hamko dil se bhi nikala gaya phir shahar se bhi hamko patthar se bhi maara gaya phir zehar se bhi
Related Sher
bichhad ga.e to ye dil umr bhar lagega nahin lagega lagne laga hai magar lagega nahin nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
1244 likes
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
Ham ne us ko itnaa dekha jitnaa dekha ja sakta tha lekin phir bhi do aankhoñ se kitnaa dekha ja sakta tha
Farrukh Yar
979 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
More from Azm Shakri
agar saa.e se jal jaane ka itnaa khauf tha to phir sehar hote hi suraj ki nigahbaani men aa jaate
Azm Shakri
23 likes
zindagi meri mujhe qaid ki.e deti hai is ko dar hai main kisi aur ka ho saka hooñ
Azm Shakri
16 likes
main ne ik shahar hamesha ke li.e chhod diya lekin us shahar ko aankhoñ men basa laaya hooñ
Azm Shakri
22 likes
ye jo deewaar andheron ne utha rakkhi hai meraa maqsad isee deewaar men dar karna hai
Azm Shakri
24 likes
ajeeb haalat hai jism-o-jaan ki hazaar pahluu badal raha hooñ vo mere andar utar gaya hai main KHud se baahar nikal raha hooñ
Azm Shakri
30 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Azm Shakri.
Similar Moods
More moods that pair well with Azm Shakri's sher.







