sabne use har pal bataaya tha KHaraab ye ishq men uske siva lagta KHaraab bas ishq men paagal hui hai vo mere koi na koi ishq men hota KHaraab
Related Sher
hazaaron saal nargis apni be-noori pe roti hai badi mushkil se hota hai chaman men deeda-war paida
Allama Iqbal
207 likes
ham ko neeche utaar lenge log ishq latka rahega pankhe se
Zia Mazkoor
224 likes
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
vo afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin use ik KHoob-soorat mod de kar chhodna achha
Sahir Ludhianvi
206 likes
nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
201 likes
More from "Dharam" Barot
vo samandar hai vo pyaasa hi rakhega main simat jaaunga tujh men hooñ main taalaab
"Dharam" Barot
1 likes
vo KHud ko she'r maane baitha dekho batao zindagi circus hai us..ko
"Dharam" Barot
1 likes
thii kuchh se preeti tha kuchh se hamaara bair kabhi apna kabhi apna banaa tha ghair kathin har raasta manzil dikhaayega milegi qaamyaabi tum chalaao pair
"Dharam" Barot
1 likes
tha musht-e-khaak ka ye jism musht-e-khaak ban jaana ise aakhir men jaana qabr men ya raakh ban jaana
"Dharam" Barot
1 likes
rooh to bas baat karti hai tumhaari baat karte ho KHuda ki marzi ki kyuuñ
"Dharam" Barot
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on "Dharam" Barot.
Similar Moods
More moods that pair well with "Dharam" Barot's sher.







