jeena vo kya jo ho nafs-e-ghair par madaar shohrat kii zindagi ka bharosa bhi chhod de
Related Sher
kyuuñ darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa
Javed Akhtar
156 likes
hosh waalon ko khabar kya be-khu dii kya cheez hai ishq kijeye phir samjhiye zindagi kya cheez hai
Nida Fazli
145 likes
manzilen kya hain raasta kya hai hausla ho to fasla kya hai
Aalok Shrivastav
152 likes
paron ko khol zamaana udaan dekhta hai zameen pe baith ke kya aasmaan dekhta hai
Shakeel Azmi
283 likes
tu jo har roz naye husn pe mar jaata hai tu bataaega mujhe ishq hai kya jaane de
Ali Zaryoun
119 likes
More from Allama Iqbal
nahin is khulii fazaa men koii gosha-e-faraaghat ye jahaan ajab jahaan hai na qafs na aashiyana
Allama Iqbal
5 likes
aankh jo kuchh dekhti hai lab pe aa saktaa nahin mahv-e-hairat hooñ ki duniya kya se kya ho jaayegi
Allama Iqbal
7 likes
dhoondhta firta hooñ main iqbaal apne aap ko aap hi goya musaafir aap hi manzil hooñ main
Allama Iqbal
4 likes
ghulaami men na kaam aati hain shamshirein na tadbeerein jo ho zauq-e-yaqeen paida to kat jaati hain zanjeeren
Allama Iqbal
9 likes
watan kii fikr kar naadaan museebat aane waali hai teri barbaadiyon ke mashware hain aasmaanon men
Allama Iqbal
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Allama Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Allama Iqbal's sher.







