ye soch muhabbat kar baithe kuchh aasaani ho marne men
Related Sher
sochun to saari umr mohabbat men kat gaii dekhooñ to ek shaKHs bhi meraa nahin hua
Jaun Elia
545 likes
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
tumhaari aankhoñ ki tauheen hai zara socho tumhaara chaahne vaala sharaab peeta hai
Munawwar Rana
123 likes
kuchh na rah sakaa jahaan viraaniyaan to rah gaiin tum chale ga.e to kya kahaaniyaan to rah gaiin
Khalil Ur Rehman Qamar
164 likes
ham to kuchh der hañs bhi lete hain dil hamesha udaas rehta hai
Bashir Badr
114 likes
More from nakul kumar
tumhein jab waqt mil jaa.e chale aanaa kabhi milne ubhar aayi hain kuchh baatein vahii sab baat karne hain tiri aankhoñ men rahkar phir naye kuchh din ugaane hain tiri agar tale vo kuchh puraani raat karne hain
nakul kumar
1 likes
kuchh nahin hai zindagi barbaad hai ab to mar gaya hooñ main muhabbat ko manaane men kaise bhi gar ho sake mujh...ko rihaa kar de rah nahin saktaa main ab is qaidkhaane men
nakul kumar
1 likes
kaho kya ho gaya jo mil na paa.e yaar se apne nihaaro chaand ko phir yaar ke ghar dwaar ko dekho
nakul kumar
1 likes
isi KHaatir tujhe milta nahin main aajkal akshar mujhe maaloom hai ye man tira bhar jaayega mujhse
nakul kumar
3 likes
inheen pichhle dinon se kuchh mujhe is baat ka gham hai agar main ro raha hooñ to tiri kyun aankh puranam hai tiri tasveer hai ye raat hai baarish hai baadal bhi magar phir bhi na jaane kyun yahaañ kuchh to abhii kam hai
nakul kumar
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on nakul kumar.
Similar Moods
More moods that pair well with nakul kumar's sher.







