is nadi ki dhaar men thandi hawa aati to hai naav jarjar hi sahi lehron se takraati to hai
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
kisi ko ghar se nikalte hi mil gaii manzil koi hamaari tarah umr bhar safar men raha
Ahmad Faraz
594 likes
ham vo hain jo KHuda ko bhool ga.e tum meri jaan kis gumaan men ho
Jaun Elia
563 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
More from Dushyant Kumar
yahaañ darakhton ke saa.e men dhoop lagti hai chalo yahaañ se chalen aur umr bhar ke li.e
Dushyant Kumar
17 likes
jaane kis kis ka khayal aaya hai is samundar men ubaal aaya hai ek bachcha tha hawa ka jhonka saaf paani ko khangaal aaya hai
Dushyant Kumar
35 likes
aap dastaane pahankar choo rahe hain aag ko aap ke bhi KHoon ka rang ho gaya hai saanvala
Dushyant Kumar
26 likes
dhoop ye athkheliyaan har roz karti hai ek chaaya seedhiyaan chadhti utarti hai yah diya chauraaste ka ot men le lo aaj aandhi gaav se ho kar guzarti hai
Dushyant Kumar
18 likes
ye sach hai ki paavon ne bahut kasht uth aa.e par paanv kisi tarah raahon pe to aa.e
Dushyant Kumar
28 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Dushyant Kumar.
Similar Moods
More moods that pair well with Dushyant Kumar's sher.







