talkh lahjaa hai magar saath mere rehta hai aap jo bhi kahein insaan badaa achha hai
Related Sher
nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
201 likes
tere lagaye hue zakhm kyun nahin bharte mere lagaye hue ped sookh jaate hain
Tehzeeb Hafi
200 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare
Tehzeeb Hafi
206 likes
mere naam se kya matlab hai tumhein mit jaayega ya rah jaata hai jab tum ne hi saath nahin rahna phir peeche kya rah jaata hai mere paas aane tak aur kisi ki yaad use kha jaati hai vo mujh tak kam hi pahunchta hai kisi aur jagah rah jaata hai
Tehzeeb Hafi
213 likes
ye filmo'n men hi sabko pyaar mil jaata hai aaKHir men magar sachmuch men is duniya men aisa kuchh nahin hota chalo maana ki meraa dil mere mahboob ka ghar hai par uske peechhe uske ghar men kya-kya kuchh nahin hota
Tehzeeb Hafi
211 likes
More from Kumar Aryan
sochna hi band kar do kya kahega ye zamaana
Kumar Aryan
0 likes
vo agar chahe to mujh...ko chhod saktaa hai magar aakhiri dam tak use main chhodne vaala nahin
Kumar Aryan
0 likes
saKHt mushkil hai ye safar meraa kaise hogaa guzar-basar meraa waqt ne bhi sitam kiya mujhpar cheenkar ke azeez-tar meraa chaanv deta tha jo mujhe vo bhi hai khizaan deeda ab shajar meraa ho ijaazat jahaan se jaane ki tha yahiin tak miyaan safar meraa jinse aage nikal gaya main vo kaatna chahte hain par meraa saanvare mujh...ko bhool mat jaana teraa dar hi hai ab to ghar meraa kaise kah doon kumar main tumse haay jeevan hai mukhtasar meraa
Kumar Aryan
0 likes
saath chalti hai mere tanhaaii main akela safar nahin karta
Kumar Aryan
0 likes
main KHud apna dushman hooñ baaki sabse yaari hai
Kumar Aryan
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Kumar Aryan.
Similar Moods
More moods that pair well with Kumar Aryan's sher.







