jab main chalun to saaya bhi apna na saath de jab tum chalo zamin chale asman chale
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
bichhad ga.e to ye dil umr bhar lagega nahin lagega lagne laga hai magar lagega nahin nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
1244 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
koi dikkat nahin hai gar tumhein uljha sa lagta hooñ main pahli martaba milne men sabko aisa lagta hooñ zaroori to nahin ham saath hain to koi chakkar ho vo meri dost hai aur main use bas achha lagta hooñ
Ali Zaryoun
521 likes
More from Jaleel Manikpuri
lutate hain vo daulat husn ki baawar nahin aata ha men to ek bosa bhi badi mushkil se milta hai
Jaleel Manikpuri
19 likes
aañsu hamaare gir ga.e un ki nigaah se in motiyon ki ab koi qeemat nahin rahi
Jaleel Manikpuri
22 likes
aata hai jee men saaqi-e-mah-wash pe baar baar lab choom luun tira lab-e-paimaana chhod kar
Jaleel Manikpuri
25 likes
bahaar aayi ki din holi ke aa.e gulon men rang khela ja raha hai
Jaleel Manikpuri
26 likes
mohabbat rang de jaati hai jab dil dil se milta hai magar mushkil to ye hai dil badi mushkil se milta hai
Jaleel Manikpuri
27 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jaleel Manikpuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Jaleel Manikpuri's sher.







