doston ke saath chalne men bhi khatre hain hazaar bhool jaata hooñ hamesha main sambhal jaane ke baa'd ab zaraa sa fasla rakh kar jalata hooñ charaaghh tajurba ye haath aaya haath jal jaane ke baa'd
Related Sher
koi dikkat nahin hai gar tumhein uljha sa lagta hooñ main pahli martaba milne men sabko aisa lagta hooñ zaroori to nahin ham saath hain to koi chakkar ho vo meri dost hai aur main use bas achha lagta hooñ
Ali Zaryoun
521 likes
ye alag baat ki KHaamosh khade rahte hain phir bhi jo log bade hain vo bade rahte hain
Rahat Indori
484 likes
sochun to saari umr mohabbat men kat gaii dekhooñ to ek shaKHs bhi meraa nahin hua
Jaun Elia
545 likes
teri soorat se hai aalam men bahaaron ko sabaat teri aankhoñ ke siva duniya men rakha kya hai
Faiz Ahmad Faiz
401 likes
ham bhi dariyaa hain ha men apna hunar maaloom hai jis taraf bhi chal padenge raasta ho jaayega
Bashir Badr
373 likes
More from Alam Khursheed
kisi ko dhoondte hain ham kisi ke paikar men kisi ka chehra kisi se milaate rahte hain
Alam Khursheed
12 likes
kabhi kabhi kitna nuksaan uthaana padta hai airon ghairon ka ehsaan uthaana padta hai
Alam Khursheed
14 likes
haath pakad le ab bhi teraa ho saktaa hooñ main bheed bahut hai is mele men kho saktaa hooñ main
Alam Khursheed
14 likes
pooch rahe hain mujhse pedon ke saudaagar aab-o-hawa kaise zaahreeli ho jaati hai
Alam Khursheed
15 likes
tabdeeliyon ka nashsha mujh par chadha hua hai kapde badal raha hooñ chehra badal raha hooñ
Alam Khursheed
19 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Alam Khursheed.
Similar Moods
More moods that pair well with Alam Khursheed's sher.







