main baagh men jis jagah khada hooñ har phool se kaam chal raha hai
Related Sher
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
vo afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin use ik KHoob-soorat mod de kar chhodna achha
Sahir Ludhianvi
206 likes
hazaaron saal nargis apni be-noori pe roti hai badi mushkil se hota hai chaman men deeda-war paida
Allama Iqbal
207 likes
mere naam se kya matlab hai tumhein mit jaayega ya rah jaata hai jab tum ne hi saath nahin rahna phir peeche kya rah jaata hai mere paas aane tak aur kisi ki yaad use kha jaati hai vo mujh tak kam hi pahunchta hai kisi aur jagah rah jaata hai
Tehzeeb Hafi
213 likes
gale to lagana hai us se kaho abhii lag jaa.e yahii na ho meraa us ke baghair jee lag jaa.e main aa raha hooñ tere paas ye na ho ki kahii teraa mazaak ho aur meri zindagi lag jaa.e
Tehzeeb Hafi
267 likes
More from Shaheen Abbas
Mujh se aage nazar aane men khushi thi us ki
Shaheen Abbas
0 likes
vo saamne tha to kam kam dikhaai deta tha chala gaya to barabar dikhaai dene laga
Shaheen Abbas
0 likes
hamen itni badi duniya ka pata thodii tha jahaan ham tum hua karte the vahaañ rah ga.e ham
Shaheen Abbas
0 likes
ik naqsh ho na paa.e idhar se udhar meraa jaisa tumhein mila tha main waisa juda karo
Shaheen Abbas
0 likes
teri khushboo ko lutate hue aate jaate baaki bachta hai jo insaan kahaan jaata hai
Shaheen Abbas
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shaheen Abbas.
Similar Moods
More moods that pair well with Shaheen Abbas's sher.







