zindagi ik hadsa hai aur kaisa hadsa maut se bhi khatm jis ka silsila hota nahin
Related Sher
kya khabar kaun tha vo aur meraa kya lagta tha jisse milkar mujhe har shaKHs bura lagta tha
Tehzeeb Hafi
444 likes
vo afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin use ik KHoob-soorat mod de kar chhodna achha
Sahir Ludhianvi
206 likes
dhoop men niklo ghataon men naha kar dekho zindagi kya hai kitaabon ko hata kar dekho
Nida Fazli
136 likes
tum mohabbat ko khel kahte ho ham ne barbaad zindagi kar li
Bashir Badr
132 likes
bitha diya hai sipaahi ke dil men dar usne talaashi dii hai dupatta utaar kar usne main isliye bhi use khudkushi se rokta hooñ likha hua hai meraa naam jism par usne
Zia Mazkoor
106 likes
More from Jigar Moradabadi
jo un pe guzarti hai kis ne use jaana hai apni hi museebat hai apna hi fasana hai
Jigar Moradabadi
11 likes
ya vo the KHafaa ham se ya ham hain KHafaa un se kal un ka zamaana tha aaj apna zamaana hai
Jigar Moradabadi
15 likes
apna zamaana aap banaate hain ahl-e-dil ham vo nahin ki jinko zamaana banaa gaya
Jigar Moradabadi
25 likes
husn ko bhi kahaan naseeb jigar vo jo ik shay mirii nigaah men hai
Jigar Moradabadi
22 likes
jo toofaanon men palte ja rahe hain vahii duniya badalte ja rahe hain
Jigar Moradabadi
16 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jigar Moradabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Jigar Moradabadi's sher.







