kahan aa ke rukne the raste kahan mod tha use bhul ja
kahan aa ke rukne the raste kahan mod tha use bhuul ja
vo jo mil gaya use yaad rakh jo nahin mila use bhuul ja
vo tire nasib ki barishen kisi aur chhat pe baras gaiin
dil-e-be-khabar miri baat sun use bhuul ja use bhuul ja
main to gum tha tere hi dhyan men tiri aas tere guman men
saba kah gai mire kaan men mire saath aa use bhuul ja
kisi aankh men nahin ashk-e-ghham tire baa'd kuchh bhi nahin hai kam
tujhe zindagi ne bhula diya tu bhi muskura use bhuul ja
kahin chak-e-jan ka rafu nahin kisi astin pe lahu nahin
ki shahid-e-rah-e-malal ka nahin khun-baha use bhuul ja
kyuun ata hua hai ghhubar men ghham-e-zindagi ke fishar men
vo jo dard tha tire bakht men so vo ho gaya use bhuul ja
tujhe chand ban ke mila tha jo tire sahilon pe khila tha jo
vo tha ek dariya visal ka so utar gaya use bhuul ja
kahan aa ke rukne the raste kahan mod tha use bhul ja
wo jo mil gaya use yaad rakh jo nahin mila use bhul ja
wo tere nasib ki barishen kisi aur chhat pe baras gain
dil-e-be-khabar meri baat sun use bhul ja use bhul ja
main to gum tha tere hi dhyan mein teri aas tere guman mein
saba kah gai mere kan mein mere sath aa use bhul ja
kisi aankh mein nahin ashk-e-gham tere ba'd kuchh bhi nahin hai kam
tujhe zindagi ne bhula diya tu bhi muskura use bhul ja
kahin chaak-e-jaan ka rafu nahin kisi aastin pe lahu nahin
ki shahid-e-rah-e-malal ka nahin khun-baha use bhul ja
kyun ata hua hai ghubar mein gham-e-zindagi ke fishaar mein
wo jo dard tha tere bakht mein so wo ho gaya use bhul ja
tujhe chand ban ke mila tha jo tere sahilon pe khila tha jo
wo tha ek dariya visal ka so utar gaya use bhul ja
hichkiyan aati hain par lete nahin wo mera nam
dekhna un ki faramoshi ko meri yaad ko
zabt kar ke hansi ko bhul gaya
zabt kar ke hansi ko bhuul gaya
main to us zakhm hi ko bhuul gaya
zat-dar-zat ham-safar rah kar
ajnabi ajnabi ko bhuul gaya
subh tak vajh-e-jan-kani thi jo baat
main use shaam hi ko bhuul gaya
ahd-e-vabastagi guzar ke main
vajh-e-vabastagi ko bhuul gaya
sab dalilen to mujh ko yaad rahin
bahs kya thi usi ko bhuul gaya
kyuun na ho naaz is zehanat par
ek main har kisi ko bhuul gaya
sab se pur-amn vaqia ye hai
aadmi aadmi ko bhuul gaya
qahqaha marte hi divana
har ghham-e-zindagi ko bhuul gaya
khvab-ha-khvab jis ko chaha tha
rang-ha-rang usi ko bhuul gaya
kya qayamat hui agar ik shakhs
apni khush-qismati ko bhuul gaya
soch kar us ki khalvat-anjumani
vaan main apni kami ko bhuul gaya
sab bure mujh ko yaad rahte hain
jo bhala tha usi ko bhuul gaya
un se vaada to kar liya lekin
apni kam-fursati ko bhuul gaya
bastiyo ab to rasta de do
ab to main us gali ko bhuul gaya
us ne goya mujhi ko yaad rakha
main bhi goya usi ko bhuul gaya
yaani tum vo ho vaqai? had hai
main to sach-much sabhi ko bhuul gaya
akhiri but khuda na kyuun thahre
but-shikan but-gari ko bhuul gaya
ab to har baat yaad rahti hai
ghhaliban main kisi ko bhuul gaya
us ki khushiyon se jalne vaala 'jaun'
apni iza-dahi ko bhuul gaya
zabt kar ke hansi ko bhul gaya
main to us zakhm hi ko bhul gaya
zat-dar-zat ham-safar rah kar
ajnabi ajnabi ko bhul gaya
subh tak wajh-e-jaan-kani thi jo baat
main use sham hi ko bhul gaya
ahd-e-wabastagi guzar ke main
wajh-e-wabastagi ko bhul gaya
sab dalilen to mujh ko yaad rahin
bahs kya thi usi ko bhul gaya
kyun na ho naz is zehanat par
ek main har kisi ko bhul gaya
sab se pur-amn waqia ye hai
aadmi aadmi ko bhul gaya
qahqaha marte hi diwana
har gham-e-zindagi ko bhul gaya
khwab-ha-khwab jis ko chaha tha
rang-ha-rang usi ko bhul gaya
kya qayamat hui agar ek shakhs
apni khush-qismati ko bhul gaya
soch kar us ki khalwat-anjumani
wan main apni kami ko bhul gaya
sab bure mujh ko yaad rahte hain
jo bhala tha usi ko bhul gaya
un se wada to kar liya lekin
apni kam-fursati ko bhul gaya
bastiyo ab to rasta de do
ab to main us gali ko bhul gaya
us ne goya mujhi ko yaad rakha
main bhi goya usi ko bhul gaya
yani tum wo ho waqai? had hai
main to sach-much sabhi ko bhul gaya
aakhiri but khuda na kyun thahre
but-shikan but-gari ko bhul gaya
ab to har baat yaad rahti hai
ghaaliban main kisi ko bhul gaya
us ki khushiyon se jalne wala 'jaun'
apni iza-dahi ko bhul gaya
hum faramosh ki faramoshi
aur tum yaad umr bhar bhule
ab wo galiyan wo makan yaad nahin
ab vo galiyan vo makan yaad nahin
kaun rahta tha kahan yaad nahin
jalva-e-husn-e-azal the vo dayar
jin ke ab nam-o-nishan yaad nahin
koi ujla sa bhala sa ghar tha
kis ko dekha tha vahan yaad nahin
yaad hai zina-e-pechan us ka
dar-o-divar-e-makan yaad nahin
yaad hai zamzama-e-saz-e-bahar
shor-e-avaz-e-khizan yaad nahin
ab wo galiyan wo makan yaad nahin
kaun rahta tha kahan yaad nahin
jalwa-e-husn-e-azal the wo dayar
jin ke ab nam-o-nishan yaad nahin
koi ujla sa bhala sa ghar tha
kis ko dekha tha wahan yaad nahin
yaad hai zina-e-pechan us ka
dar-o-diwar-e-makan yaad nahin
yaad hai zamzama-e-saz-e-bahaar
shor-e-awaz-e-khizan yaad nahin
go faramoshi ki takmil hua chahti hai
phir bhi kah do ki hamein yaad wo aaya na kare
safar-e-manzil-e-shab yaad nahin
safar-e-manzil-e-shab yaad nahin
log rukhsat hue kab yaad nahin
avvalin qurb ki sarshari men
kitne arman the jo ab yaad nahin
dil men har vaqt chubhan rahti thi
thi mujhe kis ki talab yaad nahin
vo sitara thi ki shabnam thi ki phuul
ek surat thi ajab yaad nahin
kaisi viran hai guzar-gah-e-khayal
jab se vo aariz o lab yaad nahin
bhulte jaate hain maazi ke dayar
yaad aaen bhi to sab yaad nahin
aisa uljha huun ghham-e-duniya men
ek bhi khvab-e-tarab yaad nahin
rishta-e-jan tha kabhi jis ka khayal
us ki surat bhi to ab yaad nahin
ye haqiqat hai ki ahbab ko ham
yaad hi kab the jo ab yaad nahin
yaad hai sair-e-charaghhan 'nasir'
dil ke bujhne ka sabab yaad nahin
safar-e-manzil-e-shab yaad nahin
log rukhsat hue kab yaad nahin
awwalin qurb ki sarshaari mein
kitne arman the jo ab yaad nahin
dil mein har waqt chubhan rahti thi
thi mujhe kis ki talab yaad nahin
wo sitara thi ki shabnam thi ki phul
ek surat thi ajab yaad nahin
kaisi viran hai guzar-gah-e-khayal
jab se wo aariz o lab yaad nahin
bhulte jate hain mazi ke dayar
yaad aaen bhi to sab yaad nahin
aisa uljha hun gham-e-duniya mein
ek bhi khwab-e-tarab yaad nahin
rishta-e-jaan tha kabhi jis ka khayal
us ki surat bhi to ab yaad nahin
ye haqiqat hai ki ahbab ko hum
yaad hi kab the jo ab yaad nahin
yaad hai sair-e-charaghan 'nasir'
dil ke bujhne ka sabab yaad nahin
is bar dekh aisa bhi mumkin hai mere dost
main apna bhul jaun pata tere shahr mein
mai-khana-e-hasti mein aksar hum apna thikana bhul gae
mai-khana-e-hasti men aksar ham apna thikana bhuul gae
ya hosh men jaana bhuul gae ya hosh men aana bhuul gae
asbab to ban hi jaate hain taqdir ki zid ko kya kahiye
ik jaam to pahuncha tha ham tak ham jaam uthana bhuul gae
aae the bikhere zulfon ko ik roz hamare marqad par
do ashk to tapke ankhon se do phuul chadhana bhuul gae
chaha tha ki un ki ankhon se kuchh rang-e-baharan le liije
taqrib to achchhi thi lekin do aankh milana bhuul gae
maalum nahin aine men chupke se hansa tha kaun 'adam'
ham jaam uthana bhuul gae vo saaz bajana bhuul gae
mai-khana-e-hasti mein aksar hum apna thikana bhul gae
ya hosh mein jaana bhul gae ya hosh mein aana bhul gae
asbab to ban hi jate hain taqdir ki zid ko kya kahiye
ek jam to pahuncha tha hum tak hum jam uthana bhul gae
aae the bikhere zulfon ko ek roz hamare marqad par
do ashk to tapke aankhon se do phul chadhana bhul gae
chaha tha ki un ki aankhon se kuchh rang-e-bahaaran le lije
taqrib to achchhi thi lekin do aankh milana bhul gae
malum nahin aaine mein chupke se hansa tha kaun 'adam'
hum jam uthana bhul gae wo saz bajaana bhul gae
yaad abhi nahin hamein zehn pe zor de chuke
tum hi se milne aae the tum se hi kaam tha zarur
You have reached the end.