mila tha kaam jo mujhe vo kar diya bacha hua agar kare KHuda kare
Related Sher
hua hi kya jo vo ha men mila nahin badan hi sirf ek raasta nahin ye pehla ishq hai tumhaara soch lo mere li.e ye raasta naya nahin
Azhar Iqbal
298 likes
dil na-umeed to nahin naakaam hi to hai lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai
Faiz Ahmad Faiz
267 likes
toofaanon se aankh milaao sailaabon pe vaar karo mallaahon ka chakkar chhodo tair ke dariyaa paar karo
Rahat Indori
144 likes
ek aawaaz ki jo mujh...ko bacha letii hai zindagi aakhri lamhon men manaa letii hai jis pe marti ho use mud ke nahin dekhti vo aur jise maarna ho yaar banaa letii hai
Ali Zaryoun
133 likes
uski zulfen udaas ho jaa.e is-qadar roshni bhi theek nahin tumne naaraz hona chhod diya itni naarazgi bhi theek nahin
Fahmi Badayuni
128 likes
More from Kaif Uddin Khan
hai kisko dastiyaab bhala gham-shanaas shaKHs murjhaaye phool par kabhi bhanwara na aayega
Kaif Uddin Khan
1 likes
musalsal ik aziyyat tha hamaara haar jaana fir hamaari haar ka us shahar men elaan hona bhi
Kaif Uddin Khan
3 likes
kitnii sacchi saza mili jhoothi qasmen khaane par
Kaif Uddin Khan
2 likes
agar mulaftat ka naam deen hai bashar KHuda se na dare KHuda kare
Kaif Uddin Khan
2 likes
chalo maana KHuda hona bahut dushwaar hai lekin agarche sakht mushkil hai mahaj insaan hona bhi
Kaif Uddin Khan
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Kaif Uddin Khan.
Similar Moods
More moods that pair well with Kaif Uddin Khan's sher.







