main unhin aabaadiyon men jee raha hota kahii tum agar hanste nahin us din meri taqdeer par
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
bichhad ga.e to ye dil umr bhar lagega nahin lagega lagne laga hai magar lagega nahin nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
1244 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
kisi ko ghar se nikalte hi mil gaii manzil koi hamaari tarah umr bhar safar men raha
Ahmad Faraz
594 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
More from Zia Mazkoor
aapka kaam ho gaya sahab laash dariyaa men fenk dii maine
Zia Mazkoor
17 likes
yahaañ se jaane ki jal dii kisko hai tum batao ye sootkeson men kapde kisne rakhe hue hain kara to loonga ilaqa khaali main lad-jhagad kar magar jo usne dilon pe qabze ki.e hue hain
Zia Mazkoor
43 likes
koii kahtaa nahin tha laut aao ki ham paise hi itne bhejte the tumhaara shukriya ai doobti naav ki ham bhi tairna bhule hue the
Zia Mazkoor
33 likes
vaqt hi kam tha faisley ke li.e warna main aata mashware ke li.e
Zia Mazkoor
54 likes
chaaragar ai chaaragar chillaati thii zaKHmon ko bhi haath nahin lagwaati thii pata nahin kaisa maahol tha uske ghar burka pahan ke shirten lene aati thii
Zia Mazkoor
48 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Zia Mazkoor.
Similar Moods
More moods that pair well with Zia Mazkoor's sher.







