barbad kar diya hamen pardes ne magar maan sab se kah rahi hai ki beta maze men hai
Related Sher
bitha diya hai sipaahi ke dil men dar usne talaashi dii hai dupatta utaar kar usne main isliye bhi use khudkushi se rokta hooñ likha hua hai meraa naam jism par usne
Zia Mazkoor
106 likes
nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
201 likes
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
bichhad ga.e to ye dil umr bhar lagega nahin lagega lagne laga hai magar lagega nahin nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
1244 likes
us ke chehre ki chamak ke saamne saada laga aasmaañ pe chaand poora tha magar aadha laga
Iftikhar Naseem
95 likes
More from Munawwar Rana
saza kitnii badi hai gaav se baahar nikalne ki main miTTi goondhta tha ab double-roti banata hooñ
Munawwar Rana
19 likes
KHaamushi kab cheekh ban jaa.e kise maaloom hai zulm kar lo jab talak ye bezbaani aur hai
Munawwar Rana
0 likes
na jaane kaisi mahak aa rahi hai bastii se vahii jo doodh ubalne ke baad aati hai
Munawwar Rana
19 likes
jisne bhi is khabar ko suna sar pakad liya kal ek diye ne aandhi ka collar pakad liya
Munawwar Rana
25 likes
woh chahe majnoon ho farhaad ho ki raanjha ho har ek shaKHs meraa ham sabq nikalta hai
Munawwar Rana
29 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Munawwar Rana.
Similar Moods
More moods that pair well with Munawwar Rana's sher.







