maqtal-e-shauq ke aadaab niraale hain bahut dil bhi qaateel ko diya karte hain sar se pahle
Related Sher
tumhein ham bhi sataane par utar aayen to kya hogaa tumhaara dil dukhaane par utar aayen to kya hogaa ha men badnaam karte phir rahe ho apni mehfil men agar ham sach bataane par utar aayen to kya hogaa
Santosh S Singh
339 likes
ham bhi dariyaa hain ha men apna hunar maaloom hai jis taraf bhi chal padenge raasta ho jaayega
Bashir Badr
373 likes
jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
368 likes
dekho ham koi wahshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hain
Varun Anand
300 likes
dil na-umeed to nahin naakaam hi to hai lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai
Faiz Ahmad Faiz
267 likes
More from Ali Sardar Jafri
ye teraa gulistaan teraa chaman kab meri nava ke qaabil hai naghma mira apne daaman men aap apna gulistaan laata hai
Ali Sardar Jafri
14 likes
shikaayaten bhi bahut hain hikaayaten bhi bahut mazaa to jab hai ki yaaron ke roo-b-roo kahiye
Ali Sardar Jafri
17 likes
partav se jis ke aalam-e-imkaan bahaar hai vo nau-bahaar-e-naaz abhii raahguzaar men hai
Ali Sardar Jafri
12 likes
shab ke sannaate men ye kis ka lahu gaata hai sarhad-e-dard se ye kis ki sadaa aati hai
Ali Sardar Jafri
16 likes
daaman jhatak ke vaadi-e-gham se guzar gaya uth uth ke dekhti rahi gard-e-safar mujhe
Ali Sardar Jafri
23 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ali Sardar Jafri.
Similar Moods
More moods that pair well with Ali Sardar Jafri's sher.







