har aankh men thi tutte lamhon ki tishnagi har jism pe tha vaqt ka saaya pada hua
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
Ham ne us ko itnaa dekha jitnaa dekha ja sakta tha lekin phir bhi do aankhoñ se kitnaa dekha ja sakta tha
Farrukh Yar
979 likes
kisi ko ghar se nikalte hi mil gaii manzil koi hamaari tarah umr bhar safar men raha
Ahmad Faraz
594 likes
ham vo hain jo KHuda ko bhool ga.e tum meri jaan kis gumaan men ho
Jaun Elia
563 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
More from Adil Mansuri
mujhe pasand nahin aise kaarobaar men hooñ ye jabr hai ki main KHud apne ikhtiyaar men hooñ
Adil Mansuri
18 likes
KHud-ba-KHud shaakh lachak jaayegi phal se bharpoor to ho lene do
Adil Mansuri
20 likes
darwaaza khatkhataa ke sitaare chale ga.e KHvaabon ki shaal odh ke main unghta raha
Adil Mansuri
20 likes
kis tarah jama keejie ab apne aap ko kaaghaz bikhar rahe hain puraani kitaab ke
Adil Mansuri
22 likes
KHvaahish sukhaane rakkhi thii kothe pe dopahar ab shaam ho chali miyaan dekho kidhar gaii
Adil Mansuri
19 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Adil Mansuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Adil Mansuri's sher.







