mohabbat ek paakizaa amal hai is li.e shaayad simat kar sharm saari ek bose men chali aayi
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
na poochho husn ki taa'riif ham se mohabbat jis se ho bas vo haseen hai
Adil Farooqui
80 likes
hua hi kya jo vo ha men mila nahin badan hi sirf ek raasta nahin ye pehla ishq hai tumhaara soch lo mere li.e ye raasta naya nahin
Azhar Iqbal
298 likes
mohabbat apni qismat men nahin hai ibadat se guzaara kar rahe hai
Fahmi Badayuni
115 likes
More from Munawwar Rana
saza kitnii badi hai gaav se baahar nikalne ki main miTTi goondhta tha ab double-roti banata hooñ
Munawwar Rana
19 likes
na jaane kaisi mahak aa rahi hai bastii se vahii jo doodh ubalne ke baad aati hai
Munawwar Rana
19 likes
KHaamushi kab cheekh ban jaa.e kise maaloom hai zulm kar lo jab talak ye bezbaani aur hai
Munawwar Rana
0 likes
vo zalim meri har KHvaahish ye kah kar taal jaata hai december january men koi nainital jaata hai
Munawwar Rana
26 likes
dara-dhamka ke tum hamse wafa karne ko kahte ho kahii talwaar se bhi paanv ka kaanta nikalta hai
Munawwar Rana
33 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Munawwar Rana.
Similar Moods
More moods that pair well with Munawwar Rana's sher.







