ek nashtar hai ki deta hai rag-e-jan ko kharash ek kanta hai ki pahlu men chubhota hai koi
Related Sher
husn bala ka kaatil ho par aakhir ko bechaara hai ishq to vo kaatil jisne apnon ko bhi maara hai ye dhoke deta aaya hai dil ko bhi duniya ko bhi iske chhal ne khaar kiya hai sehra men leila ko bhi
Jaun Elia
129 likes
kisi ke saa.e ko qaid karne ka ek tareeqa bataa raha hooñ ek uske aage charaagh rakh de ek uske peeche charaagh rakh de main dil ki baaton men aa gaya aur utha ke le aaya uski paayal dimaag deta raha sadaaein charaagh rakh de charaagh rakh de
Charagh Sharma
44 likes
subh-e-magroor ko vo shaam bhi kar deta hai shohraten cheen ke gumnaam bhi kar deta hai vaqt se aankh milaane ki himaakat na karo vaqt insaan ko neelaam bhi kar deta hai
Nadeem Farrukh
62 likes
bo deta hai khwaahish phir rota hai saaton din apna man hi har gham ka gahvaara hota hai
nakul kumar
62 likes
tum maang rahe ho mere dil se meri KHvaahish bachcha to kabhi apne khilaune nahin deta
Abbas Tabish
48 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Mehdi Ali Khan Zaki Lakhnavi.
Similar Moods
More moods that pair well with Mehdi Ali Khan Zaki Lakhnavi's sher.







