dariyaa chadhaav par hai aur bojh naav par hai pahna-e-aab saara hai kooch ka ishaara hosh-aazmaa nazaara maujon ke munh men kaf hai ik shor har taraf hai marg-aafreen hai dhaara aur door hai kinaara koi nahin sahaara tegh-aazmaa hain lahren tege hain ya hain lahren tauba hawa ki tezi mauj-e-fana ki tezi hai kis bala ki tezi tadbeer-e-naaKHuda kya chappu ka aasraa kya girdaab pad rahe hain kashtii se lad rahe hain takhte ukhad rahe hain nagmon ka josh KHaamosh sab naav-nosh KHaamosh hai ye baraat kis ki nau-shah aur baraati laute hain le ke doli mayus hain nigaahen raksaan labon pe aahen doli men hoor paikar kya kaanpati hai tharthar lekin hai muhr lab par dulha ke sar pe sehra lekin udaas chehra ishrat ki aarzoo thii ulfat ki justuju thii ummeed roo-b-roo thii ye inqilaab kya hai aaghosh-marg vaa hai afsos ya-ilaahi kya aa gaii tabaahi qismat ki kam nigaahi dil sard ho rahe hain rukh zard ho rahe hain is mahshar-e-bala men is lahja-e-fana men is sail-e-baad-pa men sab ahl-e-yaas gum hain hosh-o-hawas gum hain kuchh mahav hain dua men kuchh naala-o-buka men kuchh shikwa-e-khuda men bai thii hai ek bewa hai sabr jis ka sheva dil haath se dabaye bachcha gale lagaaye teer-e-umeed khaaye ye baap ki nishaani sarmaaya-e-jawaani ik din jawaan hogaa amaan ka maan hogaa haq mehrbaan hogaa ik naujavaan bad-akhtar bhaaga hai ghar se lad kar chhode the baap-maa bhi biwi bhi aur makaan bhi ab chhodta hai jaañ bhi ai kaash main na aata ai kaash laut jaata ai tab-e-khud-sar afsos ai taish tujh par afsos afsos yaksar afsos ye dev-zaad maujen ye nau-nihaad maujen aaya phir ek rela kashtii banii hai tinka bas ho chala safaayaa tadbeer ro rahi hai taqdeer so rahi hai mallaah tair nikle dariyaa men pair nikle afsos gair nikle toofan-e-gham baha hai fariyaad ki sadaa hai hai kaun jo sambhaale kashtii tire hawaale yaarab tu hi bacha le ai naav ke khawayya lag jaa.e paar nayyaa bandon ka tu KHuda hai aur tu hi naKHuda hai teraa hi aasraa hai
Related Nazm
andhera sar pe chadhta ja raha hai guzarti umr dhalti ja rahi hai zameen paanv nigalti ja rahi hai andhera sar pe chadhta ja raha hai pari aage nikalti ja rahi hai sitaare baari-baari bujh rahe hain hawa moattar hoti ja rahi hai chamakti ja rahi hai koi machhlii samandar barf karti ja rahi hai main apni naav men bekas pada hooñ ufakti nabz doobi ja rahi hai andhera sar pe chadhta ja raha hai andhera hi samandar ka KHuda hai KHuda machhlii pakadna chahta hai
Ammar Iqbal
13 likes
saudaai ajab dil haina jeeta hai na marta haina seene men theharta haina baahar hi nikalta hai ajab jaañ hai tarasti hai ki tu aa.e jhijhakti hai ki tu aa.e to na-maaloom kya hogaa pareshaan hai ki duniya kya kahegi pashemaan hai ki apne ba-hami rishte men vo dam hai na vo KHam hai magar phir bhi bilkhati hai ki tanhaaii ne aisa maar rakkha haina tu aayi to miraa kya banega ajab tu haina apnon men na ghairon meinna gham-andoz khilwat men na jaan-afroz jalvat men mujhe dar hai ki tujhse mel hogaa to kahaan hogaa kisi sar-sabz waa dii men ke is veeraan kutiya men isi duniya men ya phir sarhadon ke paar uqba men ajab main hooñ mufakkir bhi muhqqiq bhi musannif bhi magar afsos 'aashiq bhi gaya-guzra sa shaair bhi baid-az-aql bhi aur rasm-e-duniya se bhi be-gaana jo anjaane men tujhse dher saara pyaar kar baitha b-har-soorat agar kuchh waqiya hai to faqat ye hai miraa dil tujh pe shaida hai mirii jaañ tujh pe waari hai magar phir bhi ye hasrat hai ki koii marham-e-dil dil ko samjh aa.e koii girvida-e-jaan jaañ ko batl aa.e ki tu ik paikar-e-dilkash nahin hai ek naagan hai jo apnon hi ko dasne ke li.e betaab rahtii hai ye sab kuchh jaañ kar bhi main tire in gesuon ke pech-o-kham ka sir-fira qaai dii tadpata rehta hooñ main is li.e shaayad ke tu aa.e tu aa kar mujh...ko pahle kii tarah dobara das jaa.e
Dharmesh bashar
11 likes
ham milenge kahii ham milenge kahii ajnabi shahar ki KHvaab hoti hui shaahraaoon pe aur shaahraaoon pe phaili hui dhoop men ek din ham kahii saath hoge vaqt ki aandhiyon se ati saahtoon par se miTTi hataate huye ek hi jaise aañsu behaate huye ham milenge ghane janglo ki hari ghaas par aur kisi shaakh-e-naazuk par padte huye bojh ki dastaanon men kho jaayenge ham sanobar ke pedon ki nokiile patton se sadiyon se soye huye devataaon ki aañkhen chabo jaayenge ham milenge kahii barf ke bajuon men ghire parvaton par baanjh qabro men lete huye koh pemaaon ki yaad men nazm kahte huye jo pahaadoon ki aulaad thein aur unhen vaqt aane par maa baap ne apni aaghosh men le liya ham milenge kahii shah sulemaan ke urs men hauz ki seediyon par wuzu karne waalo ke shaffaaf chehron ke aage sangemarmar se aarasta farsh par pair rakhte huye aah bharte huye aur darakhton ko mannat ke dhaago se azaad karte huye ham milenge ham milenge kahii naarmendi ke saahil pe aate huye apne gum gashtarashto ki khaak-e-safar se ati vardiyo ke nishaan dekh kar maraakis se palte huye ek jarnel ki aakhiri baat par muskuraate huye ik jahaan jang ki chot khaate huye ham milenge ham milenge kahii roos ki daastaon ki jhoothi kahaanii pe aankhoñ men hairat sajaaye huye shaam lebnaan beirut ki nargisi chashmuro ki aamad ke nohoo pe hanste huye khooni kaziyo se maflooh jalbaaniyaan ke pahaadi ilaaqon men mehmaan ban kar milenge ham milenge ek murda zamaane ki KHush rang tahzeeb men zasb hone ke imkaan men ik puraani imarat ke pahluu men ujde huye laan men aur apne asiroon ki raah dekhte paanch sadiyon se veeraan zindaan men ham milenge tamannaon ki chhatriyon ke tale khwahishon ki hawaon ke bebaak boso se chhalni badan saumpane ke liye raaston ko ham milenge zameen se namoodaar hote huye aathvein barre azam men udte huye kaaleen par ham milenge kisi baar men apni bakaaya bachi umr ki paaymaali ke jaam haath men lenge aur ek hi ghoont men ham ye saiyal andar utaarenge aur hosh aane talak geet gaayenge bachpan ke qisse sunaata hua geet jo aaj bhi hamko azbar hai bedi be bedi tu thildi tapaiye pate paar kya hai pate paar kya hai ham milenge baagh men gaav men dhoop men chaanv men ret men dasht men shahar men masjidoon men kaliso men mandir men mehraab men church men mooslaadhaar baarish men bazaar men KHvaab men aag men gehre paani men galiyon men jungle men aur aasmaanon men kono makaan se pare gair aabda saiyaraaye aarzoo men sadiyon se khaali padi bench par jahaan maut bhi ham se dasto garebaan hogii to bas ek do din ki mehmaan hogii
Tehzeeb Hafi
236 likes
jab papa papa kahte the jab papa papa kahte the ham kitne maze men rahte the jab papa hamne kahawai jaañ phat ke gale men hai aayi tab hanste gaate firte the ab maare maare firte hainna hi kuchh khone ka dar tha tabna hi kuchh paane kii ichchha thii tab man men jahaan bhi aata tha wahin pe roya karte the ham rone ke li.e bhi ab hamko ja buk karvaani padti hai jab papa papa kahte the ham kitne maze men rahte the school ko ham tum jaate the tab zeb men paise rahte the ab haath sabhi ke khaali hain kaisi yaar ab kii padhaai hai vo peeth pe bojh kitaabon ka aur jeb men kanche rahte the jab school se ghar aate the to chaak chura kar laate the gilli danda le lekar roz ham galiyon galiyon firte the jab papa papa kahte the ham kitne maze men rahte the yaad aata hai vo daur ha men daa dii ke aanchal men chhupte the mummy ko jhooth bataate the papa ko jhooth bataate the phir hoti khoob pitaa'i thii ham akkad bakkad karte the khuttal buttal bhi karte the jisse bhi ladai hoti thii jab papa papa kahte the ham kitne maze men rahte the naana naani mausa mausi mehmaan jo ghar men aate the unki zeb se paise churaate the unke baig se cheez churaate the vo bachpan yaad aata hai jab baarish men bheega karte the kaaghaz kii naav banaakar khoob aangan men hamne chalaai thii jab papa papa kahte the ham kitne maze men rahte the mummy kii aankhoñ men rahte ojhal na kahiin phir hote the mummy papa ke hisse kii har cheez humeen ne khaai thii papa kii go dii men rahte ham roz dukano par jaate phir cheez vahii milti hamko ungli jis par bhi uthaai thii jab papa papa kahte the ham kitne maze men rahte the vo din yaad aate hain hamko jab sabke dilon men rahte the bachpan ka fasana yaad aaya ab aankh mirii bhar aayi hai
Prashant Kumar
4 likes
yaad hai pahle roz kaha tha yaad hai pahle roz kaha tha phir na kehna ghalti dil ki pyaar samajh ke karna ladki pyaar nibh aanaa hota hai phir paar lagana hota hai yaad hai pahle roz kaha tha saath chalo to poore safar tak mar jaane ki agli khabar tak samjho yaar KHuda tak hogaa saara pyaar vafaa tak hogaa phir ye bandhan tod na j aanaa chhod ga.e to phir na aanaa chhod diya jo teraa nahin hai chala gaya jo meraa nahin hai yaad hai pahle roz kaha tha ya to toot ke pyaar na karna ya phir peeth pe vaar na karna jab nadaani ho jaati hai nayi kahaanii ho jaati hai nayi kahaanii likh laaunga agle roz main bik jaaunga tere gul jab khil jaayenge mujh...ko paise mil jaayenge yaad hai pahle roz kaha tha bichhad ga.e to mauj udh aanaa waapas mere paas na aanaa jab koi jaakar waapas aa.e roye tadpe ya pachht aa.e main phir us..ko milta nahin hooñ saath dobara chaltaa nahin hooñ gum jaata hooñ kho jaata hooñ main patthar ka ho jaata hooñ
Khalil Ur Rehman Qamar
191 likes
More from Hafeez Jalandhari
dekh bua mirii gote ki chunri aa ha jee gul-naari chunri rang rangeeli pyaari chunri malmal ki ik taari chunri naazuk naazuk saari chunri dekh bua mirii gote ki chunri ammi ke kuchh jee men aaya gote ka ik thaan mangaya chunri par saara chipkaaya har kone par phool banaya dekh bua mirii gote ki chunri lachka hai haathon men lachakta gota hai kundan sa damkata raushni men kaisa hai chamakta haath lagaane se hai maskata dekh bua mirii gote ki chunri is ko KHaraab hone na doongi baithoongi to sanbhaal rakhoongi ghar men ja kar rakh chhodoongi aur tehwaar ke din odhoongi dekh bua mirii gote ki chunri
Hafeez Jalandhari
0 likes
aage peeche daayein baayein kaayein kaayein kaayein kaayein subh-savere noor ke tadke munh dho-dha kar nanhe ladke baithe hain jab khaana khaane kawwe lagte hain mandalaane tauba tauba dheeth hain kitne kawwe hain ya kaale fitne laakh hankaao laakh udaao munh se cheekh haath hilaao ghuro ghudko ya dhutkaaro koi cheez utha kar maaro kawwe baaz nahin aate hain jaate hain phir aa jaate hain har dam hai khaane ki aadat shor machaane ki hai aadat bacchon se bilkul nahin dartaa un ki kuchh parwa nahin karta dekha nanha bholа-bhaala cheen liya haathon se nivaala koi ishaara ho ya aahat taar ke ud jaata hai jhat-pat ab karne do kaayein kaayein ham kyun apni jaan khapaayein
Hafeez Jalandhari
2 likes
aaj baadal khoob barsa aur baras kar khul gaya gulsitaan ki daali daali patta patta dhul gaya dekhna kya dhul gaya saare ka saara aasmaañ udaa udaa neela neela pyaara pyaara aasmaañ hat gaya baadal ka parda mil gaii kirnon ko raah saltanat par apni phir khurshid ne daali nigaah dhoop men hai ghaas par paani ke qatron ki chamak maat hai is vaqt moti aur heere ki damak de rahi hai lutf kya sarsabz pedon ki qataar aur hari shaakhon pe hai rangeen phoolon ki bahaar kya parinde phir rahe hain chahchahaate har taraf raagini barsaat ki KHush ho ke gaate har taraf dekhna vo kya achambha hai are vo dekhna aasmaañ par in darakhton se pare vo dekhna ye koi jaadu hai ya sach-much hai ik rangeen kamaan waah vaa kaisa bhala lagta hai ye pyaara samaan kis musavvir ne bhare hain rang aise khushnuma is ka har ik rang hai aankhoñ men jaise khub gaya ik jagah kaise ikatthe kar diye hain saath rang shokh hain saaton ke saaton ik nahin hai maat rang hai ye qudrat ka nazaara aur kya kahiye ise bas yahii jee chahta hai dekhte rahiye ise nanhe nanhe jama the paani ke kuchh qatre vahaañ un pe daala aks suraj ne banaa dii ye kamaan dekho dekho ab mitti jaati hai vo pyaari dhanak dekhte hi dekhte gum ho gaii saari dhanak phir hawa men mil gaii vo sab ki sab kuchh bhi nahin aañkhen mal mal kar na dekho aao ab kuchh bhi nahin
Hafeez Jalandhari
1 likes
fitna-e-khuftaa jagaae us gha dii kis ki majaal qaid hain shehzaadiyaan koi nahin pursaan-e-haal in ghareebon ki madad par koi aamada nahin ek shaayar hai yahaañ lekin vo shehzaada nahin aahoon ki surmageen palken fazaa par hukmraan chhaai hain arz o samaa par aahneen si jaaliyaan door se kohsaar o waa dii par ye hota hai gumaan oont hain baithe hue utara hua hai kaarwaan ya asar hain aasmaan-e-peer par barsaat ke khema-e-bosida men paivand hain baanaat ke aur is khe men ke andar zindagi soi hui teergii soi hui taabindagi soi hui ai hafiz in neend ke maaton ki manzil se nikal kaam hai darpaish daam-e-deeda-o-dil se nikal deeda-o-dil ko bhi ghaflat ke shabistaan se nikaal ye jo khaamoshi ki zanjeeren hain in ko tod daal subh karne ke li.e phir haav-hoo darkaar hai shukr kar soti hui duniya men tu bedaar hai
Hafeez Jalandhari
0 likes
siyaahi ban ke chaaya shahar par shaitaan ka fitna gunaahon se lipt kar so gaya insaan ka fitna panaahen husn ne paai siyahkaari ke daaman men wafadari hui roo-posh naadaari ke daaman men muyassar hain zari ke shaamiyaane khush-naseebi ko odha dii saaya-e-deewar ne chadar ghareebi ko mashqat ko sikha kar khoobiyaan khidmat-guzaari ki hui be-KHauf be-imaaniyaan sarmaaya-daari ki liya aaghosh men phoolon ki seejon ne ameeri ko muhayya KHaak hi ne kar diye aasan faqiri ko tadapna chhod kar chup ho ga.e jee haarne waale maze ki neend soye taaziyaane maarnay waale vo roohani vo jismaani uqoobat kam hui aaKHir ghulaami bediyo ke bojh se be-dam hui aaKHir hue fariyaadiyon par band aivaanon ke darwaaze ki KHud muhtaaj-e-darbaan hain jahaan-baano ke darwaaze isee andaaz se ja soi ghaflat baadshaahon ki suroor o kaif ban kar chha gaiin neenden gunaahon ki sharaaben khatm kar ke ho ga.e KHaamosh hangaa men bil-aakhir neend aayi so ga.e pur-josh hangaa men thama jab zindagi ka josh parakhash-e-ajal jaagi amal ko dekh kar madhosh paadaash-e-amal jaagi uthaya maut ne patthar jahannam ke dahaane se jahaan aatish ka dariyaa kholta tha ik zamaane se bulan dii se tabaahi ke samundar ne kiya dhaava chataanon ke jigar se phoot niklaa aatishin-laava dikha dii aag aivaanon ko mazloomi ki aahon ne uthaaye shola-ha-e-aatishin bekas nigaahon ne unhen mukhtar ban kar bekasi ke KHoon ki maujen hisaar-e-marg ne mahsoor kar leen jang jo faujen na husn o ishq ne paai amaan qahar-e-ilaahi se dabii paadaash ameeri se faqiri se na shaahi se sitaaron ki nigaahon ne dhuaan uthata hua dekha magar khurshid ne kuchh bhi na miTTi ke siva dekha
Hafeez Jalandhari
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hafeez Jalandhari.
Similar Moods
More moods that pair well with Hafeez Jalandhari's nazm.







