ik fursat-e-gunah mili vo bhi chaar din dekhe hain ham ne hausle parvardigar ke
Related Sher
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
poochte hain vo ki ghalib kaun hai koi batlaao ki ham batlaayein kya
Mirza Ghalib
208 likes
ham apni jaan ke dushman ko apni jaan kahte hain mohabbat ki isee miTTi ko hindustan kahte hain
Rahat Indori
212 likes
meri tanhaaii dekhenge to hairat hi karenge log mohabbat chhod denge ya mohabbat hi karenge log
Ismail Raaz
134 likes
main bhi ik shakhs pe ik shart laga baitha tha tum bhi ik roz isee khel men haaroge mujhe eed ke din ki tarah tumne mujhe zaayaa' kiya main samajhta tha muhabbat se guzaaroge mujhe
Ali Zaryoun
129 likes
More from Faiz Ahmad Faiz
unhin ke faiz se bazaar-e-aql raushan hai jo gaah gaah junoon ikhtiyaar karte rahe
Faiz Ahmad Faiz
20 likes
ye aarzoo bhi badi cheez hai magar hamdam visaal-e-yaar faqat aarzoo ki baat nahin
Faiz Ahmad Faiz
25 likes
bol ki lab azaad hain tere bol zabaan ab tak teri hai
Faiz Ahmad Faiz
0 likes
tu jo mil jaa.e to taqdeer nigoon ho jaa.e yuñ na tha maine faqat chaaha tha yuñ ho jaa.e
Faiz Ahmad Faiz
25 likes
faiz ki raah sar-b-sar manzil ham jahaan pahunchen kaamyaab aa.e
Faiz Ahmad Faiz
25 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Faiz Ahmad Faiz.
Similar Moods
More moods that pair well with Faiz Ahmad Faiz's sher.







