kitaabon men meraa dil hai yahiin rakhna likha ho naam uskaa bas wahin rakhna wahin rakhna jahaan pe chaanv ho uski wagarana qabr sehra men nahin rakhna
Related Sher
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
hazaaron saal nargis apni be-noori pe roti hai badi mushkil se hota hai chaman men deeda-war paida
Allama Iqbal
207 likes
zaraa thehro ki shab feeki bahut hai tumhein ghar jaane kii jal dii bahut hai zaraa nazdeek aakar baith jaao tumhaare shahar men sar dii bahut hai
Zubair Ali Tabish
173 likes
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
mat pooch ki kya haal hai meraa tere peeche tu dekh ki kya rang hai teraa mere aage
Mirza Ghalib
180 likes
More from Subodh Sharma "Subh"
तुम हो ज़ोया इश्क़ मेरा इस बनारस की तरह पर मैं कुंदन तो नहीं हूँ जो कलाई काट लूँ
Subodh Sharma "Subh"
2 likes
uske aage kahein majaal karen bol sakte hain jo malaal karen aap shayar hain kah ke vo mujhse roz kahtaa hai ik sawaal karen
Subodh Sharma "Subh"
0 likes
chal diya palat ke main ghar khumaar baaki hai kuchh sudhaar hai mujh men kuchh sudhaar baaki hai saath jo mere tha main qarz-daar sabka hooñ shukr hai KHuda mujhpe ik udhaar baaki hai
Subodh Sharma "Subh"
2 likes
dekhta main roz sar tan se juda hote hue haath men talwaar pakde hain KHuda hote hue
Subodh Sharma "Subh"
0 likes
maqaam-e-dil men darja do dafa haasil nahin hota meri ungli kamal par hai magar ye dil nahin hota padhaai chhod kar main laut aaya gaav ko apne faqat degree se ab kuchh bhi kahii haasil nahin hota
Subodh Sharma "Subh"
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Subodh Sharma "Subh".
Similar Moods
More moods that pair well with Subodh Sharma "Subh"'s sher.







