sochie sau sau dafa rishta mira usse mar gaya hai maar-kar mujh...ko mira qaatil
Related Sher
hamko dil se bhi nikala gaya phir shahar se bhi hamko patthar se bhi maara gaya phir zehar se bhi
Azm Shakri
157 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira
Fahmi Badayuni
150 likes
hui muddat ki ghalib mar gaya par yaad aata hai vo har ik baat par kehna ki yuñ hota to kya hota
Mirza Ghalib
149 likes
din dhal gaya aur raat guzarne ki aas men suraj nadi men doob gaya ham gilaas men
Rahat Indori
124 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
More from nakul kumar
tumhein jab waqt mil jaa.e chale aanaa kabhi milne ubhar aayi hain kuchh baatein vahii sab baat karne hain tiri aankhoñ men rahkar phir naye kuchh din ugaane hain tiri agar tale vo kuchh puraani raat karne hain
nakul kumar
1 likes
kuchh nahin hai zindagi barbaad hai ab to mar gaya hooñ main muhabbat ko manaane men kaise bhi gar ho sake mujh...ko rihaa kar de rah nahin saktaa main ab is qaidkhaane men
nakul kumar
1 likes
kaho kya ho gaya jo mil na paa.e yaar se apne nihaaro chaand ko phir yaar ke ghar dwaar ko dekho
nakul kumar
1 likes
jiski KHaatir she'r likhe hain ashk bhare paimaanon seus ladki ka naam ghazal hai she'r nahin kah paati hai koii to samjhaao us..ko dil meraa veeraana hai vo ladki jo KHvaab men akshar aati hai rah jaati hai
nakul kumar
5 likes
mujhe milne ko aayi hai bade din baad bechaari hansi hai khil khilaai hai bade din baad bechaari meri banjar zameen pe vo banii sarson sunhari sii bharii poori ug aayi hai bade din baad bechaari
nakul kumar
6 likes
Similar Writers
Our suggestions based on nakul kumar.
Similar Moods
More moods that pair well with nakul kumar's sher.







