apne sab yar kaam kar rahe hain
apne sab yaar kaam kar rahe hain aur ham hain ki naam kar rahe hain teghh-bazi ka shauq apni jagah aap to qatl-e-am kar rahe hain dad-o-tahsin ka ye shor hai kyuun ham to khud se kalam kar rahe hain ham hain masruf-e-intizam magar jaane kya intizam kar rahe hain hai vo bechargi ka haal ki ham har kisi ko salam kar rahe hain ek qattala chahiye ham ko ham ye ealan-e-am kar rahe hain kya bhala saghhar-e-sifal ki ham naf-pyale ko jaam kar rahe hain ham to aae the arz-e-matlab ko aur vo ehtiram kar rahe hain na uthe aah ka dhuan bhi ki vo ku-e-dil men khiram kar rahe hain us ke honton pe rakh ke hont apne baat hi ham tamam kar rahe hain ham ajab hain ki us ke kuche men be-sabab dhum-dham kar rahe hain apne sab yar kaam kar rahe hain aur hum hain ki nam kar rahe hain tegh-bazi ka shauq apni jagah aap to qatl-e-am kar rahe hain dad-o-tahsin ka ye shor hai kyun hum to khud se kalam kar rahe hain hum hain masruf-e-intizam magar jaane kya intizam kar rahe hain hai wo bechaargi ka haal ki hum har kisi ko salam kar rahe hain ek qattala chahiye hum ko hum ye ealan-e-am kar rahe hain kya bhala saghar-e-sifal ki hum naf-pyale ko jam kar rahe hain hum to aae the arz-e-matlab ko aur wo ehtiram kar rahe hain na uthe aah ka dhuan bhi ki wo ku-e-dil mein khiram kar rahe hain us ke honton pe rakh ke hont apne baat hi hum tamam kar rahe hain hum ajab hain ki us ke kuche mein be-sabab dhum-dham kar rahe hain