kise khabar thii darakhton ka ye kataav kabhi hamaare halka-e-ahbaab tak bhi aayega
Related Sher
vo jispar uski rahmat ho vo daulat maangtaa hai kya mohabbat karne vaala dil mohabbat maangte hai kya tumhaara dil kahe jab bhi ujaala ban ke aa jaana kabhi ugta hua suraj izazat maangtaa hai kya
Ankita Singh
98 likes
dil ke darwaaze bhed kar dekho zakham saare udhed kar dekho band kamre men aaiine se kabhi tum meraa zikr chhed kar dekho
Sandeep Thakur
85 likes
daulat shuhrat biwi bacche achha ghar aur achchhe dost kuchh to hai jo in ke baad bhi haasil karna baaki hai kabhi-kabhi to dil karta hai chalti rail se kood padhoon phir kahtaa hoon...paagal ab to thoda rastaa baaki hai
Zia Mazkoor
91 likes
sochta hooñ ki us ki yaad aaKHir ab kise raat bhar jagati hai
Jaun Elia
86 likes
kya khabar kaun tha vo aur meraa kya lagta tha jisse milkar mujhe har shaKHs bura lagta tha
Tehzeeb Hafi
444 likes
More from Ahmad Farhad
tujh sa hai meri jaan magar tu to nahin hai ye phool teri kitnii kamii poori karega
Ahmad Farhad
0 likes
bahut muddat ke baa'd aayi hai baarish aur us zalim ke paper chal rahe hain
Ahmad Farhad
43 likes
tu kaun hai jo uski kamii poori karega vo aayega to apni kamii poori karega
Ahmad Farhad
44 likes
jo zakhm baante hain unhen zeest pe hai haq main phool baantaa hooñ mujhe maar deejie
Ahmad Farhad
0 likes
bichhadne waale men sau aib the magar farhaad vo bad-dimaagh meraa mas'ala samajhta tha
Ahmad Farhad
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Farhad.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Farhad's sher.







