phone bhi aaya to shikwe ke li.e phool bhi bheja to murjhaya hua raaste ki mushkilein to jaan luun aata hogaa uskaa thukraaya hua
Related Sher
log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyun hain itnaa darte hain to phir ghar se nikalte kyun hain mod hota hai jawaani ka sambhalne ke li.e aur sab log yahiin aa ke fisalte kyun hain
Rahat Indori
133 likes
hua hi kya jo vo ha men mila nahin badan hi sirf ek raasta nahin ye pehla ishq hai tumhaara soch lo mere li.e ye raasta naya nahin
Azhar Iqbal
298 likes
muddaton baad ik shaKHs se milne ke li.e aaina dekha gaya baal sanwaare ga.e
Jaun Elia
314 likes
raatein kisi yaad men kattee hain aur din daftar kha jaata hai dil jeene par mael hota hai to maut ka dar kha jaata hai sach poochho to tahzeeb haafi main aise dost se aaziz hooñ milta hai to baat nahin karta aur phone pe sar kha jaata hai
Tehzeeb Hafi
307 likes
husn bala ka kaatil ho par aakhir ko bechaara hai ishq to vo kaatil jisne apnon ko bhi maara hai ye dhoke deta aaya hai dil ko bhi duniya ko bhi iske chhal ne khaar kiya hai sehra men leila ko bhi
Jaun Elia
129 likes
More from Balmohan Pandey
sukhanfahmon ki bastii men sukhun ki zindagi kam hai jahaan shaair ziyaada hain wahaan par shaayri kam hai main jugnoo hooñ ujaale men bhala kya ahmiyat meri vahaañ le jaaie mujh...ko jahaan par raushni kam hai
Balmohan Pandey
40 likes
tumhein pata hai jinhen tum KHuda samjhte ho tumhaare sochne aur bolne se darte hain
Balmohan Pandey
43 likes
hamaara ishq ibadat ka agla darja hai KHuda ne chhod diya to tumhaara naam liya ghamon se bair tha so hamne khudkushi kar li shajar ne gir ke parindon se inteqaam liya
Balmohan Pandey
40 likes
ham hain rahe-ummeed se bilkul pare pare ab intzaar aapka koi kare kare maine to yuñ hi apni tabiyat sunaai thii tum to lagin safaaiyaan dene are are
Balmohan Pandey
54 likes
vo meri duniya ka hissa thii meri duniya nahin ik shajar katne se zakan veeraan ho jaayega kya
Balmohan Pandey
47 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Balmohan Pandey.
Similar Moods
More moods that pair well with Balmohan Pandey's sher.







