hai raam ke vujood pe hindostaan ko naaz ahl-e-nazar samjhte hain us ko imaam-e-hind
Related Sher
raam hone men ya raavan men hai antar itnaa ek duniya ko khushi doosra gham deta hai ham ne raavan ko baras dar baras jalaya hai kaun hai vo jo ise phir se janam deta hai
Kumar Vishwas
90 likes
gaali ko pranaam samajhna padta hai madhushaala ko dhaam samajhna padta hai aadhunik kahlaane ki andhi jid men raavan ko bhi raam samajhna padta hai
Azhar Iqbal
99 likes
juda hue hain bahut log ek tum bhi sahi ab itni baat pe kya zindagi haraam karen
Nasir Kazmi
75 likes
jaun tumhe ye daur mubarak door gham-e-ayyaam se ho ek paagal ladki ko bhula kar ab to bade aaraam se ho
Jaun Elia
159 likes
meri duniya ujad gaii is men tum ise haadsa samjhte ho aakhiri raasta to baaki hai aakhiri raasta samjhte ho
Himanshi babra KATIB
119 likes
More from Allama Iqbal
nahin is khulii fazaa men koii gosha-e-faraaghat ye jahaan ajab jahaan hai na qafs na aashiyana
Allama Iqbal
5 likes
watan kii fikr kar naadaan museebat aane waali hai teri barbaadiyon ke mashware hain aasmaanon men
Allama Iqbal
0 likes
dhoondhta firta hooñ main iqbaal apne aap ko aap hi goya musaafir aap hi manzil hooñ main
Allama Iqbal
4 likes
aankh jo kuchh dekhti hai lab pe aa saktaa nahin mahv-e-hairat hooñ ki duniya kya se kya ho jaayegi
Allama Iqbal
7 likes
ishq tiri intiha ishq mirii intiha tu bhi abhii na-tamaam main bhi abhii na-tamaam
Allama Iqbal
22 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Allama Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Allama Iqbal's sher.







