diya jala ke sabhi baam-o-dar men rakhte hain aur ek ham hain ise rah-guzar men rakhte hain samundron ko bhi maaloom hai hamaara mizaaj ki ham to pehla qadam hi bhanwar men rakhte hain
Related Sher
kisi gali men kiraye pe ghar liya usne phir us gali men gharo ke kiraye badhne lage
Umair Najmi
162 likes
hazaaron saal nargis apni be-noori pe roti hai badi mushkil se hota hai chaman men deeda-war paida
Allama Iqbal
207 likes
kyuuñ darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa
Javed Akhtar
156 likes
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
zaraa thehro ki shab feeki bahut hai tumhein ghar jaane kii jal dii bahut hai zaraa nazdeek aakar baith jaao tumhaare shahar men sar dii bahut hai
Zubair Ali Tabish
173 likes
More from Abrar Kashif
ab ke ham tark-e-rusoomaat karke dekhte hain beech waalon ke bina baat karke dekhte hain isse pahle ki koi faisla talwaar kare aakhiri baar mulaqaat karke dekhte hain
Abrar Kashif
65 likes
ghar ki taqseem men anganaai ganwa baithe hain phool gulshan se shanaasaai ganwa baithe hain baat aankhoñ se samajh lene ka daava mat kar ham isee shauq men beenaai ganwa baithe hain
Abrar Kashif
59 likes
ab to lagta hai ki aa jaayegi baari meri kisne de dii teri aankhoñ ko supaari meri
Abrar Kashif
66 likes
karti hai to karne de hawaon ko sharaarat mausam ka takaaza hai ki baalon ko khula chhod
Abrar Kashif
62 likes
dard-e-mohabbat dard-e-judai dono ko ik saath mila tu bhi tanhaa main bhi tanhaa aa is baat pe haath mila
Abrar Kashif
78 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Abrar Kashif.
Similar Moods
More moods that pair well with Abrar Kashif's sher.







