haan dikha de ai tasavvur phir vo subh o shaam tu daud pichhe ki taraf ai gardish-e-ayyam tu the speaker pleads with imagination to revive a lost time as vividly as real life, and addresses time itself as if it could reverse course. “morning and evening” stands for the whole rhythm of a bygone life, now missed. the emotional core is longing: a desire to undo loss by making time return, even if only in the mind.
Related Sher
koi itnaa pyaara kaise ho saka hai phir saare ka saara kaise ho saka hai tujhse jab milkar bhi udaasi kam nahin hoti tere baghair guzaara kaise ho saka hai
Jawwad Sheikh
163 likes
ab main saare jahaan men hooñ badnaam ab bhi tum mujh...ko jaanti ho kya
Jaun Elia
197 likes
naam pe ham qurbaan the us ke lekin phir ye taur huaus ko dekh ke ruk jaana bhi sab se badi qurbaani thii mujh se bichhad kar bhi vo ladki kitnii KHush KHush rahtii haius ladki ne mujh se bichhad kar mar jaane ki thaanii thii
Jaun Elia
183 likes
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
Ham ne us ko itnaa dekha jitnaa dekha ja sakta tha lekin phir bhi do aankhoñ se kitnaa dekha ja sakta tha
Farrukh Yar
979 likes
More from Allama Iqbal
watan kii fikr kar naadaan museebat aane waali hai teri barbaadiyon ke mashware hain aasmaanon men
Allama Iqbal
0 likes
har ik maqaam se aage maqaam hai teraa hayaat zauq-e-safar ke siva kuchh aur nahin
Allama Iqbal
6 likes
dhoondhta firta hooñ main iqbaal apne aap ko aap hi goya musaafir aap hi manzil hooñ main
Allama Iqbal
4 likes
dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai par nahin taqat-e-parwaaz magar rakhti hai
Allama Iqbal
26 likes
achha hai dil ke saath rahe paasbaan-e-aql lekin kabhi kabhi ise tanhaa bhi chhod de
Allama Iqbal
28 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Allama Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Allama Iqbal's sher.







