main tahzeeb-o-tamaddun aur society ki choli kya utaarunga jo hai hi nangi... main use kapde pahnaane ki koshish bhi nahi karta, isliye ki yeh mera kaam nahi, darziyon ka hai. log mujhe siyaah qalam kahte hain, main takhta-e-siyaah par kaali chaak se nahi likhta, safed chaak istemaal karta hoon ki takhta-e-siyaah ki siyaahi aur bhi ziyaada numaayaan ho jaaye. yeh mera khaas andaaz, mera khaas tarz hai jise fohsh-nigaari, taraqqi-pasandi aur khuda maloom kya kuch kahaa jaata hai. laanat ho s'aadat hasan manto par, kambakht ko gaali bhi saleeqe se nahi di jaati.
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
bichhad ga.e to ye dil umr bhar lagega nahin lagega lagne laga hai magar lagega nahin nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
1244 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
tumhein ham bhi sataane par utar aayen to kya hogaa tumhaara dil dukhaane par utar aayen to kya hogaa ha men badnaam karte phir rahe ho apni mehfil men agar ham sach bataane par utar aayen to kya hogaa
Santosh S Singh
339 likes
More from Saadat Hasan Manto
ye hawaon ki sangat ka phal tha ki ab aaine men nahin dikhta meraa badan
0 likes
tu zyaada mat ho pareshaan sabr kar thoda KHuda ki zaat pe hamko yaqeen hai behad
0 likes
ummeed to thii ki din badlenge apne kabhi din aise badle ki ab ummeed tak bhi nahin
0 likes
vo to dil jaisa dhadakta hai mere seene men dam nikal jaayega jab door chala jaayega
0 likes
ye chand be-jaan se hi ashaar hain mire pyaar ke KHaatir mirii ghazal ek bewa ke aañsuon men is tarah doobi hai
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Saadat Hasan Manto.
Similar Moods
More moods that pair well with Saadat Hasan Manto's sher.







