ujale apni yadon ke hamare saath rahne do na jaane kis gali men zindagi ki shaam ho jaae
Related Sher
hazaaron saal nargis apni be-noori pe roti hai badi mushkil se hota hai chaman men deeda-war paida
Allama Iqbal
207 likes
ham apni jaan ke dushman ko apni jaan kahte hain mohabbat ki isee miTTi ko hindustan kahte hain
Rahat Indori
212 likes
mere naam se kya matlab hai tumhein mit jaayega ya rah jaata hai jab tum ne hi saath nahin rahna phir peeche kya rah jaata hai mere paas aane tak aur kisi ki yaad use kha jaati hai vo mujh tak kam hi pahunchta hai kisi aur jagah rah jaata hai
Tehzeeb Hafi
213 likes
maine usse pyaar kiya hai milkiiyyat ka daava nai vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hooñ
Ali Zaryoun
228 likes
aur phir ek din baithe baithe mujhe apni duniya burii lag gayi jis..ko aabaad karte hue mere maan-baap ki zindagi lag gayi
Tehzeeb Hafi
207 likes
More from Bashir Badr
saath sanduqon men bhar kar dafn kar do nafratein aaj insaan ko mohabbat kii zaroorat hai bahut
Bashir Badr
17 likes
ye shabnami lahjaa hai aahista ghazal padhna titli ki kahaanii hai phoolon ki zabaani hai
Bashir Badr
24 likes
KHuda kii us ke gale men ajeeb qudrat hai vo bolta hai to ik raushni sii hoti hai
Bashir Badr
0 likes
patthar ke jigar waalo gham men vo ravaani hai KHud raah banaa lega bahta hua paani hai
Bashir Badr
20 likes
dil ki bastii puraani dilli hai jo bhi guzra hai usne lootaa hai
Bashir Badr
32 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bashir Badr.
Similar Moods
More moods that pair well with Bashir Badr's sher.







