duniya meri bala jaane mahngi hai ya sasti hai maut mile to muft na luun hasti ki kya hasti hai
Related Sher
mere aañsu nahin tham rahe ki vo mujhse juda ho gaya aur tum kah rahe ho ki chhodo ab aisa bhi kya ho gaya may-kadon men meri lainein padhte firte hain log maine jo kuchh bhi pee kar kaha falsafa ho gaya
Tehzeeb Hafi
388 likes
muddatein guzar gayi hisaab nahin kiyana jaane ab kiske kitne rah ga.e ham
Kumar Vishwas
271 likes
tu kisi aur hi duniya men mili thii mujhse tu kisi aur hi mausam ki mahak laai thii dar raha tha ki kahii zakham na bhar jaayen mere aur tu mutthiyaan bhar-bhar ke namak laai thii
Tehzeeb Hafi
331 likes
koi shahar tha jiski ek gali meri har aahat pahchaanti thii mere naam ka ik darwaaza tha ik khidki mujh...ko jaanti thii
Ali Zaryoun
321 likes
kya galat-fahmi men rah jaane ka sadma kuchh nahin vo mujhe samjha to saka tha ki aisa kuchh nahin ishq se bach kar bhi banda kuchh nahin hota magar ye bhi sach hai ishq men bande ka bachta kuchh nahin
Tehzeeb Hafi
306 likes
More from Fani Badayuni
ummeed ke vaadon se jee kuchh to bahalta tha ab ye bhi tere gham ko manzoor nahin hote
Fani Badayuni
0 likes
ab na kaanton hi se kuchh laag na phoolon se lagao ham ne dekha hai tamasha teri raa'naai ka
Fani Badayuni
0 likes
ik muamma hai samajhne ka na samjhaane ka zindagi kahe ko hai KHvaab hai deewane ka
Fani Badayuni
14 likes
har museebat ka diya ek tabassum se javaab is tarah gardish-e-dauraan ko rulaaya maine
Fani Badayuni
14 likes
har nafs umr-e-guzishta kii hai mayyat faani zindagi naam hai mar mar ke ji.e jaane ka
Fani Badayuni
16 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Fani Badayuni.
Similar Moods
More moods that pair well with Fani Badayuni's sher.







