maa-baap bina vo gehna nahin jo maa-baap bina har kisi ko main bha jaaunga vo shaks nahin jo inke siva har kisi ko pasand aa jaaunga main rishte banaane aaya hooñ koi sauda na karke jaaunga maa-baap se badhkar rishta na koi ye tumhe batakar jaaunga vo gehna nahin jo maa-baap bina har kisi ko main bha jaaunga maa kokh men lekar chalti hai pitaa soch men lekar chalte hai bacchon ko koi takleef na ho farzon ka bojh uthakar chalte hai apni kalam se likh inka gun-gaan bhi karke jaaunga vo gehna nahin jo maa-baap bina har kisi ko main bha jaaunga maa-baap ke laad pyaar men daant to beshak hoti hai bacche kitne bhi ho lekin unhe fikr sabhi ki hoti hai unki is shiksha se main har maidaan fateh kar jaaunga vo gehna nahin jo maa-baap bina har kisi ko main bha jaaunga kaise bhoolun aadhiraat men maa ka geelay se sukhe par sulaana kaise bhoolun us baap ko apna pet kaat mujh...ko khilaana main tum dono ke balidaan ka kabhi karz chuka na paaoonga vo gehna nahin jo maa-baap bina har kisi ko main bha jaaunga un bacchon ke bhi kya kehne jo maa-baap se alag ho jaate hai unse koi takleef na ho vriddh aashram chhodkar jaate hai rabb bole aisi aulaad ko kabhi maaf na main kar paaoonga vo gehna nahin jo maa-baap bina har kisi ko main bha jaaunga vo shaks nahin jo inke siva har kisi ko pasand aa jaaunga main rishte banaane aaya hooñ koi sauda na karke jaaunga maa-baap se badhkar rishta na koi ye tumhe batakar jaaunga
Related Nazm
chal aa ek aisi nazm kahooñ chal aa ek aisi nazm kahooñ jo lafz kahooñ vo ho jaa.e bas ashk kahooñ to ek aañsu tere gore gaal ko dho jaa.e main aa likkhoon tu aa jaa.e main baith likkhoon tu aa baithe mere shaane par sar rakhe tu main neend kahooñ tu so jaa.e main kaagaz par tere hont likkhoon tere honthon par muskaan aa.e main dil likkhoon tu dil thaa men main gum likkhoon vo kho jaa.e tere haath banaaun pencil se phir haath pe tere haath rakhoon kuchh ulta seedha farz karoon kuchh seedha ulta ho jaa.e main aah likhoon tu haay kare bechain likhoon bechain ho tu phir bechain ka be kaatoon tujhe chain zaraa sa ho jaa.e abhii ain likhoon tu soche mujhe phir sheen likhoon teri neend ude jab qaaf likhoon tujhe kuchh kuchh ho main ishq likhoon tujhe ho jaa.e
Amir Ameer
295 likes
ham milenge kahii ham milenge kahii ajnabi shahar ki KHvaab hoti hui shaahraaoon pe aur shaahraaoon pe phaili hui dhoop men ek din ham kahii saath hoge vaqt ki aandhiyon se ati saahtoon par se miTTi hataate huye ek hi jaise aañsu behaate huye ham milenge ghane janglo ki hari ghaas par aur kisi shaakh-e-naazuk par padte huye bojh ki dastaanon men kho jaayenge ham sanobar ke pedon ki nokiile patton se sadiyon se soye huye devataaon ki aañkhen chabo jaayenge ham milenge kahii barf ke bajuon men ghire parvaton par baanjh qabro men lete huye koh pemaaon ki yaad men nazm kahte huye jo pahaadoon ki aulaad thein aur unhen vaqt aane par maa baap ne apni aaghosh men le liya ham milenge kahii shah sulemaan ke urs men hauz ki seediyon par wuzu karne waalo ke shaffaaf chehron ke aage sangemarmar se aarasta farsh par pair rakhte huye aah bharte huye aur darakhton ko mannat ke dhaago se azaad karte huye ham milenge ham milenge kahii naarmendi ke saahil pe aate huye apne gum gashtarashto ki khaak-e-safar se ati vardiyo ke nishaan dekh kar maraakis se palte huye ek jarnel ki aakhiri baat par muskuraate huye ik jahaan jang ki chot khaate huye ham milenge ham milenge kahii roos ki daastaon ki jhoothi kahaanii pe aankhoñ men hairat sajaaye huye shaam lebnaan beirut ki nargisi chashmuro ki aamad ke nohoo pe hanste huye khooni kaziyo se maflooh jalbaaniyaan ke pahaadi ilaaqon men mehmaan ban kar milenge ham milenge ek murda zamaane ki KHush rang tahzeeb men zasb hone ke imkaan men ik puraani imarat ke pahluu men ujde huye laan men aur apne asiroon ki raah dekhte paanch sadiyon se veeraan zindaan men ham milenge tamannaon ki chhatriyon ke tale khwahishon ki hawaon ke bebaak boso se chhalni badan saumpane ke liye raaston ko ham milenge zameen se namoodaar hote huye aathvein barre azam men udte huye kaaleen par ham milenge kisi baar men apni bakaaya bachi umr ki paaymaali ke jaam haath men lenge aur ek hi ghoont men ham ye saiyal andar utaarenge aur hosh aane talak geet gaayenge bachpan ke qisse sunaata hua geet jo aaj bhi hamko azbar hai bedi be bedi tu thildi tapaiye pate paar kya hai pate paar kya hai ham milenge baagh men gaav men dhoop men chaanv men ret men dasht men shahar men masjidoon men kaliso men mandir men mehraab men church men mooslaadhaar baarish men bazaar men KHvaab men aag men gehre paani men galiyon men jungle men aur aasmaanon men kono makaan se pare gair aabda saiyaraaye aarzoo men sadiyon se khaali padi bench par jahaan maut bhi ham se dasto garebaan hogii to bas ek do din ki mehmaan hogii
Tehzeeb Hafi
236 likes
ramz tum jab aaogi to khoya hua paayogi mujhe meri tanhaaii men KHvaabon ke siva kuchh bhi nahin mere kamre ko sajaane ki tamannaa hai tumhein mere kamre men kitaabon ke siva kuchh bhi nahin in kitaabon ne badaa zulm kiya hai mujh par in men ik ramz hai jis ramz ka maara hua zehan muzdaa-e-ishrat-e-anjaam nahin pa saka zindagi men kabhi aaraam nahin pa saka
Jaun Elia
216 likes
yaad hai pahle roz kaha tha yaad hai pahle roz kaha tha phir na kehna ghalti dil ki pyaar samajh ke karna ladki pyaar nibh aanaa hota hai phir paar lagana hota hai yaad hai pahle roz kaha tha saath chalo to poore safar tak mar jaane ki agli khabar tak samjho yaar KHuda tak hogaa saara pyaar vafaa tak hogaa phir ye bandhan tod na j aanaa chhod ga.e to phir na aanaa chhod diya jo teraa nahin hai chala gaya jo meraa nahin hai yaad hai pahle roz kaha tha ya to toot ke pyaar na karna ya phir peeth pe vaar na karna jab nadaani ho jaati hai nayi kahaanii ho jaati hai nayi kahaanii likh laaunga agle roz main bik jaaunga tere gul jab khil jaayenge mujh...ko paise mil jaayenge yaad hai pahle roz kaha tha bichhad ga.e to mauj udh aanaa waapas mere paas na aanaa jab koi jaakar waapas aa.e roye tadpe ya pachht aa.e main phir us..ko milta nahin hooñ saath dobara chaltaa nahin hooñ gum jaata hooñ kho jaata hooñ main patthar ka ho jaata hooñ
Khalil Ur Rehman Qamar
191 likes
"Hamesha der kar deta hooñ" hamesha der kar deta hooñ main har kaam karne men zaroori baat kahni ho koi vaa'da nibhaana ho use awaaz deni ho use waapas bulaana ho hamesha der kar deta hooñ main madad karne ho us ki yaar ki dhaaras bandhaana ho bahut deerina raston par kisi se milne jaana ho hamesha der kar deta hooñ main badalte mausamon ki sair men dil ko lagana ho kisi ko yaad rakhna ho kisi ko bhool jaana ho hamesha der kar deta hooñ main kisi ko maut se pahle kisi gham se bachaana ho haqeeqat aur thii kuchh us ko ja ke ye bataana ho hamesha der kar deta hooñ main har kaam karne men
Muneer Niyazi
108 likes
More from Kushal "PARINDA"
zindagi udhaar lagti hai jab se ga.e ho zindagi udhaar lagti hai bina tere mujhe har raat be-iimaan lagti hai aa jaa.e agar waapis to baahon men sametoo'nga tujhe saans to leta hooñ phir kyuuñ zindagi bejaan lagti hai jab se ga.e ho zindagi udhaar lagti hai yuñ tujhe to yaad kar ke din beeta leta hooñ main aane ki teri taakh men nain bichhaaye rakhta hooñ mainna jaane ab kyuuñ bin tere adhuri pahchaan lagti hai jab se ga.e ho zindagi udhaar lagti hai nahin maanta ye dil meraa par kaise sab bhool jaaun main chal ye bataa is dil ka kya ilaaj karvaaun mainna jaane ab kyuuñ zindagi ufaan lagti hai jab se ga.e ho zindagi udhaar lagti hai
Kushal "PARINDA"
1 likes
tere jaane pe tere jaane pe roya zaroor tha magar toota nahin tha main main 'aashiq saccha tha teri tarah jhoota nahin tha main tujhe jaana hi tha to chupchaap chali jaati todne ko koi khilauna nahin tha main tere jaane pe roya zaroor tha magar toota nahin tha main tere vaade-qasmon ki yaad men roya bhi aur hansa bhi teri jhoo thii khwahishon ke neeche daba bhi aur pisa bhi tujhe laga chup rehta hooñ main koi maasoom bachcha nahin tha main tere jaane pe roya zaroor tha magar toota nahin tha main teri yaadon men din aur raat dono guzaar liya karta hooñ main pahle tere nainon se to ab maikhaanon se pee liya karta hooñ main tujhe laga nashe men rehta hooñ koi sharaabi nahin tha main tere jaane pe roya zaroor tha magar toota nahin tha main sochta hooñ tu to pyaar-pyaar kiya karti thii kushal se judaai ki baat par mar jaane ki baat kiya karti thii tujhe laga tere khel ko na samajh paaooñga mainna samajh paau koi ganwaar nahin tha main tere jaane pe roya zaroor tha magar toota nahin tha main main 'aashiq saccha tha teri tarah jhoota nahin tha main tujhe jaana hi tha to chup chaap chali jaati todne ko koi khilauna nahin tha main tere jaane pe roya zaroor tha magar toota nahin tha main
Kushal "PARINDA"
2 likes
tere zehan men tere zehan men kya chal raha hai jaan mujhe sab pata chal raha hai mujh se nazrein chura rahi ho tum teri nazaron se pata chal raha hai jo dil kabhi dhadakta tha mujhe dekh kar vo ab tham sa chuka hai ye pata chal raha hai vo mohabbat jo meri thii kabhi aaj kisi aur ki hai ye pata chal raha hai tere zehan men kya chal raha hai jaan mujhe sab pata chal raha hai mujh se nazrein chura rahi ho tum teri nazaron se pata chal raha hai ye ashk na bahao mere saamne tum ye ashk jhoothe hai ye pata chal raha hai jo judaai par mar jaane ki baat kiya karti thii aaj vo kisi or par marti hai ye pata chal raha hai tere zehan men kya chal raha hai jaan mujhe sab pata chal raha hai mujh se nazrein chura rahi ho tum teri nazaron se pata chal raha hai
Kushal "PARINDA"
1 likes
aisa kahaan hota hai sahi suna tha jahaan aag jaltee hai dhuaan wahin hota hai har baar mohabbat men yaar mil jaa.e aisa kahaan hota hai vaise to ishq meraa ik tarafaa hi tha us ke darmiyaan varna do tarafaa mohabbat men be-vafaaii ho jaa.e aisa kahaan hota hai sahi suna tha ke jahaan aag jaltee hai dhuaan wahin hota hai har baar mohabbat men yaar mil jaa.e aisa kahaan hota hai agar ishq men leila nahin thii vo to majnu nahin hooñ main agar ishq men heer nahin thii vo to raanjha bhi nahin hooñ main use saccha ishq hota to aakar bataati mujhe varna ishq men vafaa karne par aisa kahaan hota hai sahi suna tha ke jahaan aag jaltee hai dhuaan wahin hota hai har baar mohabbat men yaar mil jaa.e aisa kahaan hota hai main ishq zaahir karta raha vo be-vafaaii se kabhi baaz na aayi main ishq men us ke qareeb aata raha par vo kabhi mere paas na aayi main badi shiddat-muddat se paana chahta tha use phir sochta hooñ ki ye sab karne par bhi ishq men aisa kahaan hota hai sahi suna tha ke jahaan aag jaltee hai dhuaan wahin hota hai har baar mohabbat men yaar mil jaa.e aisa kahaan hota hai akshar us ki be-vafaaii ke kisse suna karta tha main kabhi doston se to kabhi ghairoon se suna karta tha main ishq tha kushal ko isliye yakeen na hua varna doston ki baaton par shak ho jaa.e aisa kahaan hota hai sahi suna tha jahaan aag jaltee hai dhuaan wahin hota hai har baar mohabbat men yaar mil jaa.e aisa kahaan hota hai vaise to ishq meraa ik tarafaa hi tha us ke darmiyaan varna do tarafaa mohabbat men be-vafaaii ho jaa.e aisa kahaan hota hai
Kushal "PARINDA"
1 likes
mere dil men hai ik vo nishaan mere dil men hai ik vo nishaan jise chhedta har ek hai tujhe na dikhe kyuuñ vo nishaan jise dekhta har ek hai chhod rahne de dard sahne de jo na kehna tha vo bhi kehne de ishq dariyaa men mujh ko bahne de meraa dil to hai ik aaina jise todta har ek hai tujhko paaya tha dil men basaaya tha ishq kar dil ko yuñ sataaya tha ishq kar KHud ko bhi rulaaya tha mere dil ki kuchh aisi zameen jise chhodta har ek hai mere dil men hai ik vo nishaan jise chhedta har ek hai tujhe na dikhe kyuuñ vo nishaan jise dekhta har ek hai
Kushal "PARINDA"
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Kushal "PARINDA".
Similar Moods
More moods that pair well with Kushal "PARINDA"'s nazm.







