chand sa misra akela hai mire kaghhaz par chhat pe aa jaao mira sher mukammal kar do
Related Sher
chaan dii sona ek taraf teraa hona ek taraf ek taraf teri aañkhen jaadu toona ek taraf
Gyan Prakash Akul
555 likes
zaraa thehro ki shab feeki bahut hai tumhein ghar jaane kii jal dii bahut hai zaraa nazdeek aakar baith jaao tumhaare shahar men sar dii bahut hai
Zubair Ali Tabish
173 likes
ghar ki is baar mukammal main talaashi loonga gham chhupa kar mire maa baap kahaan rakhte the
Unknown
61 likes
yahii bahut hai mire gham men tum shareek hue main hans parūngā agar tumne ab dilaasa diya
Imran Aami
64 likes
roshni badhne lagii hai shahar ki chaand chat par aa gaya hai dekhiye
Divy Kamaldhwaj
64 likes
More from Bashir Badr
KHuda kii us ke gale men ajeeb qudrat hai vo bolta hai to ik raushni sii hoti hai
Bashir Badr
0 likes
ye shabnami lahjaa hai aahista ghazal padhna titli ki kahaanii hai phoolon ki zabaani hai
Bashir Badr
24 likes
mohabbat ek KHushboo hai hamesha saath chalti hai koi insaan tanhaaii men bhi tanhaa nahin rehta
Bashir Badr
40 likes
agar talash karoon koi mil hi jaayega magar tumhaari tarah kaun mujh ko chahega
Bashir Badr
40 likes
patthar ke jigar waalo gham men vo ravaani hai KHud raah banaa lega bahta hua paani hai
Bashir Badr
20 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bashir Badr.
Similar Moods
More moods that pair well with Bashir Badr's sher.







