thandi cheezein se KHud ko bacha lo barf ka thanda paani jo munh se lagata batao mujhe kaun nakhre dikhaata bhala kaun kahtaa hai mujhe tumse koii baat karne nahin hai jo marzi men aa.e karo tum maro tum mujhe maar daalo karo khoob man kii agar tum na hoti to main kis se kahtaa suno tum suno naa meri jaan sun lona rutho tum mujhse chalo maan jaao hamaare li.e hi to baagh-e-behisht se aadam aur hawwa nikale ga.e hain kabhi ham milenge kabhi ham banenge ham ik dooje ke haathon men haathon ko dekar ik manzil chunenge usii par chalenge agar tum na hoti to main kis se kahtaa hooñ tumhaari ye gahri antalaatik sii aankhoñ men kaii taitanik dafan ho rahe hain sambhalo inhen tum bacha lo inhen tum mujhe doobne do main antik banuunga agar tum na hoti to naz men ye ghazlein kise main sunaata bhala kaun kahtaa satao naa mujh...ko rulao naa mujh...ko meri vahshaton se bacha lo naa mujh...ko suno naa gale se laga lo mujh...ko
Anand Raj Singh
9 likes
suno saheli kahooñ paheli hai jo koi bujhe socho samjho aur phir poochho agar tumhein na sujhe soch samajh kar kehna sunna apna ek usool phoolon men hai sab se pyaara bhala kaun sa phool sosan tesoo kamal motiya raat ki raani champana na soorj-mukhi chameli din ka raja genda in ka kya hai murjhaayein to KHaak banen ya dhool kapda ban kar jo tan dhaanke vo kapaas ka phool dekh bhaal kar jaanch parakh kar kehna sacchi baat dhaaton men hai bade kaam ki bhala kaun si dhaat jis se banti thaal katori gaagar peetal taamba jhanjar jhoomar jhumka ban ke jhumke chaan dii sona engine motor aur masheenein jis ne keen ijaad dhaaton men hai sab se a'laa loha aur faulaad andar baahar ek rahe jo kabhi na badle bhes duniya bhar men sab se pyaara bhala kaun sa des pyaar mohabbat aman shaanti jis dharti ki shaan sab se pyaara sab se nyaara apna hindostaan
Unknown
3 likes
bade naaz se aaj ubhara hai suraj himaala ke unche kals jagmagaae pahaadon ke chashmon ko sona banaya naye bill naye zor in ko sikh aa.e libaas-e-zari aabshaaron ne paaya nashebi zameenon pe chheente ud aa.e ghane unche unche darakhton ka manzar ye hain aaj sab aab-e-zar men nah aa.e magar in darakhton ke s aa.e men ai dil hazaaron baras ke ye thithure se paude hazaaron baras ke ye simte se paude ye hain aaj bhi sard behaal be-dam ye hain aaj bhi apne sar ko jhuk aa.e are o nayi shaan ke mere suraj tiri aab men aur bhi taab aa.e tire paas aisi bhi koi kiran hai jo aise darakhton men bhi raah paa.e jo thehre huoon ko jo simte huoon ko hararat bhi bakshe gale bhi lag aa.e bade naaz se aaj ubhara hai suraj himaala ke unche kals jagmagaae fazaaon men hone lagii baarish-e-zar koi naazneen jaise afshaan chhud aa.e damakne lage yuñ khalaon ke zarre ki taaron ki duniya ko bhi rashk aa.e hamaare uqaabon ne angadaaiyaan leen sunhari hawaon men par fadfad aa.e fuzoon-tar hua nashsha-e-kaamraani tajassus ki aankhoñ men dore se aa.e qadam choomne barq-o-baad aab-o-aatish b-sad-shauq daude b-sad-izz aa.e magar barq o aatish ke s aa.e men ai dil ye sadiyon ke khud-rafta naashaad taair ye sadiyon ke par-basta barbaad taair ye hain aaj bhi muzmahil dil-girfta ye hain aaj bhi apne sar ko chhu paa.e are o nayi shaan ke mere suraj tiri aab men aur bhi taab aa.e tire paas aisi bhi koi kiran hai unhen panja-e-tez se jo bach aa.e inhen jo naye baal-o-par aa ke bakshe inhen jo naye sir se udna sikh aa.e
Moin Ahsan Jazbi
6 likes
More from Hafeez Jalandhari
lahd men so rahi hai aaj be-shak musht-e-khaak us ki magar garm-e-amal hai jaagti hai jaan-e-paak us ki vo ik faani bashar tha main ye baawar kar nahin saka bashar iqbaal ho jaa.e to hargiz mar nahin saka b-zer-e-saaya-e-deewaar-e-masjid hai jo aasooda ye khaaki jism hai sattar baras ka raah paimooda ye khaaki jism bhi us ka bahut hi besh-qeemat tha jise ham-jalwa samjhe the vo parda bhi ghaneemat tha use ham naapte the le ke aankhoñ hi ka paimaana ghazal-khwaan us ko jaana ham ne shaair us ko gardaana faqat soorat hi dekhi us ke ma'ni ham nahin samjhena dekha rang-e-tasveer aaine ko dil-nasheen samjhe ha men zof-e-basaarat se kahaan thii taab-e-nazzaara sikhaae us ke parde ne ha men aadaab-e-nazaara ye naghma kya hai zer-e-parda-ha-e-saaz kam samjhe rahe sab gosh-bar-awaaz lekin raaz kam samjhe shikast-e-paikar-e-mehsoos ne toda hijaab aaKHir tuloo-e-subh-e-mahshar ban ke chamka aftaab aaKHir muqayyad ab nahin iqbaal apne jism-e-faani men nahin vo band haa'il aaj dariyaa ki ravaani men wajood-e-marg ki qaael nahin thii zindagi us ki ta'aalaa allah ab dekhe koi pa'indagi us ki jise ham murda samjhe zinda tar paainda tar niklaa mah o khurshid se zarre ka dil taabinda tar niklaa abhii andaaza ho saka nahin us ki bulan dii ka abhii duniya ki aankhoñ par hai parda firqa-ban dii ka magar meri nigaahon men hain chehre un jawaanon ke jinhen iqbaal ne bakshe hain baazu qahr-maano'n ke
Hafeez Jalandhari
0 likes
ai dekhne waalo is husn ko dekho is raaz ko samjho ye naqsh-e-khyaali ye fikrat-e-aali ye paikar-e-tanveer ye krishna ki tasveer ma'ni hai ki soorat san'at hai ki fitrat zaahir hai ki mastur nazdeek hai ya door ye naar hai ya noor duniya se niraala ye baansuri vaala gokul ka gvaala hai seher ki e'jaz khulta hi nahin raaz kya shaan hai wallaah kya aan hai wallaah hairaan hooñ kya hai ik shaan-e-khuda hai but-khaane ke andar KHud husn ka but-gar but ban gaya aa kar vo turfah nazzare yaad aa ga.e saare jamuna ke kinaare sabze ka lahkna phoolon ka mahakna ghanghor ghataein sarmast hawaein maasoom umangein ulfat ki tarangein vo gopiyo ke saath haathon men diye haath raksaan hua brijnath bansi men jo lay hai nashsha hai na may hai kuchh aur hi shay hai ik rooh hai raksaan ik kaif hai larzaan ek aql hai may-nosh ik hosh hai madhosh ik khanda hai sayyaal ik giryaa hai khush-haal ik ishq hai maghroor ik husn hai majboor ik seher hai mashhoor darbaar men tanhaa laachaar hai krishna aa shyaam idhar aa sab ahl-e-khusoomat hain dar paye izzat ye raaj dulaare buzdil hue saare parda na ho taaraaj bekas ki rahe laaj aa ja mere kaale bharat ke ujaale daaman men chhupa le vo ho gaii an-ban vo garm hua ran ghalib hai duryodhan vo aa ga.e jagdeesh vo mit gaii tashveesh arjun ko bulaayaa upadesh sunaaya gham-zaad ka gham kya ustaad ka gham kya lo ho gaii tadbeer lo ban gaii taqdeer lo chal gaii shamsheer seerat hai adoo-soz soorat nazar-aafroz dil kaifiyat-andoz ghusse men jo aa jaa.e bijli hi giraa jaa.e aur lutf par aa.e to ghar bhi luta jaa.e pariyon men hai gulfaam radha ke li.e shyaam balram ka bhaiyya mathura ka basya bindra men kanhaiyya ban ho ga.e veeraan barbaad gulistaan sakhiyaan hain pareshaan jamuna ka kinaara sunsaan hai saara toofaan hain KHaamosh maujon men nahin josh lau tujh se lagii hai hasrat hi yahii hai ai hind ke raja ik baar phir aa ja dukh dard mita ja abr aur hawa se bulbul ki sadaa se phoolon ki ziya se jaadoo-asri gum shorida-sari gum haan teri judaai mathura ko na bhaai tu aa.e to shaan aa.e tu aa.e to jaan aa.e aanaa na akelaa hon saath vo mele sakhiyon ke jhamele
Hafeez Jalandhari
0 likes
fitna-e-khuftaa jagaae us gha dii kis ki majaal qaid hain shehzaadiyaan koi nahin pursaan-e-haal in ghareebon ki madad par koi aamada nahin ek shaayar hai yahaañ lekin vo shehzaada nahin aahoon ki surmageen palken fazaa par hukmraan chhaai hain arz o samaa par aahneen si jaaliyaan door se kohsaar o waa dii par ye hota hai gumaan oont hain baithe hue utara hua hai kaarwaan ya asar hain aasmaan-e-peer par barsaat ke khema-e-bosida men paivand hain baanaat ke aur is khe men ke andar zindagi soi hui teergii soi hui taabindagi soi hui ai hafiz in neend ke maaton ki manzil se nikal kaam hai darpaish daam-e-deeda-o-dil se nikal deeda-o-dil ko bhi ghaflat ke shabistaan se nikaal ye jo khaamoshi ki zanjeeren hain in ko tod daal subh karne ke li.e phir haav-hoo darkaar hai shukr kar soti hui duniya men tu bedaar hai
Hafeez Jalandhari
0 likes
imarat aur shaaukat aur armaaye ki tasveerein ye aivaanaat sab hain haal hi ki taaza taamirein idhar kuchh faasle par chand ghar the kaasht-kaaron ke jahaan ab kaar-khaane ban ga.e sarmaaya-daaron ke maweshi ho ga.e neelaam kyun ye koi kya jaane kachehri jaane saahookaar jaane ya KHuda jaane zameen-daaron ko ja kar dekh le jo bhi koi chahe naye bhatoon men eenten thaapte firte hain halwahe yahaañ apne purane gaav ka ab kya raha baaki yahii takiya yahii ik main yahii ik jhonpadaa baaki azeemushshaan bastii hai ye nau-aabaad veeraana yahaañ ham ajnabi dono hain main aur meraa kaashaana
Hafeez Jalandhari
1 likes
siyaahi ban ke chaaya shahar par shaitaan ka fitna gunaahon se lipt kar so gaya insaan ka fitna panaahen husn ne paai siyahkaari ke daaman men wafadari hui roo-posh naadaari ke daaman men muyassar hain zari ke shaamiyaane khush-naseebi ko odha dii saaya-e-deewar ne chadar ghareebi ko mashqat ko sikha kar khoobiyaan khidmat-guzaari ki hui be-KHauf be-imaaniyaan sarmaaya-daari ki liya aaghosh men phoolon ki seejon ne ameeri ko muhayya KHaak hi ne kar diye aasan faqiri ko tadapna chhod kar chup ho ga.e jee haarne waale maze ki neend soye taaziyaane maarnay waale vo roohani vo jismaani uqoobat kam hui aaKHir ghulaami bediyo ke bojh se be-dam hui aaKHir hue fariyaadiyon par band aivaanon ke darwaaze ki KHud muhtaaj-e-darbaan hain jahaan-baano ke darwaaze isee andaaz se ja soi ghaflat baadshaahon ki suroor o kaif ban kar chha gaiin neenden gunaahon ki sharaaben khatm kar ke ho ga.e KHaamosh hangaa men bil-aakhir neend aayi so ga.e pur-josh hangaa men thama jab zindagi ka josh parakhash-e-ajal jaagi amal ko dekh kar madhosh paadaash-e-amal jaagi uthaya maut ne patthar jahannam ke dahaane se jahaan aatish ka dariyaa kholta tha ik zamaane se bulan dii se tabaahi ke samundar ne kiya dhaava chataanon ke jigar se phoot niklaa aatishin-laava dikha dii aag aivaanon ko mazloomi ki aahon ne uthaaye shola-ha-e-aatishin bekas nigaahon ne unhen mukhtar ban kar bekasi ke KHoon ki maujen hisaar-e-marg ne mahsoor kar leen jang jo faujen na husn o ishq ne paai amaan qahar-e-ilaahi se dabii paadaash ameeri se faqiri se na shaahi se sitaaron ki nigaahon ne dhuaan uthata hua dekha magar khurshid ne kuchh bhi na miTTi ke siva dekha
Hafeez Jalandhari
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hafeez Jalandhari.
Similar Moods
More moods that pair well with Hafeez Jalandhari's nazm.







