maqaam-e-dil men darja do dafa haasil nahin hota meri ungli kamal par hai magar ye dil nahin hota padhaai chhod kar main laut aaya gaav ko apne faqat degree se ab kuchh bhi kahii haasil nahin hota
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
bichhad ga.e to ye dil umr bhar lagega nahin lagega lagne laga hai magar lagega nahin nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
1244 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
kisi ko ghar se nikalte hi mil gaii manzil koi hamaari tarah umr bhar safar men raha
Ahmad Faraz
594 likes
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
More from Subodh Sharma "Subh"
uske aage kahein majaal karen bol sakte hain jo malaal karen aap shayar hain kah ke vo mujhse roz kahtaa hai ik sawaal karen
Subodh Sharma "Subh"
0 likes
sard ka mausam tha vo apne gaav se chalkar aati thii uske baalon palkon pe gir ke shabnam ithlaati thii bushraa lahjaa gaal gulaabi aur bahut kuchh tha lekin sabse zyaada mujh...ko uski bhuri aañkhen bhaati thii
Subodh Sharma "Subh"
1 likes
chal diya palat ke main ghar khumaar baaki hai kuchh sudhaar hai mujh men kuchh sudhaar baaki hai saath jo mere tha main qarz-daar sabka hooñ shukr hai KHuda mujhpe ik udhaar baaki hai
Subodh Sharma "Subh"
2 likes
tu bataa kaise main KHud ko is tarah se baant luun ek chunna hai mujhe phir kyuuñ dahaai chaant luun vo gale lagkar mujhe rota hai shubh har baar to pahle ghussa kar chuka hooñ ab zaraa sa daant luun
Subodh Sharma "Subh"
2 likes
dekhta main roz sar tan se juda hote hue haath men talwaar pakde hain KHuda hote hue
Subodh Sharma "Subh"
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Subodh Sharma "Subh".
Similar Moods
More moods that pair well with Subodh Sharma "Subh"'s sher.







