parai aag pe roti nahin banaunga
parai aag pe roti nahin banaunga main bhiig jaunga chhatri nahin banaunga agar khuda ne banane ka ikhtiyar diya alam banaunga barchhi nahin banaunga fareb de ke tira jism jiit luun lekin main ped kaat ke kashti nahin banaunga gali se koi bhi guzre to chaunk uthta huun nae makan men khidki nahin banaunga main dushmanon se agar jang jiit bhi jaun to un ki aurten qaidi nahin banaunga tumhen pata to chale be-zaban chiiz ka dukh main ab charaghh ki lau hi nahin banaunga main ek film banaunga apne 'sarvat' par aur is men rail ki patri nahin banaunga parai aag pe roti nahin banaunga main bhig jaunga chhatri nahin banaunga agar khuda ne banane ka ikhtiyar diya alam banaunga barchhi nahin banaunga fareb de ke tera jism jit lun lekin main ped kat ke kashti nahin banaunga gali se koi bhi guzre to chaunk uthta hun nae makan mein khidki nahin banaunga main dushmanon se agar jang jit bhi jaun to un ki aurten qaidi nahin banaunga tumhein pata to chale be-zaban chiz ka dukh main ab charagh ki lau hi nahin banaunga main ek film banaunga apne 'sarwat' par aur is mein rail ki patri nahin banaunga