ye teraa gulistaan teraa chaman kab meri nava ke qaabil hai naghma mira apne daaman men aap apna gulistaan laata hai
Related Sher
maana ki teri deed ke qaabil nahin hooñ main tu miraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
296 likes
gale to lagana hai us se kaho abhii lag jaa.e yahii na ho meraa us ke baghair jee lag jaa.e main aa raha hooñ tere paas ye na ho ki kahii teraa mazaak ho aur meri zindagi lag jaa.e
Tehzeeb Hafi
267 likes
tum meri taraf dekhna chhodo to bataaun har shaKHs tumhaari hi taraf dekh raha hai
Waseem Barelvi
91 likes
main unhin aabaadiyon men jee raha hota kahii tum agar hanste nahin us din meri taqdeer par
Zia Mazkoor
78 likes
teri KHataa nahin jo tu ghusse men aa gaya paise ka zom tha tere lahje men aa gaya sikka uchaalkar ke tere paas kya bacha teraa guroor to mere kaanse men aa gaya
Mehshar Afridi
78 likes
More from Ali Sardar Jafri
maqtal-e-shauq ke aadaab niraale hain bahut dil bhi qaateel ko diya karte hain sar se pahle
Ali Sardar Jafri
13 likes
ye may-kada hai yahaañ hain gunaah jaam-b-dast vo madrasa hai vo masjid vahaañ milega savaab
Ali Sardar Jafri
21 likes
partav se jis ke aalam-e-imkaan bahaar hai vo nau-bahaar-e-naaz abhii raahguzaar men hai
Ali Sardar Jafri
12 likes
pyaas jahaan ki ek biyaabaan teri sakhaawat shabnam hai pee ke utha jo bazm se teri aur bhi tishna-kaam utha
Ali Sardar Jafri
19 likes
bahut barbaad hain lekin sada-e-inqilaab aa.e wahin se vo pukaar uthega jo zarra jahaan hogaa
Ali Sardar Jafri
27 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ali Sardar Jafri.
Similar Moods
More moods that pair well with Ali Sardar Jafri's sher.







