kahan aa ke rukne the raste kahan mod tha use bhul ja
kahan aa ke rukne the raste kahan mod tha use bhuul ja vo jo mil gaya use yaad rakh jo nahin mila use bhuul ja vo tire nasib ki barishen kisi aur chhat pe baras gaiin dil-e-be-khabar miri baat sun use bhuul ja use bhuul ja main to gum tha tere hi dhyan men tiri aas tere guman men saba kah gai mire kaan men mire saath aa use bhuul ja kisi aankh men nahin ashk-e-ghham tire baa'd kuchh bhi nahin hai kam tujhe zindagi ne bhula diya tu bhi muskura use bhuul ja kahin chak-e-jan ka rafu nahin kisi astin pe lahu nahin ki shahid-e-rah-e-malal ka nahin khun-baha use bhuul ja kyuun ata hua hai ghhubar men ghham-e-zindagi ke fishar men vo jo dard tha tire bakht men so vo ho gaya use bhuul ja tujhe chand ban ke mila tha jo tire sahilon pe khila tha jo vo tha ek dariya visal ka so utar gaya use bhuul ja kahan aa ke rukne the raste kahan mod tha use bhul ja wo jo mil gaya use yaad rakh jo nahin mila use bhul ja wo tere nasib ki barishen kisi aur chhat pe baras gain dil-e-be-khabar meri baat sun use bhul ja use bhul ja main to gum tha tere hi dhyan mein teri aas tere guman mein saba kah gai mere kan mein mere sath aa use bhul ja kisi aankh mein nahin ashk-e-gham tere ba'd kuchh bhi nahin hai kam tujhe zindagi ne bhula diya tu bhi muskura use bhul ja kahin chaak-e-jaan ka rafu nahin kisi aastin pe lahu nahin ki shahid-e-rah-e-malal ka nahin khun-baha use bhul ja kyun ata hua hai ghubar mein gham-e-zindagi ke fishaar mein wo jo dard tha tere bakht mein so wo ho gaya use bhul ja tujhe chand ban ke mila tha jo tere sahilon pe khila tha jo wo tha ek dariya visal ka so utar gaya use bhul ja