eed aayi tum na aa.e kya mazaa hai eed ka eed hi to naam hai ik doosre ki deed ka
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
kyuuñ darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa
Javed Akhtar
156 likes
jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
368 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
ham vo hain jo KHuda ko bhool ga.e tum meri jaan kis gumaan men ho
Jaun Elia
563 likes
More from Unknown
duniya men vahii shaKHs hai tazeem ke qaabil jis shaKHs ne haalaat ka rukh mod diya ho
Unknown
22 likes
takra gaya vo mujh se kitaaben li.e hue phir meraa dil aur us kii kitaaben bikhar gaiin
Unknown
14 likes
kya qayamat hai ki aariz un ke neele pad ga.e ham ne to bosa liya tha KHvaab men tasveer ka
Unknown
23 likes
rahbar bhi ye hamdam bhi ye gham-khwaar hamaare ustaad ye qaumon ke hain men'maar hamaare
Unknown
26 likes
ab ke baar mil ke yuñ saal-e-nau manaaenge ranjishen bhula kar ham nafratein mitaayenge
Unknown
32 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Unknown.
Similar Moods
More moods that pair well with Unknown's sher.







