burii sarishta na badli jagah badlne se chaman men aa ke bhi kaanta gulaab ho na sakaa
Related Sher
mere naam se kya matlab hai tumhein mit jaayega ya rah jaata hai jab tum ne hi saath nahin rahna phir peeche kya rah jaata hai mere paas aane tak aur kisi ki yaad use kha jaati hai vo mujh tak kam hi pahunchta hai kisi aur jagah rah jaata hai
Tehzeeb Hafi
213 likes
hazaaron saal nargis apni be-noori pe roti hai badi mushkil se hota hai chaman men deeda-war paida
Allama Iqbal
207 likes
aur phir ek din baithe baithe mujhe apni duniya burii lag gayi jis..ko aabaad karte hue mere maan-baap ki zindagi lag gayi
Tehzeeb Hafi
207 likes
ittifaq apni jagah khush-qismati apni jagah KHud banata hai jahaan men aadmi apni jagah
Anwar Shaoor
51 likes
jagah ki kaid nahin thii koi kahii baithe jahaan maqaam hamaara tha ham wahin baithe ameer ae shehar ke aane pe uthna padta hai lihaaza agli safoon men kabhi nahin baithe
Mehshar Afridi
58 likes
More from Arzoo Lakhnavi
had se takraati hai jo shay vo palatti hai zaroor KHud bhi roenge gharibon ko rulaane waale
Arzoo Lakhnavi
6 likes
kis kaam ki aisi sachchaai jo tod de ummeedein dil ki thodii si tasalli ho to gaii maana ki vo bol ke jhooth gaya
Arzoo Lakhnavi
16 likes
mohabbat wahin tak hai sacchi mohabbat jahaan tak koi ahad-o-paimaan nahin hai
Arzoo Lakhnavi
17 likes
phir chahe to na aanaa o aan baan waale jhoota hi wa'ada kar le sacchi zabaan waale
Arzoo Lakhnavi
23 likes
dost ne dil ko tod ke naqsh-e-wafa mita diya samjhe the ham jise khaleel kaaba usii ne dhaa diya
Arzoo Lakhnavi
17 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Arzoo Lakhnavi.
Similar Moods
More moods that pair well with Arzoo Lakhnavi's sher.







