suboot hai ye mohabbat ki saada-laohi ka jab us ne vaa'da kiya ham ne e'tibaar
Related Sher
ulti ho gaiin sab tadbeerein kuchh na davaa ne kaam kiya dekha is beemaari-e-dil ne aaKHir kaam tamaam kiya
Meer Taqi Meer
72 likes
vo jispar uski rahmat ho vo daulat maangtaa hai kya mohabbat karne vaala dil mohabbat maangte hai kya tumhaara dil kahe jab bhi ujaala ban ke aa jaana kabhi ugta hua suraj izazat maangtaa hai kya
Ankita Singh
98 likes
vo ladkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse mohabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf
Varun Anand
264 likes
mujhe pahle pehal lagta tha zaati mas'ala hai main phir samjha mohabbat qaaynaati mas'ala hai parinde qaid hain tum chahchahaahat chahte ho tumhein to achha khaasa nafsyaati mas'ala hai
Umair Najmi
86 likes
hazaar ishq karo lekin itnaa dhyaan rahe ki tum ko pahli mohabbat ki baddua na lage
Abbas Tabish
179 likes
More from Josh Malihabadi
baadbaan naaz se lahara ke chali baad-e-muraad kaarwaan eed manaa qaafila-salaar aaya
Josh Malihabadi
11 likes
mar ke paaya shaheed ka rutba meri is zindagi kii umr daraaz
Josh Malihabadi
10 likes
us ne vaa'da kiya hai aane ka rang dekho gareeb khaane ka
Josh Malihabadi
39 likes
ishq men kahte ho hairaan hue jaate hain ye nahin kahte ki insaan hue jaate hain
Josh Malihabadi
40 likes
mujh ko to hosh nahin tum ko khabar ho shaayad log kahte hain ki tum ne mujhe barbaad kiya
Josh Malihabadi
50 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Josh Malihabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Josh Malihabadi's sher.







