isliye bhi is shajar se sabko itnaa pyaar hai de raha hai phal abhii ye aur saayadaar hai ai KHuda is na-khuda ki KHair ho ye naasamjh ye samajhta hai ki iske haath men patwaar hai
Related Sher
kis li.e dekhti ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho
Jaun Elia
203 likes
tumhaare paanv qasam se bahut hi pyaare hain KHuda kare mere bacchon ki in men jannat ho
Rafi Raza
107 likes
apne dil men takaza hamko aur gale se lagaaoge hamko ham nahin itne pyaar ke qaabil tum to paagal banaoge hamko
Abrar Kashif
106 likes
vo jhooth bol raha tha bade saleeqe se main etibaar na karta to aur kya karta
Waseem Barelvi
105 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
More from Vashu Pandey
aap jo theek samjhte hain vo kariye sahab aise mausam men main daftar to nahin aa saka
Vashu Pandey
30 likes
baaki saare kaam bhulaakar ishq kiya subah se lekar shaam barabar ishq kiya ghalti ye thode thii ishq kiya ham ne ghalti ye thii gair biraadar ishq kiya
Vashu Pandey
29 likes
ishq qais farhaad romiyo jaise hi kar sakte hain ham to thehre das se chh tak office jaane waale log
Vashu Pandey
31 likes
b-juz KHuda ke kisi ka ham pe karam nahin hai ye kam nahin hai kisi ka sajda jabeen pe apni raqam nahin hai ye kam nahin hai hamaari chuppi ye hai ghaneemat wagarana ye jo kiya hai tum ne yaqeen maano hamaara maatha garam nahin hai ye kam nahin hai
Vashu Pandey
30 likes
itne kahaan naseeb ki isse pyaas bujhaayein khel karen dariyaa ham jaison ko apne paas bitha le kaafi hai
Vashu Pandey
34 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Vashu Pandey.
Similar Moods
More moods that pair well with Vashu Pandey's sher.







